Woh Kehta Hai Ke Darakht Purasraar Hotey Hain Deewana Waar Barhte Hain Par Wafadaar Hotey Hain Mehaz Evez Paani Kharre Rehte Hain Saibaan Ban Ke Darakht To Jaanisar Hote Hain
Samandar Main Bhi to Kai saaz Hote Hain Aur Unn Main Pinhaan Unginat Raaz Hote Hain Chaand Cherrta Hai Lehron Ko Kabhi Barh Kar Kabhi Ghath ke Safar Dhalti Jawani Ke Barre Dushwar Hote Hain
Raaste Darbadar Bhatkain Ya Kisi Gaon Ko Niklain Yeh Kyun Khamosh Hote Hain Haqeeqat Jaanke Bhi Barre Purjosh Hotey Hain Dil Ki Dehleez Se Jaane Wale Uss Ke Aane Ki Khabar Laane Wale Raaste To Woh Hote Hain Magar Pur-Khaar Hote Hain Jo Inn Pe Door Chalte Hain Wohi Jeedaar Hote Hain Naseeb Unn Barhana Qadmon Ko Hi Deedar Hote Hain
Aur Phir Dil-e-Jaanan Ka Darwaza Jo Har Waqt Band Rehta Hai Baarish Main Bheeq Jaata Hai Aur Karri Dhoop Sehta Hai Woh Jiske Peeche Mumkinaat Ke Anbaar Hote Hain Chand KHushiyaan Aur Kai Azaar Hote Hain Dil Ko Loot Lete Hain Ajab Dildar Hote Hain Woh Jinki Sharam Ke Taabe Sabhi Ashaar Hote Hain Dharkne Daurr Parti Hain Jine Sawar Hote Hain
Inhin Safinon Ke Beech Main Ek Badbaan Mera Bhi Hain Woh Kush-Guftar Kehta Hai To Mehrban Mera Bhi Hai
Samandar Be Aitebaar Hote Hain Darakht Kai Hazar Hote Hain Rate Intezar Hote Hain Darwaze To Beshumar HOte Hain Jo Teri Aankh Pe Ubhrain, Jo Tere Rukh Pe Phalain Sach To Meri Jaan Bass Wohi Inkaar Hote Hain Jo Be Ikhtiyaar Hote Hain Barre Laachaar Hote Hain..... { YASIRA RIZVI }