00:00Allah ta'ala ke deen ko mazboot thaam le to bila shubaa usse raah-e-raaz dikha di gayi.
00:06Aye imaan walo, Allah ta'ala se utna daro jitna usse darna chahiye.
00:11Aur dekho, mart-e-dam tak musalman hi rehna.
00:14Allah ta'ala ki rasi ko sab milkar mazboot thaam le.
00:18Aya imaan walo, Allah ta'ala se utna daro jitna usse darna chahiye.
00:23Aur dekho, mart-e-dam tak musalman hi rehna.
00:27Allah ta'ala ki rasi ko sab milkar mazboot thaam le.
00:30Aur phoot na dalo.
00:32Aur Allah ta'ala ki uss waqt ki naimat ko yaad karo,
00:35jab tum ek doosre ke dushman the,
00:37to usne tumhare dilon me ulfat daal di.
00:40Pas, tum uski meharbani se bhai bhai ho gaye.
00:43Aur tum aag ke gadhe ke kinare pahunch chuke the,
00:46to usne tumhe bacha liya.
00:48Allah ta'ala isi tarah tumhare liye apni nishaniyan bayan karta hai,
00:52taake tum hidayat pao.
00:54Tummise ek jamaat aisi honi chahiye jo bhalayi ki tarah bulaye,
00:58aur naik kaamon ka hukm kare,
01:00aur buray kaamon se roke.
01:02Aur yehi log falah ho nijad paane wale hain.
01:05Tum un logon ki tarah na ho jana,
01:07jinhone apne paas roshan dalilein a jaane ke baad bhi tafarqa daala,
01:11aur ikhtilaf kiya.
01:13Unhi logon ke liye bada azaab hai.
01:16Jis din baaz chehre safayd honge aur baaz siyah,
01:19siyah chehre walon se kaha jaayega,
01:21ke kya tumne iman laane ke baad kufr kiya,
01:24ab apne kufr ka azaab chakho.
01:26Aur safayd chehre wale Allah ta'ala ki rahmat me daakhil honge,
01:30aur usme hamesha rahenge.
01:32Ae nabi, hum in haqqani ayaton ki tilawat aap par kar rahe hain,
01:36aur Allah ta'ala ka irada logon par zulm karne ka nahi.
01:40Allah ta'ala hi ke liye hai,
01:42jo kuch aasmanon aur zameen me hai,
01:44aur Allah ta'ala hi ki tarah tamam kaam lotaye jaate hain.
01:49Tum behtreen ummat ho,
01:51jo logon ke liye paida ki gayi hai,
01:53ke tum nek baaton ka hukm karte ho,
01:55aur buri baaton se rokte ho,
01:57aur Allah ta'ala par iman rakte ho.
02:00Agar ahle kitab bhi iman laate,
02:02to unke liye behtar tha.
02:04Unme iman wale bhi hain,
02:06lekin aksar to faasikh hain.
02:08Ye tumhe sataane ki siwa,
02:10aur zyada kuch zarar nahi pohcha sakte.
02:12Agar ladaai ka moqa a jaaye,
02:14to peeth mor lenge,
02:16fir madad na kiye jaayenge.
02:18In par har jaga zillat ki maar padi,
02:20illa ye kya Allah ta'ala ki,
02:22ya logon ki panah me ho.
02:24Ye ghazab-e-ilahi ke mustahik ho gaye,
02:26aur in par faqiri daal di gaye.
02:28Ye isliye,
02:30ki ye log Allah ta'ala ki aayaton se kufr karte the.
02:32Aur be waja,
02:34anbiya ko qatl karte the.
02:36Ye badla hai unki naafarmaniyon,
02:38aur zyadteeyon ka.
02:40Ye saare ke saare yaksa nahi,
02:42balke in ahle kitab me,
02:44ye jamaat haq par qaim rehnewali bhi hai,
02:46jo raaton ke waqt bhi,
02:48kalam-e-Allah ki talawat karte hain,
02:50aur sajde bhi karte hain.
02:52Ye Allah ta'ala par,
02:54aur qayamat ke din par,
02:56imaan bhi rakte hain,
02:58bhalaiyon ka hukm karte hain,
03:00aur buraiyon se rokte hain,
03:02aur bhalai ke kaamon me jaldi karte hain,
03:04ye naik waqt logon me se hain.
03:06Ye jo kuch bhi bhalaiyan karein,
03:08unki naaqadri na ki jaayegi,
03:10aur Allah ta'ala parhezgaron ko,
03:12Kafiron ko unke maal,
03:14aur unki awlaad,
03:16Allah ke haan kuch kaam na aayengi,
03:18ye to jahannumi hain,
03:20jo hamesha isi me pade rehenge.
03:22Ye kuffaar,
03:24jo kharch akhrajaat karein,
03:26uski misaal ye hai,
03:28ke ek tund hawa chali,
03:30jisme pala tha,
03:32jo zalimon ki kheti par pada,
03:34aur usse tehs nehs kardiya.
03:36Allah ta'ala ne in par zulm nahi kiya,
03:38balke wo khud apni jaanon par zulm karte the.
03:40Ye naa dili dost,
03:42imaan walon ke siwa aur kisi ko na banao,
03:44tum to nahi dekhte,
03:46doosre log tumhari tabahi me koi kasar utha nahi rakhte.
03:48Wo to chahte hain,
03:50ke tum dukh me pado,
03:52unki adaawat to khud unki zubaan se bhi zahir ho chuki hai,
03:54aur jo unke seeno me posheeda hai,
03:56wo bohot zyada hai,
03:58humne tumhare liye aayatein bayan kardi.
04:00Agar aqalman ho,
04:02to ghor karo,
04:04haan tum to inhe chahte ho,
04:06aur wo tumse muhabbat nahi rakhte.
04:08Tum poori kitab ko maante ho,
04:10wo nahi maante, phir muhabbat kaisi?
04:12Ye tumhare saamne to apne
04:14imaan ka akraar karte hain,
04:16lekin tanhai me maare gusse ke ungliyan chabate hain.
04:18Kehdo,
04:20ke apne gusse hi me mar jao,
04:22Allah ta'ala dilon ke raaz ko bahubi jaanta hai.
04:24Tumhe agar bhalai mile,
04:26to ye naa khush hote hain,
04:28haan agar burai pohche to khush hote hain.
04:30Tum agar sabr karo,
04:32aur parhezgari karo,
04:34to inka makar tumhe kuch nukhsaan na deka.
04:36Allah ta'ala ne
04:38inke aamaal ka ahata kar rakha hai.
04:40Aye nabi, uss waqt ko bhi yaad karo,
04:42jab subhi sub
04:44aap apne ghar se nikal kar
04:46musalmanon ko meydan e jang me
04:48ladaai ke morchon par baqaida bitha rahe the,
04:50Allah ta'ala sunne wala,
04:52jaanne wala hai.
04:54Jab tumhari do jamaatin
04:56past himmati ka irada kar chukki thi,
04:58Allah ta'ala unka wali aur matadgaar hai,
05:00aur ussi ki paagzaat par
05:02momino ko bharosa rakhna chahiye.
05:04Jang e badar me,
05:06Allah ta'ala ne ayaan uss waqt
05:08tumhari madad farmai thi,
05:10jab ke tum nihayat giri hui haalat me the.
05:12Isliye, Allah hi se daro,
05:14na kisi aur se,
05:16taake tumhe shukr guzaari ki tofiq ho.
05:18Aur ye shukr guzaari,
05:20baayis-e-nusrat-o-imdaad ho.
05:22Jab aap momino ko tasalli de rahe the,
05:24kya aasman se teen hazaar farishte utaarkar,
05:26Allah ta'ala ka
05:28tumhari madad karna,
05:30tumhe kaafi na hoga?
05:32Balke agar tum sabro par hizgari karo,
05:34aur ye log ussi dum
05:36tumhare paas aajaayen,
05:38to tumhara Rabb tumhari imdaad
05:405000 farishton se karega,
05:42jo nishan daar honge.
05:44Aur ye to mehz tumhare dil ki khushi
05:46aur itmanan-e-qalb ke liye hai,
05:48warna madad to Allah hi ki taraf se hai,
05:50jo ghalib aur hikmaton wala hai.
05:52Is imdaad-e-ilahi ka maqsad ye tha,
05:54ki Allah kaafiron ki
05:56ek jamaat ko kaat de,
05:58ya unhe zalil kar daale,
06:00tumhari na murad hokar
06:02wapas chale jaayen.
06:04Aay peghambar,
06:06aapke akhtiyar me kuch nahi,
06:08Allah ta'ala chaahe to unki tauba
06:10kabool kare, ya azab de,
06:12kyunke wo zalim hai.
06:14Aasmanon aur zameen me jo kuch hai,
06:16sab Allah hi ka hai,
06:18wo jise chaahe bakshe,
06:20jise chaahe azab kare.
06:22Allah ta'ala bakshish karne wala
06:24meharbaan hai.
06:26Aay imaan walo,
06:28aur us aag se daro,
06:30jo kaafiron ke liye tayyar ki gayi hai.
06:32Aur Allah aur uske rasool
06:34ki firma bardaari karo,
06:36taake tum par rahim kiya jaaye.
06:38Aur apne Rab ki bakshish ki taraf
06:40aur us jannat ki taraf dodo,
06:42jiska arz aasmanon aur zameen
06:44ke barabar hai,
06:46jo parhezgaron ke liye tayyar ki gayi hai.
06:48Jo log aasani me aur sakti ke
06:50moqe par bhi Allah ke raaste me
06:52kharj karte hai, gussa peene wale
06:54aur logon se dar guzar karne wale
06:56hai. Allah ta'ala
06:58unn naik kaaron se mohabbat karta hai.
07:00Jab unn se koi nashaista
07:02kaam ho jaye, ya koi gunah
07:04kar baithe, toh foran Allah ka zikr
07:06aur apne gunahon ke liye astaghfar
07:08karte hai. Filwaqih
07:10Allah ta'ala ke siwa aur kaun
07:12gunahon ko baksh sakta hai.
07:14Aur wo log ba wujud ilm ke
07:16kisi bure kaam par ard nahi jaate.
07:18Unn hi ka badla, unn ke
07:20Rab ki taraf se maghfirat hai.
07:22Aur jannatein hain, jinn ke neechin
07:24jahati hain, jinn me wo hamesha rahenge.
07:26Unn naik kaamon ke karne walon
07:28ko sawab kya hi achha hai.
07:30Tum se pehle bhi aise waqiyat guzar
07:32chuke hain, so zameen me chal firkar
07:34dekh lo, ke aswani talim
07:36ke jhutlane walon ka kya anjaam hua.
07:38Aam logon ke liye toh ye
07:40Quran bayaan hai, aur
07:42parhezgaron ke liye hidayat aur nasihat hai.
07:44Tum na susti karo
07:46aur na ghamgeen ho, tum hi ghalib
07:48rahoge, agar tum imaandar
07:50ho. Agar tum zaqmi hua ho,
07:52toh tumhare mukhalif log bhi toh aise
07:54hi zaqmi ho chuke hain. Hum
07:56in dino ko logon ke darmiyan
07:58adalte badalte rehte hain.
08:00Shikast-e-uhud isliye thi
08:02kya Allah ta'ala imaan walon
08:04ko zahir kar de, aur tum me se
08:06baaz ko shahadat ka darjahata firmaaye.
08:08Allah ta'ala zalimon se muhabbat
08:10nahin karta. Ye wajah bhi thi
08:12kya Allah ta'ala imaan walon ko
08:14bilkul alag kar de, aur kafiron
08:16ko mita de. Kya tum ye samajh
08:18bethe ho, ke tum jannat me chale jaoge,
08:20haala ke ab tak Allah ta'ala
08:22na ye zahir nahin kiya, ke tum me se
08:24jahat karne wale kaun hain, aur
08:26sabr karne wale kaun hain.
08:28Jang se pehle, toh tum shahadat ki
08:30aarzu me thi, ab ise apni aakhon
08:32se apne saamne dekh liya.
08:34Hazrat Muhammad sallallahu alaihi
08:36wa sallam sirf rasool hi hain.
08:38Un se pehle, bohot se rasool
08:40ho chuke hain. Kya agar inka
08:42intiqal ho jaye, ya ye shaheed
08:44ho jaye, toh tum Islam se apni
08:46ediyon ke bal phir jaoge?
08:48Aur jo koi phir jaye, apni ediyon
08:50par, toh hargiz Allah ta'ala
08:52ka kuch na bigarega. An qareeb
08:54Allah ta'ala shukr guzaron ko
08:56nek badla deka.
08:58Baghair Allah ta'ala ke hukum ke koi
09:00jaandar nahin mar sakta. Muqarrar
09:02shuda waqt likha hua hai. Duniya
09:04ki chahat walon ko, hum kuch duniya
09:06de dete hain, aur aakhirat ka
09:08sawab jahane walon ko, hum wo bhi
09:10denge. Aur ihsaan maanne walon ko,
09:12hum bohot jald nek badla denge.
09:14Bohot se nabiyon ke,
09:16hum raqab hukar bohot se Allah
09:18wale jahat kar chuke hain.
09:20Unhe bhi Allah ki raah me takleefah
09:22pohchi, lekin na toh unhone himmat
09:24haari, na sust rahe, aur na
09:26dabe. Aur Allah sabr
09:28karne walon ko hi chahta hai.
09:30Woh yehi kehte rahe, ki aye
09:32Parvardigar, humare gunahon ko
09:34bakhsh de, aur hum se humare kamon
09:36me jo beja ziyadati hui hai, usse
09:38bhi maaf farma, aur hume sabit
09:40qadmiyat aafarma, aur hume
09:42kafiron ki qaum par madad de.
09:44Allah ta'ala ne unhe duniya ka sawab
09:46bhi diya, aur aakhirat ke sawab ki
09:48khubi bhi hata farmai. Aur Allah
09:50ta'ala nek logon se muhabbat karta hai.
09:52Aye imaan walon, agar tum
09:54kafiron ki baate maanoge, toh
09:56woh tumhe tumhari ediyon ke bal
09:58palta denge, yaani tumhe murtid
10:00bana denge, fir tum na murad
10:02ho jaoge. Walki Allah hi tumhara
10:04maula hai, aur wahi behtreen
10:06madadgar hai.
Comments