hai khud se hi khafa khafa keya chahiye nahi pata

  • 9 years ago
suno!!
ham naraz hain tum se
bht naraz hain tum se
bht majboor ho na tum
bht masruf ho na tum
hamain to yaad karne ka
waqat barbad karne ka
tumhain to waqt hi kab hai
na tum ko yaad ate hain
tumhain kitna satate hain

par ab k maf karna tum
hamain na yaad ana tum
tumhain na yaad ayin ge
na tum ko yunh satain ge
par jab tum ham ko bulaoo ge
to ham bhi tum ko keh dain ge

bht majboor hain ham bhi
bht masroof hain ham bhi
hamain bhi kam hain kitne
hamain na hi bulaoo tum
na ham ko yaad aoo tum

k ham bht naraz hain tum se
bht naraz hain tum se

Recommended