Firon Ki Duniya — Episode 3: “Waqt Ka Darwaza”
Kya ho agar ek modern team achanak 4,500 saal peeche Ancient Egypt mein ja pohnche?
Shani, Naseem, Ali, Ayna aur Ashhad waqt ke ek ajeeb darwaze se guzarte hue Ancient Egypt ke us daur mein ja pohnchte hain jahan Pyramids abhi tameer ho rahe hain.
Unka saamna hota hai Ancient Egyptian workers, armed guards aur phir khud Pharaoh Khufu se.
Pharaoh unke ajeeb libaas aur modern ilm ko dekh kar hairan hota hai. Team apni jaan bachane ke liye apne future knowledge ka istemal karti hai. Ayna astronomy ka ilm bata kar Pharaoh ko mutasir karti hai, jabke Shani pyramid aur future history ke bare mein hairat angez maloomat deta hai.
Pharaoh unhein aam musafir nahi, balki “Star Messengers” samajhne lagta hai.
Lekin kahani yahin khatam nahi hoti...
Team ko royal mehmaan bana diya jata hai, woh Ancient Egyptian libaas pehenti hai, royal garden dekhti hai aur pyramid construction ka mushahida karti hai.
Aur phir...
Priest Ankhhaf un par nazar rakh raha hai.
Kya Ankhhaf team ke khilaf sazish karega?
Kya team Ancient Egypt se wapas apne waqt mein ja sakegi?
Aur kya waqt ke saath ched-chad unki duniya ko hamesha ke liye badal degi?
Dekhiye Firon Ki Duniya Episode 3 — Waqt Ka Darwaza, sirf The Shani TV par.
Episode Duration: Taqreeban 6.5 Minutes
Total Scenes: 48
Setting: Ancient Egypt
Main Characters: Shani, Naseem, Ali, Ayna, Ashhad, Pharaoh Khufu, Hemiunu, Ankhhaf aur Meritites.
Agar aapko Time Travel, Ancient Egypt, Pharaohs, Pyramids, Historical Adventure aur Mystery Stories pasand hain to is episode ko zaroor dekhein.
The Shani TV
Director & Team
TSTV-Urdu
CSS-English
Zayousfi Network