Ab kay saal poonam main jab too aaye gi milnay,
Hum nay soch rakha hay raat yon guzarain gay
dhaRkanain bichcha dain gay shouq teray qadmon pe, hum nigahon say teri aarti utarain gay
too kay aaj qatil hay, phir bhi rahat-e-dil hay, zehar ki nadi hay too, phir bhi qeemti hay too
past hoslay walay tera saath kia dain gay, zindagi idhar aaja hum tujhay guzarain gay
aahani kalejay ko zakhm ki zaroorat hay, ungliyon say jo Tapkay is laho ki hajat hay
aap zulf-e-jana kay kham sanwariye sahab, zindagi ki zulfon ko aap kia sanwarain gay
hum to waqt hain, pal hain, tez gaam ghaRiyan hain, bay qarar lamhay hain, bay tukaan sadiyan hain
koe saath main apnay aaye ya nahi aaye, jo milay ga rastay main, hum usay pukarain gay
(nasir kazmi)
#hearttouching#song
قرآن و حدیث، اسلا می تعلیمات، دعا و اذکار
Comments