- 2 years ago
Shan e Usman Ghani RA | Ep 5 - ARY Qtv
Speaker: Qari Muhammad Younus Qadri
#ShaneUsmanGhaniRA #ARYQtv
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Speaker: Qari Muhammad Younus Qadri
#ShaneUsmanGhaniRA #ARYQtv
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Category
🛠️
LifestyleTranscript
00:00Alhamdulillahi Rabbil Alameen, wassalatu wassalamu ala ashrafil anbiya wal mursaleen, wa ala
00:17alihi wa ashabihi ajma'een, qalallahu tabarak wa ta'ala radiyallahu anhum waradu anhu, sadaqallahu
00:27Allahumma salli wa sallim mubarak ala sayyidina wa maulana Muhammadin ajwadil khalqi wa ala
00:35alihi wa sahbihi ajma'een.
00:39Mujtaza muhtaram sama'een wa nazareen, aaj jis hasti ka zikri khair matloobu maqsood
00:49hain, unhe assaabiqoonal awwaloon hone ka sharaf hasil hain, unhe nabiya kareem sallallahu
00:59alaihi wa alihi wa sallam ka damad hone ka sharaf hasil hain, unhe nabiya kareem sallallahu
01:07alaihi wa alihi wa sallam ne baarha jannat ki basharat ata farmayi.
01:13Jee haan, hazrat-e-sayyidina Usman ibn-e-Affan radiyallahu ta'ala anhum.
01:21Aapka shumar un sahaba-e-ikram mein hota hai jinnone pehle Islam qabool kiya.
01:27Baaz riwayaat ke mutaabak aap Islam qabool karne wale sahaba mein chauth-e-number par
01:33hain.
01:34Hazrat Usman-e-Ghani wo jilil-ul-qadr sahabi hain jinne nabiya kareem sallallahu ta'ala
01:42alaihi wa sallam ke saath damadi ka rishta bhi hasil hain.
01:48Aap Huzoor alaihi s-salatu wa s-salam ki do sahabzadiyon ke yak-e-baad deegere khamand
01:54hone ka sharaf paate hain.
01:56Hazrat-e-Sayyida Ruqayya radiyallahu anha aur unke wisaal ke baad Hazrat-e-Sayyida
02:01Umm-e-Kulthum.
02:03Hazrat-e-Sayyiduna Usman-e-Ghani radiyallahu ta'ala anhu ki waalida Huzoor alaihi s-salatu
02:10wa sallam ki kufi zaad bain hain.
02:13Goya Huzoor sallallahu ta'ala alaihi wa alaihi wa sallam ke saath aapka istara ka rishta
02:19bhi riwayaat mein manqool hain.
02:23Hazrat-e-Sayyiduna Usman-e-Ghani radiyallahu ta'ala anhu wo pehle sahabi hain jinne apni
02:29zauja ke saath do martaba hijrat ka sharaf hasil hua.
02:35Ek martaba hijrat-e-Habsha aur ek martaba hijrat-e-Madina.
02:40Aapne Islam ki khaater bahut saari takaleef bardaash keen aur dukh sahayin, gham sahayin
02:46lekin Nabi-e-Kareem sallallahu alaihi wa alaihi wa sallam ke hamra khade rahayin.
02:52Aapke paaye istiqlaal mein kabhi lagzish nahi aayi.
02:56Aap istiqamat ka koh-e-alwan banke Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ke shaana bashaana rahein.
03:03Aur aapne apna, tan, man, dhan, sab kuch Islam ki khaater qurban kar diya.
03:11Hazrat-e-Sayyiduna Usman-e-Ghani radiyallahu ta'ala anhu ki shahadat Islam ka ek bahut bada saniha hain.
03:19Aaj ki humare is guftagu mein shahadat-e-Usman ke hawale se uska tariqi pas-e-manzar,
03:26waqiat-e-shahadat aur uske asaraat par guftagu ki jaayegi.
03:33Hazrat-e-Sayyiduna Usman-e-Ghani radiyallahu ta'ala anhu ka daur-e-Khilafat,
03:37Hazrat-e-Umr-e-Farooq ke baad ka daur-e-Khilafat hain.
03:41Aur aapka daur takriban baara saal ka daur hain.
03:4611 maa, 11 saal aur 22 din.
03:51Yani 11 saal, 11 maa aur 22 din aapke Khilafat ka zamana hain.
03:57Aur bahut khubsoorat daur, ibtidai 6 saal ka daur raha.
04:01Aapne mukhtlif ilaakon ki taraf jihad ke liye lashkar rawana kiye.
04:08Aur bahut saare ilaake aapke daur-e-Khilafat mein Islam-e-Sultanat ka hisa bane.
04:15Hazrat-e-Usman-e-Ghani radiyallahu ta'ala anhu ne,
04:18Bahut khubsoorti ke saath Khilafat ka woh khubsoorat daur,
04:25Bahut kaamyabi ke saath aagey badhaya.
04:29Aur Afrika ke bahut saare ilaake,
04:32Sikandriya aur Afrika ke ilaakon mein Qabras, Al-Jazair aur Morocco,
04:39Isra ke ilaake fatah hua.
04:42Cyprus aapke daur-e-Hakumat mein Islam-e-Sultanat ka hisa bane.
04:47Yeh jo Sultanat ki wussat thi, yeh qattan Kuffaar ko qaable qabool nathi.
04:55Islam ke khilaf, dushmanon ki saazishin shuru se hi chalti aa rahi hain.
05:01Nabiya-e-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam ke daur mein,
05:03Munafiqeen, Kuffaar aur Yahood, yeh hamesha saazishin karte rahein.
05:09Aur reshadawaniyon se Islam ko kamzor karne ki koshishin karte rahein.
05:14Nabiya-e-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam aap uspar qaboo paye rakha.
05:19Hazrat-e-Syedna Abu Bakr Siddiq R.A. ka daur aaya,
05:22toh mukhtalif tarah se parashaniyon ka saamna karna pada.
05:26Hazrat-e-Abu Bakr Siddiq ke daur ke andar,
05:28aapne jo Munkireen-e-Zikaat thi, Murtaddeen thi, unke khilaf Jihad kiya,
05:33aur yun Islam ki deewar ko muzbooti se khada rahne diya.
05:37Hazrat-e-Syedna Umar-e-Farooq R.A. ka daur-e-Khilafat aaya,
05:41toh tarah-tarah ke dushman utkhade huye,
05:44lekin Hazrat-e-Umar-e-Farooq ek bahadur, ek jarri, aur ek taqatwar hasiyat ke maalik the.
05:50Toh aapne un tomaam fitno ko badi husn-o-khoobi ke saath dabha diya,
05:55aur Islam jo hai woh phail taga aur Islam-e-Sultanat ki sarhad-e-dood tak phail gaye.
06:02Hazrat-e-Syedna Usman-e-Ghani R.A. ke daur ke andar yeh sarah silsala mazeed phailta raha.
06:08Hazrat-e-Umar-e-Farooq bahut zyada sakht mizaaj the,
06:12aur aap Islam ke khilaf kisi bhi saazish ko kabhi bhi naram dili se nahi dekhte the,
06:17balke sakhti ke saath usko kuchalte the.
06:19Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. banisbat Hazrat-e-Umar-e-Farooq ke naram mizaaj the,
06:27aapki tabiyyat ke andar fitri taur par burdubari zyada thi,
06:31jiski wajah se saazishi anasar ne sar uthana shuru kar diya.
06:36Pehle 6 saal bahut khubsoorti ke saath guzarte rahe,
06:39pur aman aur bahut asani ke saath Islam-e-Sultanat ko wussat milti rahi.
06:45Lekin baad mein phir saazishe shuru hui,
06:48Abdullah ibn-e-Sabah yahoodi Islam ka libada aud kar,
06:53wo musulmano ki safh mein shamil ho gaya,
06:55aur musthalif tara se usne apne logon ko saath shamil karna shuru kar diya.
07:00Misr, Basra, Kufa, yeh buniyadi marakiz banen in saazishiyon ke,
07:07aur ino ne Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. ke jo governor the pehle unko parishan karna shuru kiya,
07:14phir uske baad ilaakon ke mukhtilif aamileen ko,
07:19mukhtilif logon ko tara tara ke ilzamaat ke saath Hazrat-e-Usman-e-Ghani ke khilaf badkana shuru kar diya.
07:27Kabhi Hazrat-e-Usman-e-Ghani par yeh ilzam lagta,
07:30ki Huzoor-e-Sallallahu-wa-sallam ka sunnat tariqa unhone tarak kar diya.
07:33Kabhi Hazrat-e-Usman-e-Ghani ko yeh kahna shuru kar diya,
07:36ki unhone charaagah ko apne liye, jo sarkari charaagah thi usko apne liye khas kar liya.
07:42Kabhi Hazrat-e-Usman-e-Ghani ko yeh kahna shuru kar diya,
07:46ki unhone apne khandaan-e-Banu Umayyah ko nawazana shuru kar diya
07:51aur unke governor mukhtilif jagah par tayyunaat karna shuru kar diya
07:56aur mukhtilif apne qareebi logon ko Baitul Maal se nawazana shuru kar diya.
08:02Yeh mukhtilif woh bahane the aur mukhtilif ilzamaat the jinn ke zariye
08:07Hazrat-e-Syedna Usman-e-Ghani R.A. anhu ko saazishon ka nishana banaya gaya
08:13aur aapki khilafat ko kamzor karna shuru kar diya gaya.
08:17Hazrat-e-Usman-e-Ghani ki baargah mein yeh ilzamaat pohunchaye gaye.
08:21Aapne badi husn-o-khubi ke saath in ilzamaat ka jawab diya
08:25aur aapne in ilzamaat ko radh kiya
08:29aur aapne sari cheezon ko bilkul waze kar diya.
08:33Lekin chunki maqsad asal mein wazaahat nahi thi
08:37aur nahi maqsad aman tha, un daishatgardoon ka maqsad
08:40Islami saltanat ko kamzor karna tha
08:42aur Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. anhu ko khilafat se hatana
08:46ya Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. anhu ko shaheed karna tha.
08:50Aur yeh saazishin baditi chali gayi
08:53yahan takke unhone Madinat-ul-Munawwara ka rukh kar liya.
08:58Ek hazaar log Misr se, ek hazaar log Kufa se
09:02aur ek hazaar log Basra se baqaida tiyaar kiya gayi
09:05aur unko samjaya gaya, unki training ki gayi
09:09aur unko Madinat-ul-Munawwara ki taraf rawaana kiya gaya.
09:13Aur yeh bahut aaham baat yeh hai ke unhone intizaar kiya
09:18ke jab Haj ke ayaam aayenge aur sahaba-e-ikraam
09:22aur aaham log jab Haj ke liye Makkah-tul-Mukarrama rawaana honge
09:27aaham Madinat jaake hamla-awar honge aur muhasara kar liye.
09:32Madinat ke ird-gird jo abadiyatin wahan par unhone apna padaaw daala.
09:37Madinat aaye.
09:39Hazrat-e-Sayyiduna Usman-e-Ghani R.A. anhu ne direct unse mulaqat ki
09:45aur unke itaraazat ko suna.
09:47Aapne unke itaraazat ke bahut khubsooriti se jawab diye.
09:50Unhone kaha ke aapne Haj ke maukah par chaar rakat adaa ki
09:55ke nabi-e-karim S.A.W. te 2 rakat adaa ki.
09:57Aapne firmaaya ke huzoor S.A.W. musafir the aur main muqeem tha
10:01mere aahl-o-ayyaal wahan rahte hain.
10:03Isliye maine chaar rakat adaa ki.
10:05Aapne bataya logon ko ki jinn governors ke baare mein tum kahte ho
10:09nabi-e-rahmat S.A.W. ke daur-e-mubarak mein
10:12Hazrat-e-Abu-Bakr Siddiq Umar-e-Farooq ke daur-e-mubarak mein
10:15Khalifa-e-Waqt ko yeh ijaazat rahi.
10:17Agar maine kisi ghair ahal shahs ko mansab par mutmakkan kiya hai
10:23Aapne usko hatane ke liye tyaar hon aur aapne aisa kiya bhi.
10:26Jisse yeh waze hota hai ki aapka maqsad asal mein aman tha.
10:30Aur aapne unke jitne bhi itarazat the bade khush dili ke saath sunay
10:34aur unke jawabat diye aur yun wo mutmain hokar wapis rawana ho gaye.
10:40Lekin asal mein wo saazis chahte the badamani chahte the
10:46Islami saltanat ko girana chahte the.
10:48Isliye unhone fir wapis hane ka program banaya.
10:52Aur ek saazish tyaar ki iss hawale se.
10:54Hazrat-e-Syedna Usman-e-Ghani R.A. ki taraf ek juta khat mansoob kiya.
11:00Aur jab Hazrat-e-Syedna Usman-e-Ghani ne unko mutmain karke wapis rawana kiya
11:06To raste ke andar ek shahs ko unhone pakda jo unhe ka hi tyaar karda tha asal mein.
11:13Aur tarikh ne is baat ko bilkul waze kiya
11:15Usko zahir yeh kiya gaya ki Hazrat-e-Syedna Usman-e-Ghani ka jasoos hai
11:21Jo Misr ke governor ki taraf jaa raha hai aur khat lekar jaa raha hai
11:25Jis mein in bulwaiyon ka jino ne Hazrat-e-Usman-e-Ghani ka muhasara kiya
11:30Aur Hazrat-e-Usman-e-Ghani par mukhtarif tartarazaat kiye
11:33Unko qatl karne ke paigamaat aur Hazrat-e-Usman-e-Ghani ki taraf se
11:37Khat mein yeh hukam likha gaya tha Governor-e-Misr ki taraf.
11:42Wo chunke yeh tyaar karda ek saazish thi
11:46Aur usko baqaida taur par khat diya gaya, joothi mohr lagayi gayi
11:52Taa ki hum yeh waze kar sakein ki yeh waqiatan Hazrat-e-Usman-e-Ghani ne khat likha hai
11:58Aur ek taraf toh humein unhone mutmein kiya hai
12:00Ek taraf humare itarazaat ko qabool kiya hai
12:02Aur doosri taraf humare qatl ke ahkaam jaari kar diye hai
12:06Wo khat lekar wapis aaye, Hazrat-e-Maulay-e-Ali-Sher-e-Khuda r.a se mile
12:11Digar chand sahaba-e-ikram jo hajj par nahin gaye the
12:14Madinat-ul-Munawwara mein maujood the
12:16Unse mile aur khat dikhaya
12:18Kisi bhi sahabi ne usko qabool nahin kiya
12:21Aur yeh maanne se inkar kar diya ki
12:23Usman jaisi shaksiyat
12:25Jo Nabi-e-Rahmat-Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam ke akhlaaq ka partaun hu
12:29Jinke baare mein Huzoor-Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam farmayen
12:32Ki Usman wo hai jinse farisht-e-hayaa kartein
12:35Jinke baare mein Nabi-e-Karim-Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam irshaad farmayen
12:38Main usse hayaa kyun na karun
12:40Jisse farisht-e-hayaa kartein
12:42Aur jin ko Nabi-e-Karim-Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam
12:44Jannat ki basharat ata farmayen
12:46Kya wo hasti aisa kar sakti hai?
12:49Wada khilafi kar sakti hai?
12:51Joot kah sakti hai?
12:52Aisa mumkin nahin hai
12:54Lekin chunke unka maqsad aur tha
12:56Aur unhone apne saare afraad ko
12:59Madinat-e-Tayyiba mein jama kar diya
13:01Aur Hazrat-e-Usman-e-Ghani-R.A. ke ghar ka muhasra kar liya
13:06Hazrat-e-Usman-e-Ghani-R.A. ke qatl ki saazish ke
13:10Jo ye taane baane bune gaye
13:14Isme mukhtalif cheezein batayi jaati hain
13:17Aur iske mukhtalif asbaab muarrikheen ne zikar kiye hain
13:21Ek toh ye ki Islam-e-Sultanat ki wusat logon ko pasan nahi thi
13:25Jo Islam ke dushman the
13:27Unhone dekha ki Islam-e-Sultanat ki wusat jab bad rahi hai
13:31Isko roka jaye, khatam kiya jaye
13:34Hazrat-e-Usman-e-Ghani-R.A. anhu
13:36Aapki naram mizaaji
13:38Aap hamesha hausle se
13:41Aur hamesha burdh baari se kaam lete the
13:44Aap par koi itraaz bhi karta toh aap badi khanda paishani se
13:47Usko sunte aur uske dil ko khush karne ki koshish karte
13:52Hazrat-e-Usman-e-Ghani-R.A. anhu ke daur mein
13:55Mukhtalif sahaba-e-ikraam
13:57Mukhtalif ilaakon mein phail chuke the
14:00Hazrat-e-Umar-e-Farooq ne roka hua tha sahaba-e-ikraam ke
14:03Usko Madinah mein rahi
14:05Lekin Hazrat-e-Usman-e-Ghani ne ijazat de di
14:07Aur isthara sahaba-e-ikraam
14:09Mukhtalif shahroon mein, mukhtalif subon mein phail gayi
14:12Aur yun jo nai pod aur nai nasal jawan hui
14:17Wo Hazrat-e-Usman-e-Ghani-R.A. anhu
14:22Ki waise muhabbat mein ya Islam ke hawale se
14:26Waise wo mazbooti nahi thi
14:28Jo sahaba-e-ikraam mein mazbooti thi
14:30Is hawale se bhi kamzori peyda huna shuru ho gayi
14:33Aur phir is mein jo saazishi anasar thi
14:35Yahood ka qirdar, munafiqin ka qirdar, kharjiun ka qirdar
14:38Abdullah bin Sabah ka qirdar
14:40Aur isthara ke digar logon ka qirdar
14:42Wo kulkar saamne aana shuru ho gaya
14:44Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. anhu ka jab muhasara kiya gaya
14:48To mukhtalif sahaba-e-ikraam
14:50Hazrat-e-Maula Ali Shir-e-Khuda R.A. anhu
14:53Hazrat-e-Abdullah bin Zubair R.A. anhu
14:57Hazrat-e-Abdullah bin-e-Abbas R.A. anhu
14:59Mukhtalif sahaba-e-ikraam ke baare mein
15:01Rivaayat aati hai
15:02Ke wo Hazrat-e-Usman-e-Ghani ke paas hazir hua
15:04Aur unhone aake janaab se muzaarish ki
15:08Ki hume ijazat dijiye
15:09Ki hum is fitna ki sarku bhi kare
15:11Aur isko khatam karein aur qala kama karein
15:13Warna ye khilafat ko nuksaan poh jayega
15:17Aapko shaheed bhi kiya jaa sakta hai
15:19Aur Madinah ki jo riyasat hai
15:22Jo abhi apne mazbooti ki taraf bad rahi hai
15:26Aur jiski sarhadin abhi wussat mein hai
15:28Kahin inko nuksaan na pohnche
15:30Lekin Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. anhu
15:32Aap firmaate the
15:33Ke main wo pehla shakhs nahi banna chahta
15:36Ke jiski wajah se Madinah-e-Tayyiba ki paak sar zameen
15:40Khoon se alooda hu
15:42Nabiya-e-Karim S.A.W. ne irshaal firmaaya tha
15:46Ke jo shakhs Madinah mein rehne wale
15:49Aur mere is shahar ki hurmat ko paamaal karega
15:52Uspar Allah aur uski Rasool ki aur
15:53Logon ki aur Farishton ki laanat
15:55Main wo shakhs nahi banna chahta
15:57Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. anhu ko
15:59Baarha ye baat arz ki gayi
16:01Lekin aapne hamesha burdbari ka muzahira kiya
16:05Aur samjhane ki koshish ki
16:07Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. anhu ke baare mein
16:11Nabiya-e-Karim S.A.W. ne ye pishingoi bhi firmaayi thi
16:15Ke aapko shaheed kiya jaayega
16:16Aur ye baat bhi aapke zihin mein thi
16:18Ke agar shahadat mera muqaddar hai
16:20Aur yaqeenan jab Nabiya-e-Karim S.A.W. ne firmaaya
16:23Toh shahadat muqaddar hai
16:25Kyu na aisa ho
16:27Ke mein Huzoor S.A.W. ki jis masnad par mujhe bithaya gaya
16:32Aur jo nayabat mujhe di gayi
16:34Mein uski hifazat karte hui apni jaan
16:36Jaan-e-Afreen ke supurut kar du
16:38Aur apni shahadat pesh kar du
16:42Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. anhu
16:44Ek martaba Huzoor S.A.W. ke hamra
16:47Uhud pahad par tashreef le gaye
16:49Huzoor S.A.W. bhi saath hain, Umar-e-Farooq bhi saath hain
16:51Uhud pahad wajit mein aa gaya
16:54Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. anhu Huzoor ke saath hain
16:58Huzoor S.A.W. ne Uhud pahad ko jidka
17:02Aur firmaaya Uhud sakoon kar
17:05Tujhe pata nahi hai, tujhe par ek Siddiq
17:08Ek Nabi, ek Siddiq aur do shaheed hain
17:10Huzoor S.A.W. Siddiq, Umar-e-Farooq aur Usman-e-Ghani
17:15Huzoor S.A.W. ne goya Umar-e-Farooq
17:18Aur Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. anhu maa ki shahadat ki khabar bhi
17:22Aur ye Hazrat-e-Usman-e-Ghani ke zayn bhi tha
17:24Aur ek aur baat jo Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. anhu samishte the
17:29Ke Huzoor S.A.W. ne mujhe firmaaya tha
17:33Ke Usman, Allah-e-Karim tujhe ek libaas ata karega
17:37Ek khilat ata karega
17:38Wo libaas kaafir koshish karenge tujhse utarne ki
17:42Lekin tumne utarna nahi hai
17:44Aur wo libaas, libaas-e-khilafat tha
17:47Jo Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. anhu ke paas hai
17:50Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. anhu wo mazloom khalifa hain
17:55Jine 40 roz tak apne ghar mein mahsoor rakha gaya
17:59Aapka khaana, aapka paani, sab kuch band kar diya gaya
18:04Aur agar koi khuraak lekar aata, to usko rok diya jaata
18:08Yahan tak ke Hazrat-e-Sayyida Umm-ul-Mu'mineen, Umm-e-Habeeba R.A. anha
18:15Aap ek khachar par kuch khuraak, paani aur digar samaan lekar aap aayin
18:21Ke main chuke Umm-ul-Mu'mineen hun
18:23Main Nabi-e-Karim S.A.W. ka haram hun
18:25Huzoor ki zauja hun
18:27To yeh bulwai, meri to haya karenge, mera to khayal karenge
18:31Lekin jab wo bhi tashreef laayin
18:33Darwaze par unko rok liya gaya
18:35Yahan tak ke aap jis sawari par sawar thiin
18:38Uski lagaam ko kaat diya gaya
18:40Aur wo sawari bhid ki aur dar ke bhaagi
18:43Aur Sayyida Umm-e-Habeeba R.A. anha badi mushkal se bachi
18:48Yeh tomaam log yeh dekh rahe the
18:51Ke kis tarah Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. anhu par zulm ke pahaad tode jaare
18:56Aap ko roka gaya
18:58Aap ko khilafat utaarne ka kaha gaya
19:01Aap ko libaas-e-khilafat utaarne ka kaha gaya
19:04Ke aap khilafat ko chod de
19:06Ya phir aap yahan se chale jaye
19:09Aap ne firmaaya ke main yeh koi bhi amal karne ke liya tyaar nahi hu
19:13Ek din jab aap ne suna
19:16Ke wo bulwai baatein kar rahe the ke hum inko qatl kar denge
19:19Aur chodenge nahi
19:21Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. anhu
19:23Apne ghar ki chhat pe tashreef laaye
19:25Balkoni pe aaye aur aap ne un bulwaiyon se khitab firmaaya
19:28Aap ne firmaaya tum mujhe qatl karna chahate ho
19:31Chuh qatl karna chahate ho
19:33Nabi-e-Karim S.A.W. ne qatl karne ki hijazat nahi di
19:38Lekin us shakhs ko di hai jo kisi ko qatl kare
19:41Us shakhs ko di hai jo shadi shuda behayai ka irtiqab kare badkari kare
19:46Us shakhs ko di hai jo murtad ho jaye
19:49Aur main isme se koi bhi aisa amal nahi kiya
19:52Aur tum mujhe qatl karna chahate ho
19:55Suno main wo hun
19:57Jisne Nabi-e-Rahmat S.A.W. ke daste mubarak par bait ki hai
20:03Aur jab se mera yeh haath
20:05Nabi-e-Karim S.A.W. ke haath mubarak mein aaya hai
20:08Main apne satr ko bhi yeh haath nahi lagaya
20:10Yani yeh haya ka wo mukamal darja tha
20:13Aur wo ala mansab tha jis par aap faiz the
20:17Hazrat Usman-e-Ghani firmaatein
20:19Nabi-e-Karim S.A.W. ne mujhe baarha jannat ki basharat di
20:23Ek martaba Bere Roma
20:25Jo ek yahudi ka kuwa tha
20:27Aur wo musalmanon ko paise le kar paani deta tha
20:30Mujhe Huzoor S.A.W. ne firmaaya tha
20:32Jo shakhs Bere Roma ko khareed kar musalmanon ke liye waqf kar de
20:37Us ke liye jannat hai
20:39Maine apne paison se us yahudi ko moom maangi keemat de kar
20:44Is kuwa ko khareeda tha
20:46Aur musalmanon ke liye waqf kar diya tha
20:49Fir Nabi-e-Karim S.A.W. ne firmaaya tha
20:52Jo shakhs Masjid ki zameen mein wusad ke liye yeh makaan khareed kar de
20:57Masjid-e-Nabwi ki zameen mein us ke liye jannat hai
21:00Maine wo makaan khareed kar Nabi-e-Karim S.A.W. ke khidmat mein pesh kiya tha
21:05Wo jannat ki basharat Huzoor ne mujhe ataab firmaaya
21:08Fir Huzoor S.A.W. ne firmaaya
21:10Jo shakhs Tabook ka
21:12Jo maar qadar pesh hai
21:15Us ke liye musalmanon ki madad kare
21:17Aur apna maal pesh kare
21:19Allah Karim us ko jannat ataab firmaayega
21:21To Hazrat Usman-e-Ghani firmaate hai
21:23Us waqat apni basaat ke mutaabak
21:26Hazaaron dinar aur dirham aur sainkronon ki taadaad mein
21:32Janwar, saaz-o-samaan simit Huzoor ki khidmat mein pesh kiye
21:36Huzoor S.A.W. ne mujhe jannat ki basharat di
21:39Aur Huzoor S.A.W. us waqat
21:41Hazrat Usman-e-Ghani ne jo darahim aur dinar pesh kiye the
21:44Huzoor haat mein pakad kar us ko aap dekh rahe the khush ho rahe the
21:48Aur firmaa rahe the ki Usman aaj ke baad tumhara koi amr tumhe nukhsaan nahi ponchaayega
21:52Yeh mere aaka ne mere liye irshaad firmaaya tha
21:55Fir tum kis tarah kahte ho ki mera qatal tumhare liye jaiz hai
21:58Mere liye Nabi-ur-Rahman S.A.W. ne jannat ki basharat-e-deen
22:02Aur main tumhe samjaata hun ki tum yeh ghalat kaam na karun
22:06Aur fir Hazrat Usman-e-Ghani ne wo alfaaz irshaad firmaaye
22:10Jo aaj bhi Ummat-e-Muslima face kar rahi hai
22:15Aur qiyamat tak wo Ummat-e-Muslima us ko face karti rahegi
22:21Wo alfaaz kya the?
22:23Wo alfaaz yeh the ke agar tumhne mujhe qatal kar diya
22:26Fir fitno ka wo daur shuru hoga
22:28Ke jo kabhi khatam nahi hoga
22:30Fir tum milkar ittifaaq aur ittihad se jihad bhi nahi kar paoge
22:34Tum kabhi bhi akathe nahi reh sakoge
22:37Fir yeh tafriqa baazi hogi, firke honge
22:40Aur mukhtalif tarah se Ummat-e-Muslima intishaar ka shikaar ho jayegi
22:44Is liye mujhe qatal karne ka mansuba khatam kar
22:48Lekin chuke wo saare ke saare program hi yeh bana ke aaye the
22:53Aur unka maqsad hi yeh tha
22:55Nabi-e-Karim sallallahu ta'ala alaihi wa alihi wa sallam ne
22:58Jo irshaadat firmaaye the
23:00Ke istara fitne paida honge
23:02Aur meri Ummat ke andar aise aise wo cheeze roonuma hongi
23:08Aur wo roonuma hona shuru hoge
23:10Jab surat-e-haal ka jaiza liya gaya
23:12Aur Hazrat-e-Mawla-e-Ali shar-e-Khuda ne naazuk surat-e-haal dekhi
23:15To Hazrat-e-Imam-e-Hassan, Hazrat-e-Imam-e-Hussain
23:18Aur digar chand sahaba ki duty lagai
23:20Ke aapne Usman-e-Ghani ke ghar ke bahar pehra dena hai
23:24Taake dushman andar na jaa sake
23:28Aur Usman-e-Ghani ko nuksaan na pohnjaa sake
23:30Inko samja rahe hain, mohallat de rahe hain
23:32Bar-bar sahaba ikram Hazrat-e-Usman-e-Ghani ke paas aate
23:35Aur aake unse kehte hain, aap hume ijazat deejiye
23:38Ke hum in ke saath mukabla karein
23:41Aur hum inko rokein
23:43Lekin Hazrat-e-Usman-e-Ghani r.a. anhu aise halim uttaba the
23:48Aap humesha hi Allah ka wasta dekar unko mana kar dete
23:52Yaha takke aapne apne ghulamon ko firma diya tha
23:56Ab jo ghulam the aapki khidmat mein maujood
23:59Wo yeh chahate the ke hum talwar nikaalain aur mukabla karein
24:03Aapne ghulamon ko mana kar diya ke tumne talwar nahi nikaal nahi
24:07Usman nahi chahata ke Usman ke naam par khoon ka ek qatra bhi bahe
24:12Yeh laa ila ila laa padne wale log hai
24:15Kya kaha jaayega?
24:16Ke khalifa ne laa ila ila laa padne walon ko apni jaan bachane ke liye qatal karwa diya
24:21Aur apne ghulamon ko kaha ke jo shakhs inke saamne talwar nahi uthaayega
24:26Wo azad hai
24:28Aur jo sabar ka muzahara karega wo azad hai
24:31Yani yaha tak pesh kar di
24:33Iska matlab yeh tha ke aap nahi chahate the ke meri wajah se mere naam par
24:38Koi kisi tara ka khoon bahaya jaye aur khoon ka ek qatra bhi bahaya jaye
24:42Hazrat-e-Imam-e-Hassan, Hazrat-e-Imam-e-Hussain aur digar sahaba-e-karam jo maamoor the
24:49Unhone unka mukabla bhi kiya aur roka bhi
24:53Aur mukabla bhi aise ke koi khoon kharaba na ho
24:55Sirf roka jaaye jaise khalifa ka hukam tha
24:58Aur khalifa ke hukam se badh kar koi unke liye itaat ki aur baat nahi thi
25:04Jitne bhi log aaye aap unko waise hi kahte rahe
25:07Yaha tak ke riwayaat mein aata hai ke Hazrat-e-Ameer-e-Muawiyah ne khat likha
25:11Digar logon ne khat likha ke aise hi koi soorat-e-haal pesh aaye
25:14Toh aap hume bataye, hum lashkar lekar Inshallah pahunch jaayenge
25:17Lekin Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. an ho aisa nahi chahate the
25:21Aap yeh chahate the ke muamala khush usloobi se tay ho jaye
25:25Aakharkar 40 roz tak aapka khaana paani band kiya gaya
25:31Aap musalsar roze rakhte rahe
25:33Aur jis din aap ki shahadat hoti hai us din
25:38Nabi-e-Rahmat S.A.W. khaap mein tashreef laate hai
25:42Aap raat ko jab soye khaab mein Huzoor S.A.W. tashreef laaye
25:48Saath Abu Bakr Siddique bhi hain, Umar-e-Farooq bhi hain
25:51Huzoor S.A.W. ne firmaaya ki Usman aaj roza tum hamare saath aake iftaar karoge
25:58Juma ka din tha 18 Dhul-Haj
26:01Yani Haj ke abhi 8 din, 10 Dhul-Haj ke baad 8 din guzre the
26:08Abhi toh sahaba-e-karam jo Madinat-ul-Munawwara se Haj ke liye gaye the
26:12Woh wahin par maujood the, Makkat-ul-Mukarrama mein
26:15Kuch abhi pohnch rahe the aur un saazishiyon ne maasoos kiya
26:20Ke agar hujjaj-e-karam wapas Madinat-e-Tayyuba aagey toh fir hamare liye muamala mushkil ho jayega
26:26So unhone 18 Dhul-Haj ko Jumat-ul-Mubarak ke din Asr ke waqt
26:31Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. anhu ko shaheed kar diya
26:35Aapki zauja Hazrat-e-Naila R.A. wa aapko bachane ke liye aagey badein
26:41Unhone apna haath aagey badaaya
26:43Jisne talwaar ka waar kiya tha
26:45Woh waar Hazrat-e-Usman R.A. anhu se pehle woh Hazrat-e-Naila ke haath par laga
26:51Aur woh talwaar itni sakht thi ke usne foran haath kaat diya
26:56Aapka aada haath kat gaya ya haath ki ungliyan kat gaye
26:59Hazrat-e-Usman-e-Ghani ko badme phir shaheed kar diya gaya
27:02Aur talwaar ka waar karke aapko jaam-e-shahadat nosh firma gaya
27:09Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. anhu jis waqt jaam-e-shahadat nosh firma rahe the
27:13Aap us waqt Quran ki tilawat mein masroof the
27:16Aur Quran-e-Majeed Furqan-e-Hameed ki tilawat kar rahe the
27:19Aur Quran aapke saamne khula hua tha aur jab aapko shaheed kiya gaya
27:23Us waqt Quran-e-Majeed ki aaya mubarka
27:26Fasa yakfee kahumul laahu wahuwas samee'ul aaleem
27:30Wahan khoon ke qatre gire aur woh Musahaf-e-Usman
27:34Woh khoon alooda Musahaf-e-Usman
27:38Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. anhu ka woh Quran ka nuskha
27:42Woh is baat ka ilan kar raha tha ki Allah-e-Karim
27:46In kaafuron ke mukabale mein Hazrat-e-Usman-e-Ghani ko kaafi ho jayega
27:50Fasa yakfee kahumul laahu Allah-e-Karim
27:52In dushmanon ke mukabale mein
27:54In saazisiyon ke mukabale mein aapko kaafi ho jayega
27:57Aur aap yoon shahadat ka woh jaam nosh karte hain
28:00Shahadat ka woh libaas pehn lete hain
28:03Jo Nabi-ur-Rahman S.A.W. ne aapko basharat di thi
28:08Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. anhu ki shahadat ke baad
28:13Jo chand sahaba-e-karam waha maujood the
28:16Aapki kafan dafan ka intizam kiya gaya
28:19Aur ek riwayat ke mutaabak Hazrat-e-Jubair bin Muta'am R.A. anhu ne
28:24Aapki namaz-e-janaza padi
28:26Aur ek padhaai ek riwayat ke mutaabak Hazrat-e-Jubair bin Awam ne
28:30Aapki namaz-e-janaza padhaai
28:32Aur chand sahaba-e-karam jo waha maujood the
28:34Aur jigar log aapki namaz-e-janaza mein shamil hua
28:37Aur Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. anhu ko
28:40Jannat-ul-Baqi ke saath ek haveli thi jahan par dafan kiya gaya
28:43Jo Jannat-ul-Baqi ka hisa bada
28:46Sayyiduna Usman-e-Ghani ke qatl ke baad
28:49Sahaba-e-karam bahut zyada afsurda hua
28:51Hazrat-e-Ali-ul-Murtaza S.A.W. bahut afsurda hua
28:56Aapne apne saabzadgaan Hazrat-e-Imam-e-Hassan
28:59Aur Hazrat-e-Imam-e-Hussain ko firmaaya
29:01Ki maine tumhari yahan duty lagai thi
29:03Tumhari majoodgi mein yeh waqiah kaise ho gaya
29:05Unhone arz kiya ki Abbaji hum to muqabala kar rahe the
29:09Yeh log pichle makaan se seedi lagaakar
29:12Jo hai wo andar ghar mein daakhil hua
29:14Aur unhone yeh sahaniya wahan par roonuma ki
29:17Digar sahaba-e-karam ne
29:19Hazrat-e-Syed-e-Ayesha R.A. anhu
29:21Aur digar sahaba-e-karam bahut zyada afsurda hua
29:24Aur unke wo irshadat jo
29:27Hazrat-e-Usman-e-Ghani ke baare mein the
29:29Wo batate hain ki Usman-e-Ghani R.A. anhu
29:32Kis kadar buland paya shakhsiyat
29:34Aur kis kadar buland paya maqam ke maalik the
29:37Sahaba-e-Ikram ne aapko khiraj-e-Aqeedat peshkiya
29:40Khiraj-e-Tahseen peshkiya
29:41Aur khiraj-e-Mohabbat peshkiya
29:43Hazrat-e-Usman-e-Ghani ki shahadat ke baad ke
29:45Agar haalaat ko dekhen
29:47To hum yeh dekhte hain
29:49Ki jistara aap ne firmaya tha
29:51Ki meri shahadat ke baad
29:53Kabhi bhi ittifaq nahi ho payega
29:55Fitno ke aisa daur shuru hoga
29:57Ki jin ko kabhi bhi roka nahi jaa sakega
29:59Aur fitno ko wo darwaza khulega
30:01Jo kabhi band nahi ho payega
30:03Bilkul aisa hi hua
30:05Khiraj-e-Usman-e-Ghani ki shahadat ke baad
30:07Hazrat-e-Mawla-e-Ali
30:09R.A.
30:11Aap khilafat par mutamakkin hua
30:13Aur aapne dekha ki yehi bulwai log
30:15Aapke lashkar ka hisa ban rahe hain
30:17Aap unse ko
30:19Mana karte hain aur poochte hain
30:21To wo saare kahte hain ki hum
30:23Qatilin-e-Usman hain
30:25Qatilin-e-Usman ka badla lena chahate hain
30:27Wo saare ke saare ek taraf ko khade ho jaate hain
30:29Hazrat-e-Mawla-e-Ali
30:31R.A. masoos karte hain
30:33Aapko kabu karna chahiye
30:35Aur jab aapne yeh masoos kiya
30:37Ki Madina-e-Tayyiba ki hurmat ko paamaal
30:39Kiya jaayega
30:41Aur fitne jo hai wo badte jaayenge
30:43To aapne
30:45Daar-e-Khilafat
30:47Jo Madina-e-Tayyiba tha
30:49Usko Kufa ki taraf muntaqil firma diya
30:51Taake
30:53Madinat-un-Nabi ki behurmati na ho
30:55Aur iski
30:57Izzat ko madeed paamaal na kiya jaaye
30:59Hazrat-e-Ali R.A. ko bhi
31:01Isi tarah ki ahwaal ka saamna
31:03Karna pada
31:05Aap dekhiye ki wo fitne peyda huye
31:07Ki Hazrat-e-Ali ki saari khilafat ka
31:09Jitni bhi zindagi hai
31:11Aur khilafat ka jitna bhi daur hai
31:13Wo saare ka saare fitno se ladte huye
31:15Jangon ki saath mukabla karte huye
31:17Aur unke saamne
31:19Pul bante huye guzarta hai
31:21Aur uske baad aap dekhiye
31:23Hazrat-e-Ali ki shahadat hoti hain
31:25Hazrat-e-Imam-e-Hassan ki shahadat hoti hain
31:27Hazrat-e-Imam-e-Hussain ki shahadat hoti hain
31:29Fitno pe fitne hain
31:31Aur ye aagaz Hazrat-e-Usman-e-Ghani
31:33R.A. ki shahadat se hota hai
31:35Hazrat-e-Usman-e-Ghani
31:37R.A.
31:39Jinn ushaaf ke maalik
31:41Aur jinn ushaaf ke haamil the
31:43Yaqeenan Allah-Tabarak-Wa-Ta'ala
31:45Unko buland darajat
31:47Ata farmaye
31:49Aur Allah-ni yaqeenan unko wo darajat ata farmaye hain
31:51Jo kisi ke wahm-o-guman me bhi nahi aasakte
31:53Allah-Ta'ala ne Quran-e-Majeed me
31:55Jo Radhi-Allah-u-Anhu
31:57Radhi-Allah-u-Anhu
31:59Jo Radhi-Allah-u-Anhu
32:01Aur Warad-u-Anhum
32:03Ka piyaara laqab ata farmaya
32:05Jo Hazrat-e-Usman-e-Ghani
32:07R.A. anhu ke baare me
32:09Quran-e-Majeed ki ayaah mubarakah utli
32:11Laqad Radhi-Allah-u-Anhu al-mu'mineena
32:13Idh yubai'oonaka tahtas shajarah
32:15Aur inna allatheena yubai'oonaka
32:17Innama yubai'oonallah
32:19Sulah Hudabiyah ke moqah par
32:21Jab bait-e-Rizwan ho rahi thi usse pehle
32:23To bait-e-Rizwan
32:25Nabi-e-Karim Sallallahu-Alaihi-Wa-Alihi-Wa-Sallam
32:27Ne Hazrat-e-Usman-e-Ghani ki wajah se
32:29Wo bait li thi aur apne haath ko
32:31Hazrat-e-Usman-e-Ghani ka haath karar diya tha
32:33Ye buland paaya hasti
32:35Hazrat-e-Syedna Usman-e-Ghani
32:37R.A. anhu ki hai
32:39Aaj bhi Hazrat-e-Usman-e-Ghani ki shahadat
32:41Humein ye sabq deti hai
32:43Ke humein in fitno ko samjhna hai
32:45Jo us daur me
32:47Ruh numa hua
32:49Aur unhone Saltanat-e-Usmaniya ko
32:51Na qabal-e-taf talafi nukhsan pohjaya
32:53Aur aisa nukhsan pohjaya
32:55Ke aaj tak Islam
32:57Aur Saltanat-e-Islamiya
32:59Unka
33:01Humyaaza bukht rahi hai
33:03Aur Musliman Mabalik aaj bhi
33:05Un saazishon ka shikar hai
33:07Aap Palestine ko dekh lijiye
33:09Aap Bait-ul-Muqaddas ke mukhtalif hawal ko dekh lijiye
33:11Aur mukhtalif tariqi adwar ko dekh lijiye
33:15Samayin-o-nazareen
33:17Hazrat-e-Usman-e-Ghani R.A. anhu ki
33:19Aadat hume sabq deti hai
33:21Hume apni safon me maujood dushmanon ko talash karna hai
33:23Munafiqeen ko talash karna hai
33:25Aur unko talash karke
33:27Unko apni safon se nikaalna hai
33:29Ittifaq, Ittihad,
33:31Mohabbat aur Pyaar peyada karna hai
33:33Taake hum fir se
33:35Dubaara Islam ke
33:37Muttahid zamane ki taraf aasakein
33:39Aur dubaara
33:41Islami Saltanat ko
33:43Waise phalta phulta dekhen
33:45Jaisa ke Khulafa-e-Rashideen ke daur me tha
33:47Wala Kareem Hameed Tawfiqata Farmaay
33:49Ameen
33:51Wa Aakhir Dawaya Nilhamdulillahi Rabbil Aalameen
Comments