Meri zindagi tu firaaq hai - Sad Urdu Poetry

  • 12 years ago
Meri Zindagi tou firaaq hai, woh azal se dil main makeen sahi
Wo nigah’e_shauq se door hain, rag’e_jaan se lakh qareen sahi

Hamein jaan dainee hai aik din, wo kisi tarah wo kahin sahi
Hamein aap khainchiye daar par, jo nahi koi tu hameen sahi

Sar_e_toor ho sar_e_hasher ho, hamein intizaar qubool hai
Wo kabhi milein, wo kahin milein, wo kabhi sahi, wo kahin sahi

Na ho un pe kuch mera bass nahi, k ye aashqi hai hawas nahi
Mai unhi ka tha, mai unhi ka hoon, wo mere nahi tu nahi sahi

Mujhe bhaithne ki jaga milay, meri aarzoo ka bharam rahay
Teri anjuman mein agar nahi,teri anjuman k qareen sahi

tera dar tau hum ko na mil saka, teri rahguzar ki zameen sahi
hamain sajda karne se kaam hai, jo wahan nahin tau yahin sahi

meri zindagi ka naseeb hai nahin door mujh se qareeb hai
mujhay uska ghum tau naseeb hai wo agar nahin tau nahin sahih

jo ho faisala wo sunaaiye usay hashr pe na uthaiye
jo karain gay app sitam wahan wo abhi sahi wo yehin sahi

Use dekhne ki jo low lagi tu Naseer dekh hi lain gey hum
Wo hazaar aankh se door ho, wo hazaar pardah nasheen sahi

Recommended