Shani aur uski team is episode mein duniya ke sab se mashhoor Pyramid ke andar ek aise raaz tak pohanchti hai jo unki poori duniya badal deta hai.
Great Pyramid ke ancient passages, Subterranean Chamber, Grand Gallery, King's Chamber aur Queen's Chamber ki exploration ke baad team ko ek hidden chamber milta hai.
Lekin hidden chamber ke andar maujood ek mysterious golden Scarab artifact sab kuch badal deta hai.
Jab Shani is artifact ko touch karta hai, achanak blue energy poore chamber ko apni lapet mein le leti hai — aur team waqt ke ek ajeeb vortex mein kheench li jati hai.
Jab aankhen khulti hain...
Pyramids abhi ban rahe hote hain!
Team khud ko 4,500 saal pehle Ancient Egypt mein paati hai. 😱
Kya yeh waqai Time Travel hai?
Kya golden Scarab hi "Waqt ka Darwaza" hai?
Aur kya Shani aur uski team apne zamane mein wapas ja sakegi?
🔥 Episode 3: Waqt Ka Darwaza
Dekhiye Firon Ki Duniya, sirf The Shani TV par.
🎬 The Shani TV
Director & Team
TSTV-Urdu | CSS-English
Zayousfi Network
Comments