Aaj ashk mere naat sunain to ajab kya Sun ker woh mujhe pas bulaein to ajab kya. Un per to ghunahagar ka sab hal khula hai Iss par bhi who daman mein chupaein to ajab kiya. Muhn dhanp kay rakna ke ghunahagaar bohot hoon Mayat ko meri dekhnay ayein to ajab kya. Na zaad e safar hai na koi kaam bhalay hain Phir bhi hamain sarkaar bulain to ajab kya. Deedar key qabil to nahin chashm e tamana Lekin Woh kabhi khwaab main aaein to ajab kya.
Deedar ke qabil to kahan meri nazar hai Lakin woh kabhi khawab mein aayein to ajab kiya. Yeh nisbat e shah e madni aur yeh aansoo Mehshar mein aik gham say shuraein to ajab kiya. Main aisa khatawar hoon kuch had bhi nahin jis ki Phir bhi meray aeboon ko chupaein to ajab kiya. Paband nawa to nahin faryad ki rasmein Yeh ishq mera haal sunayein to ajab kiya. Paband nawa to nahin faryad ki rasmein Aansoo hi mera hal sunaein to ajab kiya. Haasil jinhein aqaa ki ghulami ka sharaf hai Thokar say woh murdoon ko jalaaein to ajab kiya. Woh husn e do aalam hain adeeb unkay kadam say Sehra main agar phool khilayein to ajab kiya.