Hindi Urdu Shayari "Seema Gupta on BBC 21st oct 2012"
Seema gupta ghazals and nazm on BBC Aap ki Pasand Musical programe "with " Mr. Mohammed Mahmood" 1. wahi furqat ke andhere wahi angnaai ho teri yaadoN ka ho mela shab-e-tanhai ho
main usey jaanti hooN sirf usey janti hooN kya zuroori hai zamane se shanasaai ho
Itni shiddat se koi yaad bhi aaya na kare Hosh mein aauon to dunya hi tamashai ho
meri aankhoN mein kai zakhm hain mahroomi ke Mere tootey huey khwaaboN ki maseehaai ho
vo kisi aur ka hai mujh se bichar kar seema koi aisa bhi zamane mein na harjaai ho
2. Is tarah dil pe musallat hai rifaqat uski band aankhoN se bhi karti huN ziarat us ki
Wo talabgaar nahiN mera to harjaayi sahi maine har haal meiN chahi thi mohabbat uski
Dushmane-jaan hai wo kehne ko hamara lekin achchi lagti hai hameiN dil se adavat uski
kya ajab baat hai wo mujh ko nahiN mil paya phir bhi sansoN mein mehakti hai hararat uski
maine us shakhs ko palkoN pe bithaya "seema" or khud se bhi nahiN ki hai shikayat uski 3. NAZM Shab-E-Firaq me qatra qatra chashm-e-tar sehmi sehmi tishngi KhawahishoN ke chaak girebaaN hastroN ke dehkte allaw karb e tanhai ka samaN hua krte haiN kabhi to qurbat se kahiN koi ummid ki datstak utre faraib karti dil ke ruksaroN se koi chirag jale madham madham ki raat ke saye pe kuchh aaftab Muntazir hua karte haiN.......