- 2 years ago
Dars-e-Bukhari Shareef - Speaker: Mufti Muhammad Akmal
#MuftiMuhammadAkmal #DarseBukhariShareef #IslamicInformation
Collect the pearls of wisdom dormant in Sahih Bukhari, Dars-e-Bukhari Shareef is a 30 min long lecture-based program, in which Mufti Muhammad Akmal will explain Ahadith of Sahih Bukhari- the most Acknowledged and authentic collection of the sayings of Prophet Muhammad (PBUH) by Imam Bukhari.
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
#MuftiMuhammadAkmal #DarseBukhariShareef #IslamicInformation
Collect the pearls of wisdom dormant in Sahih Bukhari, Dars-e-Bukhari Shareef is a 30 min long lecture-based program, in which Mufti Muhammad Akmal will explain Ahadith of Sahih Bukhari- the most Acknowledged and authentic collection of the sayings of Prophet Muhammad (PBUH) by Imam Bukhari.
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Category
🛠️
LifestyleTranscript
00:00 Bismillahir Rahmanir Rahim. Allah ta'barak wa ta'ala ke paqi za tarin naam se aagaz kartein
00:07 hain jo bahut meherbaan, nihayat ir-rahim wala hain. Dars-e-Bukhari ka silsila Kitab-ul-Mawalim
00:14 wal-Ghasb tak pohcha tha. Aur isme hamne pichle programme me 2466 number hadith-e-paq par kalam
00:21 kiya tha. Ab aage chaltein hain. Ek baab qaim kiya hain. Bab-ul-ghurfati wal-ulliyatil-mushrifati
00:30 wa ghairil-mushrifati fis-sutuhi wa ghairiha. Yani bala khaane kha itne buland hun jinse
00:37 jhanka jaa sake. Bala khaane means second manzil. Ya itne buland na hun jinse jhanka
00:45 jaa sake. Kha wa makan ki chhat par bane hun ya kisi aur jagah bane hun. Ispar unwaan
00:54 qaim kiya. Hadith ispar lekar aaye hain ki Hazrat-e-Usama bin Zaid radhiya Allah-u-taala
01:01 anhu bayan karte hain ki Nabi-e-Karim Sallallahu-Wa-Sallam ne Madina ke qilaon mise kisi qilaon par
01:09 khada hokar jhanka. Fir farmaaya kiya tum wo cheezin dekh rahe ho jinko main dekh raha
01:14 hun. Beshak main tumare gharon ke darmian fitno ke wuqoo ki jagahun ko dekh raha hun
01:21 ki qatre girte hain. So qila kahte hain ek aise makaan ko ki jab dushman waqara hamla
01:28 karte hain to usme mahfuz ray kar mukabla kiya jaye taake unke teer waqara waha naa
01:33 pohonse sake. Aur jo bade bade qilae hote the to unki to faseele bahut unchi hoti the
01:38 ki deewaar ko paar na kar sake. Baad uqa to poore qilae ke andar hi shahar hota tha ki
01:43 ataraf me faseele qaim ki jati the aur ishtara hota tha. To ye Madina ka koi qila tha uske
01:48 ab karein koi karein koi karein. Aur koi teh sahaba se aapne firmaaya ke kya tum wo cheezein
01:52 dekh rahe ho jo main dekh raho. Yeh sual asal mein isleh nahi tha. Khud nabiya karim sallallahu
01:57 alaihi wasallam jaante hain ki Allah taala ne aap par baaz ghuyubat ko munkashif firma
02:02 diya tha unhi mese ek yeh bhi tha. Sahaba ikraam dekh nahi rahe the lekin nabiya karim
02:07 sallallahu alaihi wasallam ne unse question kiya. Aur siff isliye taake unko yeh ik to
02:12 islamat e nabuwat thi. Ke aam aadmi wo cheezein nahi dekh sakta jo Allah ke nabi dekh sakta
02:19 hai. Aur jo fitne ho rahe the gir rahe the. Wo fitne aise to nahi the ke koi baarish ke
02:24 qatra hi waqi hun. Ya us waqt wo fitne koi maddi shakal mein gir rahe hun ke aam aadmi
02:30 dekh sake. Murad yeh hai ke nabiya karim sallallahu alaihi wasallam ko us maqam se aapka future
02:36 dikhaya gaya, mustaqbil dikhaya gaya ke aap ke baad kaun kaun se fitan nomodar hunge.
02:42 To aapne jab mulahiza firmaaya to wo itni tezhi se fitan nomodar ho rahe the jaise baarish
02:47 ke qatra hai. Aur aap yeh dekheye ke Siddiq-e-Akbar radiya Allah-u-taala anhu, pir Umar-e-Farooq
02:52 radiya Allah-u-taala anhu ka daur yeh do adwaar aise the jo zara pur sukoon gizre. Khususan
02:58 Hazrat-e-Umar-e-Farooq radiya Allah-u-taala anhu ka das saala daure hukumat. Wa na Siddiq-e-Akbar
03:03 radiya Allah-u-taala anhu ke daur meh bhi awwalan musaylima kadhaab ka maslah peyda hua, fir
03:08 munkireen-e-zakat ka hua, isme jihad hua ba qaida. Umar-e-Farooq radiya Allah-u-taala anhu
03:13 ke daur meh bhi kaafi futuhaat hui hain, lekin ek pur aman daur tha. Jahan jahan hukumat
03:18 paunchi waha adl-u-insaf qaim hua. Aur aap ke jaane ke baad fir jo hai wo kaafi fitan
03:24 nomodar hua. Hazrat-e-Usmani Ghazni radiya Allah-u-taala anhu ki shahadat hai, fir Hazrat-e-Maula
03:29 Ali karamallahu wajhahu-l-karim ki shahadat. Fir iske baad toh rukay hi nahi muaamlaat aur
03:35 aaj tak aap dekhnein ke musalmano ke darmian kis tarah ke masayil ho raha hain. Toh iske
03:40 bataab ye hua ki jo nabi hote hain Allah-u-taala unhe bahusi aisi cheezon par muttaleh firma
03:45 dita hai jinko aam log nahi dekh sakte hain. Ab Allah ke nabi mulahaza firma rahe the
03:51 iske ba wajud aap ke peshe nazar sirf takdeer-e-ilahi thi, Allah ke azali faisle thi, ke aap ne
03:58 unh fitan ko mulahaza firmaane ke ba wajud apne zindagi mein unko khatam karne ki kushish
04:04 nahi firmaayi. Kyunke jo chiz takdeer-e-mubram mein aajaati hai, anbiya alaihim-us-salam
04:10 ko Allah ki taraf se pata chal jata hai ki inme koi tabdili nahi ho sakti, usko kahte
04:15 hain takdeer-e-mubram. Balk egar baaz anbiya alaihim-us-salam ki ustaraf tawajju na ho
04:21 aur wo uske khilaf dua karne lagayin toh Allah-u-taala unn nabiyon ko bhi uske baare
04:26 mein dua se rog deta hai. Toh jab wo takdeer-e-mubram ka pada chal gaya ki ye
04:31 hona hi hona hai toh fir bas uske liye kush nahi karte, khamush rayte hain aur mashyat-e-ilahi
04:37 ke mutaabik unn waqiat ko wuqup azir hone dete hain. Jaise baaz riwayaat ke mutaabik
04:42 hazrat-e-imam-e-hussain radhi-e-Allah-u-taala anhu ki shahadat ke baare mein nabiya-e-karim
04:47 sall-e-rasul-Allah mein unke bachpan mein hi zikr kar diya tha. Lekin humne ni dekha
04:51 ki sarkar ne unke haq mein ye dua kyu Allah-u-taala is masayil se unko mahfuz farmade.
04:57 Ya bibi Fatima radhi-e-Allah-u-taala anha, ya maula Ali karam-u-Allah-u-wajhah-u-l-karim
05:02 ne dua ki hu nahi. Allah ki riza par razi hain. Ki jab ye faisla hai, aisa hoga toh
05:07 fir wa Allah ki riza par razi rahe. Aur Imam-e-Hussain ki shahadat waqup azir hui.
05:12 Toh humne bhi kushish karne chahiye. Pehli baat toh yeh ki istara ki riwayaat se
05:16 baat yeh dabbe kisam ke peer faida hasil karte hain aur kehte hain ki dekho tum logon ko
05:21 wo cheeze nazar nahi aayenge jo faqeer ko nazar aate hain. Allah ke faqeer pe bohot
05:26 kuch zahir ho jata hai. Yeh faqeer na namas padhta hai, na isko kalma padhna aata hai,
05:31 na isko roza rakhta hai, na isko ghusl-e-janabat karna aata hai. Isse Quran sunlo Quran
05:37 nahi aata hai, lekin Allah ka faqeer ho gaya hai, isko sab kuch zahir ho gaya hai.
05:40 Yeh pakke faradiye hote hain, aur jhute kisam ke log hote hain, aur jo sahi shuyukh
05:45 logon ki hidayat ka faridah sarah anjaam dera hain, yeh unke liye badnami ka sabab
05:49 bante hain. Isliye yaad rakhe hain ki istara ki ghuyubaat aam ashqas ke liye nahi khule
05:54 jaate, yeh akabireen ke liye hote hain, jinn ke alamat kamaskam in jaise jali peeron
05:59 faqeeron ke andar nazar nahi aate hai. Isliye inki lachh-e-daar guftugu se dhuke me
06:05 aakar, aur apna aap, apna maal, apni jaan, apni izzat-o-abru, hatta ki apni aakharat
06:12 jinn ke hawale kar dena bilkul ghar munasib hai, inse ishtinaab kiya jaye.
06:17 Agli hadith ke taraf aate hain, 2468 number hadith-e-paak hai. Hazrat-e-Abdullah bin
06:23 Abbas radhiya Allah-o-ta'ala anhu, iske raavi hain, aur badi tawil hadith hai.
06:28 Woh kahte hain ki main is baat par hamisha harees raha, yaani main justuju me raha
06:33 ki main Hazrat-e-Umar-e-Farooq radhiya Allah-o-ta'ala anhu se, Nabi-e-Karim
06:37 Rasool-Allah-o-Muhammad-Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam ki azwaaj mise un do
06:42 aurton ke mutaalik question karun, jinn ke baare mein Allah-o-Ta'ala na yeh
06:46 firmaaya tha, ki tum dono Allah-o-Ta'ala se tawbah karo, toh achha hai, kyunki
06:50 tumare dil aitidal se kuch had gaye hain. Surah-e-Tahrim, ayat number 4 naazil
06:55 hui thi, toh kehte hain ki pas main unke saath hajh kiya, wo raste se ek taraf
07:00 had gaye, yaani kisi zaruat ke liye, aur main bhi paani ka bartan lekar gaya.
07:05 Tab hazrat-e-Umar-e-Farooq radhiya Allah-o-Ta'ala anhu qitai hajjat
07:08 wa gharat se faarik huye, toh fir main unke haathon par paani daal kar unko
07:12 wudhu karaya. Pas main phir pooch liya, maukah mil gaya tanhai mein aur koi bhi
07:16 tha bhi nahi, aur wudhu karate karate question kiya, ya amir-ul-mu'mineen
07:20 Nabi-e-Karim Sallallahu-Sallam ki azwaaj mise wo kaun se do aurton hain, jinn
07:25 ke baare mein Allah-o-Ta'ala na yeh firmaaya, ki tum dono Allah-o-Ta'ala se
07:29 do toh achha hai. Tab hazrat-e-Umar-e-Farooq radhiya Allah-o-Ta'ala anhu
07:33 nishad firmaaya, ki tum par taajub hai, ey Ibn-e-Abbas, inhe aapko nahi pata.
07:37 Phir Umar-e-Farooq radhiya Allah-o-Ta'ala anhu ne yeh waqia shuru se bayan kiya,
07:41 unhone bataya ki main aur mera ek ansari podosi, Bani Umayya bin Zaid ke
07:47 mahalle mein rahte the. Yeh Madinah ki balai bastiya hain, aur hum dono
07:51 baari baari Nabi-e-Karim Sallallahu-Sallam ki khidmat mein haazir hote the.
07:55 Ek din wo jaate the aur ek din main jaata tha. Pas jab main jaata tha toh main
08:01 us din ki khabar lekar aata tha, ki kya hukum naazil hua hai.
08:05 Yehni wo kaam pe jaate, toh main Sarkar ke paas jaata, us din naazil hone wali
08:09 wahi sunta, aur phir inko aake bataata, agle din main kaam pe jaata, wo wahan
08:13 jaate the. Aur jis din wo jaata toh, wo isi tarah karta. Aur hum Quraysh ke
08:17 log auroton par haavi rahte the. Yehni jo muhajreen the, inka roop dab-dabba
08:22 bahut tha, aurotin ke saamne bol nahi sakte the. Yehni azwaaj, bibiyan.
08:26 Aur phir hamari aurotin, phir pas jab hum ansar ke paas aagey, toh in logon
08:31 par unki aurotin haavi rahte the. Yehni iski masla yeh hai, jo Qurayshi
08:36 sahaba the, wo jahlali bahut zyada the. Aur jo Madina ke sahaba the, ansar,
08:41 wo bade naram mizaaj the, thande mizaaj ke log the. Toh azwaaj phir kuch
08:45 kalaam unchi awaaz mein kar liya karte the, wo dar guzar kiya karte the.
08:49 Farwaaya ke phir hamari aurotin, ansar ki, auroton ki rees karne lagi.
08:54 Yehni unhi kitara tarziq thiyar karli. Toh ek din main apni bibi ko main
08:59 kisi baat par daanta, toh usne bhi zarah sakht de, jame mujhe palat ke
09:03 jawab diya. Toh mujhe iska jawab dena bahut bura maasus hua. Toh main
09:09 usse kaha ke, tum aise kyun jawab deray ho? Toh usne kaha ke, aap mere
09:15 jeegh kar jawab dena se hairazada ho raha hai. Pas Allah ta'ala ki
09:19 qasam, ke Nabiye Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki baaz azwaaj bhi
09:23 aap ko palat kar jawab deti hai. Yehni ko aisa nahi ke battameezi wala,
09:27 yehni kar Sarkar se koi baat karti hai toh wo guftu kar leti hai. Aur
09:31 inme se koi aap ko saara saara din chhode rakti hai, hatta ke raat ko
09:36 bhi. Yehni iska matlab yeh nahi hai, pehli baat toh ek sum lejega,
09:40 ke jab Nabiye Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam tashreef le jate, toh aapka
09:45 nabuwat wala pehlo, aapka Allah ka mukarrab huna, aur digar muamalat, yeh
09:51 ek zimni hasid ban jati thi, aur shohar ki hasid ghalib a jati thi. Aur aap
09:56 ghar mein shohar ki hasid se rahte the, aur mian bibi ke muamalat aapas
10:00 mein se hote rahte hai. Toh yeh aisa nahi tha ke wo be adabi ya
10:03 battameezi ke had tak pohche, jais ek pyaar hota hai, laad hota hai
10:06 mian bibi ke andar, is tariqah ke muamalat hua. Lekin Hazrat-e-Umar-e-Farooq
10:11 katein, main yeh sunkar ghabara gaya, kyunki baharal Allah ke Nabi taisa
10:15 na ho ke koi aisa nadhanishta toh pe muamala ho jaye, ke koi wahi waghara
10:19 naazil ho jaye. Toh main ne kaha, ke inmise jisne yeh kaam kiya hai,
10:22 wo bahot naakam hogi. Fir main apne kapde badle, aur main Hazrat-e-Hafsa
10:27 ke paas gaya. Main ne kaha, ke 'Eh Hafsa, kya tummise koi ek Nabiye
10:31 Kareem Sallalahu Wasallam se sara sara din naaraaz rehti hai, hatta ke
10:36 raat tak, unne ka jee haan, aisa hota hai kabhi kabar. Toh main ne kaha,
10:41 ke wo toh naakam aur naamurad ho gayi. Kya tumm Allah Taala ke ghazab
10:45 aur uske Rasool ke ghazab se bekhauf ho gayi ho? Thir tum halak ho jaoge.
10:49 Tum Nabiye Kareem Sallalahu Wasallam se zyada mutalaba na kiya karo,
10:54 aur aap ko kisi baat ka palat kar jawab na diya karo. Aur na aap ko
10:59 chhoda karo. Tumko jo cheez chahiye, tum musse mutalaba kar liya karo.
11:04 Yani chuke walid the socha, ho sakta hai koi mutalaba karti hoon,
11:08 Sarkar jawab mein mana farmate hoon, toh aisi kaifiyat taari hoti hoon,
11:11 toh bhi Sarkar se na mango, musse mang liya karo. Tum kisi fareb mein
11:15 mubtla na hoona, beshak tumari saukan tumse zyada khubsurat hai,
11:19 aur Nabiye Kareem Sallalahu Wasallam ko tumse zyada mahboob hai.
11:24 Unki murad Hazrat-e-Ayesha Siddiqua radhiya Allah-u-taala Anha se thi.
11:29 Hum ye baate kar rahe the, ke Ghassan ka baadshah hum se ladne ke liye
11:34 apne ghodon ko naal laga raha tha. Yani Ghassan ka baadshah jo tha,
11:39 wo Madinah pe hamla karne ka ittila aayi thi, ke wo aisa karega.
11:43 Toh kehte hai, ki mera saati apni baari ke din ek martaba gaya,
11:47 fir Isha ke waqt wapas aaya, aur mera darwada bahut zor se khat khat aaya.
11:51 Aur kaha ke kya wo soye hua hai, yani Hazrat-e-Umar ke baare mein poocha.
11:56 Toh main ghabra kar unke paas gaya aur usse poocha, ke kya hua.
11:59 Toh usne kaha, ke ek bahut bada waqia hone wala hai, ho gaya hai.
12:03 Main ne kaha, kya hua, kya Ghassan ne hamla kar diya hai,
12:06 ye samje ke wo baadshah ne hamla kiya.
12:09 Usne kaha, isse bhi badi aur lambi baat ho gayi hai.
12:12 Nabiye Kareem Sallalahu Wasallam ne apni azwaaj ko talaq de di hai.
12:17 Toh yaage munqishif ho jayega, ke ye inka guman tha,
12:21 in sahabi ka, jo baad mein ghalas thabit hua,
12:23 dekhi unhone baat kahi.
12:25 Toh main ne kaha, Hafsa tu naakam aur na murad ho gayi.
12:28 Mujhe guman tha, ke aisa hone wala hai.
12:31 Inna Hazrat-e-Umar samjha kar aaye the,
12:33 toh socha ke shahad beti se hi koi ghalati ho gayi,
12:35 tabhi aisa muamla hua, toh ye jumli zabaan se nikle.
12:38 Aur fir kehte hain, ke fir main apne kapde tabdeel kiya,
12:40 aur rawana hua, aur subho ki namaz
12:42 Nabiye Kareem Sallalahu Wasallam ke saath padhi.
12:46 Toh hafa apne bala khaane mein daakhil hua,
12:48 aur usme alaidgi se chale gaye.
12:50 Yani koopar manzil thi, usme Sarkar gaye,
12:52 aur kisi se nahi mil raha thi.
12:54 Toh main Hazrat-e-Hafsa ke paas gaya,
12:56 toh wo uswaqt ro rahi thi,
12:57 main ne kaha, tum kyun ro rahi ho?
12:59 Kya main tumko is din se khabardaar nahi kiya tha?
13:02 Kya tum sabko Nabiye Kareem Sallalahu Wasallam ne talaq de di hai?
13:05 Unhone ne kaha, ke main nahi jaanti.
13:08 Aap us bala khaane mein hai,
13:10 bas iss se zada hamme nahi malum.
13:12 Hazrat-e-Umar-e-Farooq kehte, main bahar nikla aur mimbar ke paas aaya,
13:16 pas uswaqt mimbar ke paas logon ki ek jamaat thi,
13:19 aur unhone se baaz ro rahi thi.
13:22 Yani us Sarkar ke ghar ke in maujooda haalaat ki bina par,
13:25 sahaba ro rahi thi.
13:27 Main thodi der unke paas behta,
13:28 fir mire dil mein jo baat thi, wo ghalib aayi.
13:31 Yani main iski tashreef malum karoon,
13:34 tasdeek karoon,
13:35 ke talaq hui hai,
13:36 ya di hai Sarkar ne,
13:37 ya nahi di.
13:38 Kehte, mein dil pe mere baat ghalib aayi.
13:40 Hazrat-e-Umar-e-Farooq kehte,
13:42 mein aap bala khaane ke paas aaya,
13:44 jisme aap tashreef farma thi,
13:45 main aapke siya faam ghulam se kaha,
13:47 bahar ek darbaan khada hua tha,
13:49 ke jao Umar ke liye ijazat talab karo.
13:51 Wo bala khaane me gaya,
13:53 fir Nabi-e-Karim Sall-e-Ala-Sallam se koi baat karke aaya,
13:56 fir bataya,
13:57 ki main Nabi-e-Karim Sall-e-Ala-Sallam se aapka zikr kiya tha,
14:00 rekin aap sunkar khamush rahe.
14:03 Yani koi jawab nahi diya,
14:04 ghulam keh raha hai.
14:05 Main wapas aagaya, hatta jo sahaba mimbar ke paas the,
14:08 unke paas aagar bait gaya.
14:09 Fir mene dil mein jo baat thi,
14:11 isne mujhko ubhara,
14:12 pas main dobara gaya,
14:13 fir iski mithal zikr kiya,
14:15 yaani fir wohi baat,
14:16 ki usne ghulam ne jaake malum kiya,
14:18 sarkar khamush rahe,
14:19 kehte hain,
14:20 ki fir main aakar mimbar ke paas,
14:21 sahaba ki jamaat ke paas bait gaya.
14:23 Fir main dil ki baat,
14:24 mujh par ghalib aayi,
14:25 main fir,
14:26 yaani teesri baar,
14:27 uz ghulam ke paas gaya,
14:28 fir usse kaha,
14:29 ke jao omar ke liye ijazat talab karo.
14:32 Usne aakar pehle ki mithal jawab diya.
14:34 Jab main wapas jaane ke liye peeth modi,
14:37 toh ghulam mujhe bula raha tha.
14:39 Usne kaha,
14:40 yaani thai thai thai,
14:41 aajaay.
14:42 Main bataya,
14:43 ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne aap ke liye,
14:45 usne bataya,
14:46 ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne aap ke liye,
14:48 ijazat de di hai.
14:49 Main nabiya kareem ke paas hazir hua,
14:51 us waqt aap buni hui chataay par lete hua the,
14:54 aap ke aur us chataay ke darmian,
14:56 koi bistar nahi tha,
14:59 aur chataay ke nishanat aap ke pehloo par,
15:02 munakash ho gaye the.
15:04 Yaani jisme akdhas mein baaz jagah zahir ho raha tha,
15:06 ke wo chataay ke nishan aagay hai.
15:08 Aap ranghe hua chamde ke ek gadde se,
15:11 yaani takia se tek lagaye hua the,
15:13 jiske andar khajoor ki chhaal bhari hui thi.
15:15 Fir main aapko salam kiya,
15:17 fir main khade hokar arz ki,
15:19 ke kya aapne apni azwaaj ko talaag de di hai?
15:23 Aapne mere taraf nadar uthai,
15:25 fir firmaya ki nahi.
15:27 Fir main khade ho poocha hai,
15:28 Rasool Allah, main aapka dil behra raha hu.
15:30 Ya Rasool Allah, aap jaante hi hai,
15:32 ke hum Quraysh ke log,
15:33 yaani baat wo waazi ho gaye,
15:35 talaag to nahi hui,
15:36 to dil mutmein hua.
15:37 Aap Sarkar pe chunke,
15:39 kuch gham ke aathar the,
15:41 kuch narazgi bhi thi,
15:42 azwaaj ke saath,
15:43 to aap aapne socha,
15:44 main thoda dil behla hun.
15:45 To arz ki,
15:46 ke main aapka dil bhelata hu,
15:47 Ya Rasool Allah,
15:48 aap jaante hi hai,
15:49 ke hum Quraysh ke log,
15:50 apni aurton par haavi rehte the.
15:52 Fir in logon ke paas aaye,
15:54 jin ki aurton un par haavi rehte the.
15:56 Yali ansar sahaba.
15:58 Fas hazrat-e-Umar ne bataya,
15:59 ki nabi-e-karim sallal-as-salam,
16:01 ye baat sunkar muskuraye.
16:03 To ye dekhein,
16:04 kareeb-e-logon ka fayda hota hai,
16:05 ke aisi baat kahen,
16:06 ki dil khush ho jaye,
16:07 to Sarkar muskura diya.
16:09 Fir main bataya,
16:10 ke kash aapko malum hota,
16:11 ke main Hafsa ke paas gaya tha,
16:13 Fas main usse kaha tha,
16:14 ki tum kisi khudfareemi mein na rehna,
16:16 ye tumari sokan,
16:18 ye ayesha siddiqa radhiya allahu ta'ala na,
16:20 tum se zyada khufsurat hai,
16:22 aur nabi-e-karim sallal-as-salam ko,
16:24 tum se zyada mahboob hai.
16:26 In ki murad hazrat-e-ayesha thi,
16:28 ye ni khud raavi kehte hai,
16:30 aap Sarkar ye sunkar,
16:32 dubara muskuraye.
16:34 Hazrat-e-Umar kehte hai,
16:35 ki jab main aapko muskurate hui dekha,
16:37 to main fir dubara baid gaya,
16:38 fir main nazar utha ke aapki ghar ka jahza liya,
16:40 Fas khuda ki qasam,
16:42 mujhe wahan par teen kacchi khalon ke siwa,
16:45 aur koi cheez nazar na aai.
16:47 Fas maine kaha,
16:49 ke aap Allah se dua kijiye,
16:51 ke Allah ta'ala aapki ummat par kushadagi kare.
16:53 Ye badey pyaar-e-andaas se,
16:55 ye ni kaha ke aap par kushadagi kare,
16:57 ye Sarkar ke taraf main,
16:59 tangdasti ki nizbat karun munasib na laga,
17:01 ummat ka zikar kar diya,
17:03 aapki ummat par kushadagi kare.
17:05 Kiyon ke Faras aur Room par kushadagi ki gayi hai,
17:07 aur unhe duniya di gayi hai,
17:09 haala ke wo Allah ta'ala ke birkul ibadat nahi karte.
17:11 Nabi-e-karim sallal-as-salam,
17:13 tek laga hui the,
17:15 Fas aapne farmaaya,
17:17 ay khattab ke betay,
17:19 kya tumko apne deen mein shak hai,
17:21 ye wo log hai,
17:23 jin ko inki pasand ki cheezin,
17:25 jald hi duniya ki zindagi mein,
17:27 de di gayi hai.
17:29 Ab ye hadith thodi si rehti hai,
17:31 tabeel hadith thi,
17:33 inshaAllah magale programme isko complete bhi karege,
17:35 aur iske muhtalif jagon ki tashreebhi ki jayegi,
17:37 ummi de ke aapne jistara ye programme dekha,
17:39 wo bhi dekhenge,
17:41 wa akharu da'awana anilhamdulillahi rabbil 'alamin.
17:43 [BLANK_AUDIO]
Comments