AB NAHI KOI SILSILA CHALEGAA BY RINKY ZIIST I EMOTIONAL POETIC LOVE STORY I WAJAH BEWAJAH STORY
Be with us. Love, Like, Share and Subscribe Wajah Bewajah Poetry.
To participate contact us at : wajahbewajah@gmail.com
Story By : Wajah Bewajah Author : Rinky Ziist Narrated By : Rinky Ziist
Ek Mukhtasar Mulaaqaat...
Ek Mukhtasar Mulaaqaat thi us ajnabi se...
Aankhen bolti hain bahut khaamoshiyon men meri...
Puchha tha usne meri udaas aankhon ka raaz...
Main samjhi aakhiri Mulaaqaat jise wo pahli Mulaaqaat ban gayi Us ajnabi se ek hi Mulaaqaat mein jane kaun si dor bandh gayi Bichhadkar bhi chehra uska nazar aata rahaa Khayaal uska dil ko sataataa rahaa...
Duur chalaa gayaa tha wo mujhse us Mulaaqaat ke baad Magar mere dil se jod gayaa thaa wo apne dil ke taar...
Phir se dusri Mulaaqaat ka silsila shuru hua thaa Raat thi andheri, log, jagah, raaste sab anjaan Magar mai baithi thi itminaan se aise jaise baithi hoon kisi apne ke saath...
Kai haseen nagmein usne apni meethee aavaaz mein gaakar us raat mujhe sunaae Maine bhi saath dete hue uskaa kuchh gungunaaye Phir subah hui, phir nae ujaale aae Raat ki khumaari ke baadal us par din bhar the chhaae Meri zid ab use naaraaz kar rahi thi har baat par meri wo bigad rahaa thaa...
Pathrile tedhe-medhe se raaston par wo mera haath thaam rahaa thaa Main gir naa jaaun kahin wo mujhe aise sambhaal rahaa thaa...
Wo ek lamha jo kab se machal rahaa thaa Hamare darmiyaan hokar wo guzar chukaa thaa Bistar me chhod akelaa mujhe wo ja chukaa thaa Main un bistar ki silvaton ko nihaarti rahi Jo kah rahi thi mujhse dekh teri rusvaai hui...
Maine jo kiyaa dil se kiyaa Majbuuri mein ya majbuur hokar nahi kiyaa thaa Un palon se naa to maine samjhautaa kiyaa thaa aur naa hi un palon ka saudaa kiyaa thaa...
Dil ke haathon thi main phir ek baar haari Main phir akeli thi, bilkul akeli Apni tanhaaiyon ke saath maine phir ek raat guzari...
Subah jaise hi hui maine vahaan se jaane ki ki taiyari Wo so rahaa thaa der tak Maine vaadiyon se kahi apni daastaan saari...
Jo ghutan paidaa kar rahi thi mujhme un saanson ko bikhraa diyaa thaa vahin kahin maine Nai khushbuuon ko bhar liyaa thaa...
Bak-bak karne vaali main chup thi us lamhe mein Bas khaamoshiyon ko sunnaa aur khaamoshiyon ko hi kahnaa chaahti thi...
Kya koi silsila hamaare darmiyaan phir chalegaa Yaqin nahi ab to vo mujhe milegaa shaayad nahi, ab koi silsila chalegaa Tham chukaa wo tuufaan jo uski saanson mein uthaa thaa Nahi koi silsila ab nahi chalegaa Uske liye wo pal guzar gayaa thaa usi pal mein phir bhalaa kaise ab koi silsila chalegaa Uski yaadon se bharaa wo pal bas mere hi dil mein chubhan karegaa Nahi ab nahi koi silsila chalegaa Mukhtasar Mulaaqaaton ka silsila ab thamaa rahegaa Ab nahi koi silsila chalegaa Janti hoon ab nahi koi silsila chalegaa Magar tasalli hai phir bhi jo guzar chukaa hai, Bankar ek silsila wo dilon ke darmiyaan to rahegaa Mukhtasar kisi Mulaaqaat ka silsila ab tham chukaa hai
Be the first to comment