ll بِسمِ اللہِ الرَّحمٰنِ الرَّحِيم ll Gift for All Momineens ----------------------- Video Details! Noha - Mar Jaungi Baba Shayar: Syed Aijaz Rizvi Nohaqan: Syed Farhan Hussain (Anjumane Dare Hussain)
Uploaded By | Saiyed VasimHaider Nizamali Bukhari #noha #nohay #oldNoha #puranenohay #manqbat #shayari #azadari #Comment & #Share To All Momineen. ------------------------ LYRICS Noha - Mar Jaungi Baba
Shayar: Syed Aijaz Rizvi Nohaqan: Syed Farhan Hussain (Anjumane Dare Hussain) . ro ro ke sada deti thi ye shah ki dukhtar mar jaungi baba, mar jaungi baba mat jaye khade ran may hai ye sham ke lashkar mar jaungi baba, mar jaungi baba
kyun apne badan pe hai ye hathyaar sajate waswaas hai aate, waswaas hai aate ye dekh ke chalte hai mere qalb pe nashtar mar jaungi baba, mar jaungi baba
sunti hoo ke haathon may liye shimr hai khanjar ay saaqiye kausar, ay saaqiye kausar baad aapke hojayega jeena mera do bar mar jaungi baba, mar jaungi baba
jaate ho to pehle hamay pahunchado madina wan roye sakina, wan roye sakina ya itna batado hai kahan marqade hyder mar jaungi baba, mar jaungi baba
qasim hai na akbar hai na hai hazrate abbas jeene ke nahi aas, jeene ke nahi aas lagta hai phupi amma ki chin jayegi chadar mar jaungi baba, mar jaungi baba
humko aseer karke ye le jayenge jab shaam roungi mai har gaam, roungi mai har gaam mazloom ke sar par wahan barsayenge pathar mar jaungi baba, mar jaungi baba
jo bhi gaya ran ko nahi aaya wo palat kar abbas na akbar, abbas na akbar ab aap ka sadma mai utha paungi kyun kar mar jaungi baba, mar jaungi baba
zakir banake baksha hai zehra ne ye farhan tumko bhi ay aijaz, tumko bhi ay aijaz majlis may bapa hashr hai is soz ko sunkar mar jaungi baba, mar jaungi baba --------------------------
Please Share Your Suggestions In Comments -------------------------- Follow US On Our Social Media Channels : FACEBOOK : https://www.facebook.com/saiyedvasimhaider.bukhari INSTAGRAM : https://www.instagram.com/vnbukhari YOUTUBE : https://www.youtube.com/channel/UC6rGOL8pf4JCklRLs9TNDWQ TWITTER : https://www.Twitter.com/vasim1230 DAILYMOTION : https://www.dailymotion.com/VasimHaider -------------------------- Allah jjh Muhammad saw. Ali a.s Fatima a.s Hasan a.s Hussain a.s. Zainab a.s Abbas a.s Syed nadeem sarwar Irfan haider Farhan Aliwaris Mir hassan Mir Ali jee Ali shanawar Noha Nouha Nowha Nohey Latmiya Marsiya Soz Salaam Naat Qasida Shayari Muharram Azadari Manqabat Wiladate Shahadat
Be the first to comment