SB-John-Tu-Jo-Naheen

  • 13 years ago
Indian Version
Singer: Glenn John
Movie: Woh Lamhe (2006)

Tu jo nahi hai toh, kuchh bhi nahi hai
Yeh maana ki mehfil jawaan hai, haseen hai
Tu jo nahi hai toh, kuchh bhi nahi hai

Samajh mein na aaye yeh kya maajara hain
Tujhe paake dil mein yeh khaali sa kya hai
Kyun har waqt dil mein koi be-kali hai
Kyun har waqt seene mein rehti kami hai
Tu jo nahi hai toh, kuchh bhi nahi hai
Yeh maana ki mehfil jawaan hai, haseen hai

Mujhe phir tabaah kar, mujhe phir rulaa jaa
Sitam karne waale, kahin se tu aaja
Mein zinda hoon lekin, kahan zindagi hai
Meri zindagi tu kahan kho gayi hai
Tu jo nahi hai toh, kuchh bhi nahi hai
Yeh maana ki mehfil jawaan hai, haseen hai