Nauha Recited by Mohammed Ajani Written by Zafar Abbas Zafar Video Directed by Fahim Ajani Cinematographed and Edited by Sumedh D Mankar Produced by Mohammed Ajani Studios Post Production done at Mohammed Ajani Studios
Lyrics: Khudaya..Ye Qaidi Kaun They Jinko Yaha Rakha Gaya Honga Ghamo Ke Baad Phir Unko,Ghumo Ka Saamna Honga Vo Tashna Lab Ager Honge,To Ashko Ko Piya Honga Khudaya..Jaha Par Subre Mushkil Hai Waha Ye Sukre Karte Hai
Khudaya Kitni Tariki Hai Is Veeran Zindaa Me Mere Hathon Me Shama Hai Mager Phir Hi Andhera Hai
Khudaya Kitni Tariki Hai Is Veeran Zindaa Me Mere Hathon Me Shama Hai Mager Phir Hi Andhera Hai
1) Andhero Me Ye Kis Ki Siskiya Fariyad Karti Hai Ye Kis Ghum Ki Satayi Ki Bhala Cheekhe Ubharti Hai Ye Kis Ka Phool Tha,U Patiya Jiski Bhikharti Hai Kaha Ki Qaidane Hai,Jo Yaha Din Raat Marti Hai Ajab Tanhaieyo Se Aur Aaho Se Guzarti Hai Ye Masturaat Aksar Apni Hi Aahat Se Darti Hai
Khudaya Kitni Tariki Hai Is Veeran Zindaa Me Mere Hathon Me Shama Hai Mager Phir Hi Andhera Hai
2) Dare Zinda Pe Hai Masum Nazren Kis Ki Raho Me Ye Amu Amu Ki Fariyad Bhi Hai Kis Ki Aaho Me Ye Kis Masum Ke Din Raat Hai Ghum Ki Panahoo Me Basa Hai Khu Bara Maqtal Bhala Kis Ki Nighaho Me Sukune Dil Huwa Pamal Kis Ka Qatle Gaho Me Madine Me Ye Nazo Se Pali Thi,Badshaho Me
Khudaya Kitni Tariki Hai Is Veeran Zindaa Me Mere Hathon Me Shama Hai Mager Phir Hi Andhera Hai
3) Ye Kis Ki Jaanamaze Hain,Ke Jin Se Khu Tapak Ta Hain Ye Ik Pathar Jo Hain,Allaha Jane Kis Ka Takiya Hai Ye Un Ghum-Gee Fizaoo Me Na Jane Kis Ka Girya Hai Ye Diwarow Pa Khu Hai,Ya Ksi Bacchi Ka Nauha Hai Ye Mashkiza Zamee Tukde Hai,Ya Koi Kuza Hai Ye Yaade Alkama Hai,Ya Koi Aaho Ka Dariya Hai
Khudaya Kitni Tariki Hai Is Veeran Zindaa Me Mere Hathon Me Shama Hai Mager Phir Hi Andhera Hai
4) Musafir Jaa Chuke Lekin Yaha Ahoofuga Q Hai Ye Basti Lut Gayi Lekin Yaha Itna Dhuwa Q Hai Daro Diwar Se Uske Ye Zakhmo Ka Baya Q Hai Ye Us Viraan Zindaa Me Yateemi Ki Aza Q Hai Bhala Pardesiyo Ke Gulsita Me,Ye Khiza Q Hain Ye Nanhi Si Lahad Is Haal Me Nauha Kuna Q Hai
Khudaya Kitni Tariki Hai Is Veeran Zindaa Me Mere Hathon Me Shama Hai Mager Phir Hi Andhera Hai
5) Suno Ai Shaam Walo, Shaam Me Fursat Agar Paana Agar Mumkeen Hain Apni Betiyoko Saath Le Aana Rida Aur Ek Kuza Aab Rakh Kar Nazre Dilwana Kisi Masoom Bachhi Se Waha Ek Shamma Jalwana Yaha Laakar Kisi Mazlum Par Tum Zulm Mat Dhana Bohot Ye Ro Chuki Hain, Kabr Me Isko Naa Rulwana
Khudaya Kitni Tariki Hai Is Veeran Zindaa Me Mere Hathon Me Shama Hai Mager Phir Hi Andhera Hai
6) Koi Batlaaye Koi Khetiya Aisi Ujhadti Hain Bhare Ghar Ki Kaha Is Tarha Taqdeere Bighdti Hain Ye Nanhi Si Lahed Is Haal Me Nauha Kuna Q Hain Ager Iske Sabhi Hai Karbala Me Ye Yaha Q Hain Bani Hashim Ki Ye Shehzadi Hoke Beamaa Q Hain Ghamo Ki Dhup Kyu Hai Aur Dhuko Ka Saiba Kyu Hai
Khudaya Kitni Tariki Hai Is Veeran Zindaa Me Mere Hathon Me Shama Hai Mager Phir Hi Andhera Hai
7) Mohammed Aur Zafar Ye Ek Bekas Kee Kahaani Hain Ye Nauha Pyaas Ki Tasveer Hain
Be the first to comment