Madinah Yaad ata Hai wo Gunbad Yaad Ata hai - Naat

  • 7 years ago
Madinah Yaad ata Hai wo Gunbad Yaad Ata hai - Naat

Lyrics
Dare akdas pe haale dil sunana yaad aata hai
Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai
Madine mein jo guzra wo zamana yaad aata hai
Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai

Adab se baith kar us gumbade khazra ke saaye mein
Nabi ki yaad mein aansu bahana yaad aata hai
Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai

Rasulallah ke darbar mein unki muhobbat mein
Ye tera rozo shab ka aana jaana yaad aata hai
Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai

Awes karn bole maa ijazat dijiye mujko
Judaee mein tadapta hun madina yaad aata hai
Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai

Mizare fatema pe karbala walon ki yaad aaee
Madine waale aaqa ka gharana yaad aata hai
Madina yaad aata hai Madina yaad aata hai

Nabi ke zikr ki mehfil mein aate hi muje Mohsin
Madina yaad aata tha Madina yaad aata hai

Recommended