Mayyat Hai Sakina Ki Andhera Haaye Zindan | Shayar: Rehaan Azmi | Nohaqan: Nasir Zaidi | Noha lyric |Purane Nohay

  • 2 years ago
ll بِسمِ اللہِ الرَّحمٰنِ الرَّحِيم ll
Gift for All Momineens
-------------------
Video Details!
Noha - Mayyat Hai Sakina Ki Andhera Haaye Zindan
Shayar: Rehaan Azmi
Nohaqan: Nasir Zaidi

Uploaded By | Saiyed VasimHaider Nizamali Bukhari
#noha #nohay #oldNoha #puranenohay #manqbat #shayari #azadari #Comment & #Share To All Momineen.
-------------------
LYRICS
Noha - Mayyat Hai Sakina Ki Andhera Haaye Zindan
Shayar: Rehaan Azmi
Nohaqan: Nasir Zaidi

mayyat hai sakina ki andhera haaye zindaan
allah na dikhlaye ab aisa koi zindaan

kurte ka kafan ghusl diya ashkon se jisko
dafnaya usay kaise ye sajjad se poocho
khamosh hui bachi to rota raha zindaan
mayyat hai sakina ki....

udte huwe dekhe jo parinde ko pukari
ay taahir-o-sughra ko khabar do ye hamari
tum khush raho sughra mere kismat may tha zindaan
mayyat hai sakina ki....

kano ka lahoo chand se chehre pe jama tha
qaimo may lagi aagj to daaman bhi jala tha
tanhaai may bachi ko dasta raha zindaan
mayyat hai sakina ki....

sehmi hui rehti thi sitamgaaro ke dar se
shikwe kiya karti thi fakhad baap ke sar se
likha gaya kismat may ye kaisa zindaan
mayyat hai sakina ki....

ab khaakh pe soti hoo na takiya hai na bistar
rakta nahi ek shamma koi ab to jalakar
jeene nahi deta hai ay baba zindaan
mayyat hai sakina ki....

___________________
kehti thi phuphi qaid se kab hogi rehaai
amma mere ammu ki khabar kyon nahi aayi
tukde kiye deta hai kaleja mera zindaan
__________________

sar baap ka paaya to wo phir is tarha soyi
phir royi nahi uske liye maut thi royi
deta raha sajjad ko pursa sada zindaan
mayyat hai sakina ki....

maa kehti rahi aao utho neend se jaago
azaad hui qaid se mai jaati hoo ghar ko
milne chalo sughra se ke ab khul gaya zindaan
mayyat hai sakina ki....

ghar jaane ka armaan tha sakina ko jo rehaan
marke bhi na pura hua us bachi ka armaan
masoom sakina ka markhad bana zindaan
mayyat hai sakina ki....
--------------------------

Please Share Your Suggestions In Comments
--------------------------
Follow US On Our Social Media Channels :
FACEBOOK : https://www.facebook.com/saiyedvasimhaider.bukhari
INSTAGRAM : https://www.instagram.com/vnbukhari
YOUTUBE : https://www.youtube.com/channel/UC6rGOL8pf4JCklRLs9TNDWQ
TWITTER : https://www.Twitter.com/vasim1230
DAILYMOTION : https://www.dailymotion.com/VasimHaider
--------------------------
Allah jjh
Muhammad saw.
Ali a.s Fatima a.s
Hasan a.s
Hussain a.s.
Zainab a.s
Abbas a.s
Syed nadeem sarwar
Irfan haider
Farhan Aliwaris
Mir hassan Mir
Ali jee
Ali shanawar
Noha Nouha
Nowha
Nohey
Latmiya
Marsiya
Soz
Salaam
Naat
Qasida
Shayari
Muharram
Azadari
Manqabat
Wiladate
Shahadat

Recommended