Baat nikalegi toh phir dur talak jaayegi Log bewajha udaasi ka sabab puchhenge Yeh bhi puchhenge ke tum itani pareshaan kyun ho
Ungaliya uthengi sukhe huye baalon ki taraf Ek nazar dekhenge guzre huye saalon ki tarah Chudiyon par bhi kayi tanz kiye jaayenge Kaanpate haathon ke bhi fikarain kase jaayenge
Log zaalim hai har ik baat ka taana denge Baaton baaton mein mera zikrr bhi le aayenge Unaki baaton ka zara sa bhi asar mat lena Warana chehare ke ta'asur se samajh jaayenge
Chaahe kuchh bhi ho sawaalaat na karana un'se Mere baare mein koyi baat na karana un'se