Hum Haidery hain by Mehdi Hassan ( Rarest Patriotic Song - Radio Pak )

  • 8 years ago
21st Ramadan 35 Hijri
Yaum-e-Visal Syeduna Ali-Al-Murtaza(Rza).
Aaj Azeem Sahabi-o-Damaad-e-Rasool(SawW) Syeduna Ali-Al-Murtaza(Rza) ko Kufa mai Riwaiti Kufi Zalalat ne Shaheed kar diya, Yeh Mal'oon soch Islam ka baal beeka to na kar saki lekin Aik Azeem Hasti ko Shaheed zaroor kar diya jesa ke pehle hi 2 Khulafa-e-Rasool ko kar chukay thay lekin phir is Burgazeeda Shakhsiat ki Zuban pe Yeh Kalimaat jari thya k "Khuda ki Qasam mai Kamyaab ho gya ".
Hazrat Ali(Rza) jinhe Tareekh-e-Islam mai Bahaduri ka Nishan samjha jata hai Hamare Askari Adab mai aik numayan Maqaam rakhte hain is liye Qaumi Naghmaat aur khaas tor par jangi Naghmaat mai "Zikr-e-Ali" ja ba ja milta hai, Yaqeenan yeh is Hasti ki Azmat ki Gawahi hai jinhon ne Mushkil Hlaat mai Islami Khilafat ka baar sambhala.
Mehdi Hassan ki Awaz mai yeh Nayab Naghma Social media pe sab se Pehle Sur Suhanay ke Rooh-e-Rawaan Janab Irfan Gabol bhai ne Upload kiya mgr Aik TV Channel jo Sab ko "Suchayee" ka dars deta hai us ne bad diyanati karte huwe Irfan bhai ke upload karda is naghmay ki audio lift ki aur same time duration ke sath video bana di ! yahi nhi balke dawa kiya ke yeh Naghma kabhi bhi kaheen bhi nashr nahi hua ! halanke yeh Naghma 1971 ki jang mai Radio Pak Karachi ne Tayyar kiya tha to zaahir hai nashr karne hi ke liye kiya tha. phir "Suchayee ke dawedaaron" ne Shaair mai bhi Sufi Ghulam Mustafa Tabassum likh diya jab ke Yeh tarana Janab Saleem Gilani sahb ka hai. beharhaal Aaj Yaum-e-Ali(Rza) ki Munasbat se Pehli baar Pak patriotic Library aur Sur Suhanay ki Joint Production Aap Sab ki Nazr jin mai Audio Courtesy irfan gabol Bhai ki hai.

Recommended