Skip to playerSkip to main content
  • 6 years ago

Sign And Sympotom No 1.
Hamal ki pehli alamat mahwari ka band hona hai. Amuman haamla aurat ko 28 din ke baad baqaida haiz nahi aata aur agar do hafte mazeed guzar jaye to hamal karar pa jane ka shuba qudrati hai. Baaz auqaat mahol ya aabb o huwa ki tabdeeli, bemari, jismani ya zehni sadme se bhi mahvari band ho jati hai.Lekin agar dusra mahina bhi saaf guzar jaye tu hamal ki alamaat zahir hone ya nah hone se hamal ki tasdeeq ya tarweed ki ja jati hai.

Sign And Sympotom No 2.
Hamla honay ki doosri barri nishani pastanoo mein tagayur hai. Hamla aurat ki chhatiyan bhaari aur sakht ho jati hain, un mein narmi peda ho jati hai aur nipple bhi numaya aur mouti ho jati hain.Nipple ke gird ka Haala gehra siyah ho jata hai aur is ka phelao bhi 3 inch tak barh jata hai. Iske sath hi chatiyon (breasts) ki nason mein khoon ki gardish taiz ho jati hai aur un mein khoon ka dabao saaf dikhayi deta hai.


Sign And Sympotom No 3.
Hamla honay ki teesri bari alamat matli aur qay hai. Hamal tehrane ke taqreeban 2 hafte baad hamla aurat ko matli aur qay ki shikayat ho jati hai, yeh shikayat takrbain 12 hafton tak jari rehti hai aur din mein kisi bhi waqt ho sakti hai.Baaz aisi aurtain bhi hain jin ko dron e hamal matli ya qay shikayat bilkul nahi hoti aur hamal ke istiqraar ke taayun ke liye aurat ko matli aur qay hona zaroori nahi hai.

Sign And Sympotom No 4.
Hamal thehray ki chothi alamat pishaab ki kasrat ya zayad-ti hai. Hamal ke sabab reham yani bacha daani phelnay lagti hai aur is ka dabao masanay par parney lagta hai. Jiski wajah se ibtidayi hafton mein aap ko baar baar pishaab ki haajat honay lagi gi.Is shikayat ka koi tadaruk nahi ho sakta. Ibtidayi 12 hafton ke baad yeh shikayat khud bakhud jati rehti hai Albata zichki se 2 haftay qabal phir lout aati hai.

Sign And Sympotom No 5.
Hamal ki panchwin alamat reham (vagina) se luaab daar ratobat ka ikhraj hai. Hamal thehrnay ke baad reham se pani ki tarah ka raqeeq kharij honay lagta hai. Aur jin aaza ka talluq bachay ki paidaiesh se hai un mein khoon ki gardish taiz hojati hai jiski wajah se vagina se pani ki terhan ka luaab daar madah kharij hone lagta hai.
Agar maday ka ikhraj ki miqdar badh jaye to doctor se mahswara karna chahiye. Yeh bhi ain mumkin hai ke alamat siray se gayab hon aur istiqrar hamal ho jaye.

Sign And Sympotom No 6.
Pait ka badhna bhi hamal ki alamat mein se aik wazay alamat hai. 3 mahinay baad haamla aurat ka pait bherne lagta hai, aur panchwin mahinay chupaye nahi chupta.Lekin baaz waqt pait mein phora honay ki wajah se bhi pait barh jata hai, agar hamal ki doosri alamaat zahir nah hon aur sirf pait hi bara sun-hwa ya is mein boj mehsoos ho to foran dr ko dikhnana chahiye.

Sign And Sympotom No 7.
Pait par daharian (Stretch Marks) parna bhi hamal ki aik wazay nishani hai. Hamal thehrane ke 4 se 5 mahinay baad pait ke nichale hissay, pairron aur ranon par gulaabii zeng ki daharian par jati hain. Aisa maloom hota hai jaisay khurachnay se nishaan par gaye hon.Asal mein reham ka bharne s

Category

📚
Learning
Comments

Recommended