With Lyrics AATA HOON MAIN Yesu Naam Se by Anil & Shreya Kant
Aata hoon main, Yesu naam se Kehta hoon main, Yesu naam se Yesu naam ke aage, har ghutna tik jaaye Yesu Masih Khuda hai, har zubaan ye gaaye Yesu naam Yesu naam, sabse pyara Yesu naam
Pehne hoon main, rooh ke kapde, Haathon mein, do-dhari talwaar Yesu naam se, tod diye hain, Maine dushman, ke sab hathiyaar Yesu naam se khola, har barkat khul jaaye Yesu naam se daanta, shaitaan nazar na aaye Yesu naam, Yesu naam, sabse pyara...
Badroohon ko, raundo jaao Saanpon ko, pairon se kuchlo Ikhtiyaar yeh, Yesu Masih ne Hamen diya hai, aur yeh kaha hai Shaitaan ki chaalon se, kuch nuksaan na hoga Naam hamara jannat mein, Yesu ne likha hai Yesu naam, Yesu naam, sabse pyara Yesu naam Mukt kiya hai, Yesu naam ne Chudha Liya, Yesu naam ne Taaqatwala Yesu naam, rehmatwala Yesu naam, Barkatwala Yesu naam, kudratwala Yesu naam, Sabse oonchaa Yesu naam, sabse pehla Yesu naam Alfa hai Yesu naam, Omega Yesu naam Shifa deta Yesu naam, mukti deta, maafi deta Shanti deta Yesu naam, sabse pyara Yesu naam..
Be the first to comment