Nauha Recited by Mohammed Ajani Written by Zafar Abbas Zafar Video Directed by Fahim Ajani Cinematographed and Edited by Sumedh D Mankar Produced by Mohammed Ajani Studios Post Production done at Mohammed Ajani Studios
Lyrics:
1) Ay Dibare Zahra Ya Qatelul Abara Haye Labe Dariya Mara Gaya Piyasa Haidar Ka Wo Jani Ahmad Ka Nawasa Islam Ki Khatir Ghar Jisne Lutaya ------------------------------------- Har Simt Feza Me. Ab Aaho Buka Hai Har Ek Ke Labo Par Bas Ek Sada Hai -------------------------------------- Abaabdillah Husain Ghareb Ghareb Ghareb
2) Tukdo Me Bata Hai,Ab Haye Bhatija Dariya Pe Pada Hai,Abbas Ka Lassha Hamshakle Nabi Ko Mara Gaya Naiza Ik Paani Ka Katra,Asgar Ne Na Paya -------------------------------------------- Wallaha Kayamat,Ki Kaisi Ghadi Hai Shabeer Ke Sar Par,Ab Maut Khadi Hai ---------------------------------------- Abaabdillah Husain Ghareb Ghareb Ghareb
3) Ik Lamha Bhi Jina,Ab Hogaya Dubhar Barsate Hai Adaa,Tiro Tabar Pathar Ab Run Me Hai Tanha ,Zainab Ka Baradar Amadaye Paikaar,Hai Zulm Ka Lashkar ------------------------------------------------- Hai Kaun Jo Aakar Sarwar Ko Bachaye Sub Sota Hai Lashkar,Gardan Ko Kataye ------------------------------------------ Abaabdillah Husain Ghareb Ghareb Ghareb
4) Wo Bhuk Ka Alam,Wo Pyaas Ki Shiddat Chehre Se Aya Hai,Ab Zaufo Nakahat Dhekhe Nahi Jaati,Mazlum Ki Halat Ya Shahe Najaf Ab,Aao Paye Nusrat ------------------------------------------ Zakhmo Ki Hai Kasrat,Be Jaan Badan Hai Jalti Huwi Reti,Aur Tashna Dahan Hai
Abaabdillah Husain Ghareb Ghareb Ghareb
5) O Kufiyo Shaami,Kuch Rahem To Khaoo Zahra Ka Pisar Hai,Isko Na Sataoo Hai Subha Se Rota,Ab Aur Na Rulaoo Waqte Naza Hai Ab Paani To Pilaoo ------------------------------------------- Tum Karte Ho Jaisa,Aisa Nahi Karte Haiwa Ko Bhi Pyasa,Zibha Nahi Karte ----------------------------------------- Abaabdillah Husain Ghareb Ghareb Ghareb
6) Ye Kaisa Sitam Hai,Ae Mere Khudaya Ghar Aisa Kisi Ka Duniya Me Na Ujhda Mehbub-E-Khuda Ko Markad Me Rulaya Jub Shimre Ne Khanjar,Gardan Par Chalaya ----------------------------------------- Balo Se Zameen Maa,Ik Jhaad Rahi Thi Bhai Tha Tahe Teq,Behen Dar Pe Khadi Thi ---------------------------------------------- Abaabdillah Husain Ghareb Ghareb Ghareb
7) Ab Aur Mohammed,Kya Kya Likhe Jauhar Kata Sare Shabeer,Barpa Huwa Mehshar Ta Arche Tha Giriya,Aur Farche Zamee Par Waqt Aagaya Kaisa,Aye Khaliqe Akbar -------------------------------------- Sare Hazrate Shabeer,Naize Pa Chadaya Beemar Pisar Baap Ka Sir Dhekh Raha Tha --------------------------------------------- Abaabdillah Husain Ghareb Ghareb Ghareb
Be the first to comment