ALLAH KA GHAR _ | La ila ilala | Nabeel Shaukat Ali feat. Tahseen Sakina _ Ramzan Kalaam 2025 #1 on Trending for music #AllahKaGhar #NabeelShaukatAli #TahseenSakina #Trending #Ramadan2025 Lyrics: Ye kaaba jise kehtay hain hum Mere Rab ki bari nishani hai Ye markaz bana ibaadat ka Jhukti yahan har paishaani hai
Allah ka Ghar, Sajdon ka dar Jhuktay yahan momino ke hain sar Dhul jatay hain, Dil ke gunaah Rehman hai wo tu tauba to kar
Tere khaleel (عليه السلام) ki bunyaad hai Taameer e Kaaba hamein yaad hai Aaya tha kaabay mai jab but shikan Kiya Mustafa (ﷺ) ne jo abaad hai
Kaabay mai goonji thi ye hi sada La ilaaha illalah Farishton ne aake ki hamd o Sana La ilaaha illalah
Kya tha wo manzar kya tha sama Chat pe Bilal(رَضِيَ اللهُ عَنْهُ) ne di thi Azaan Sun ke Sahaba bhi rone lage Qurban Nabi (ﷺ) pe wo hone lage
Allah se ki sab ne faryaad hai Hurmat e Kaaba rahe shaad hai Aaya tha kaabay mai jab but shikan Kiya Mustafa (ﷺ) ne jo abaad hai
Kaabay mai goonji thi ye hi sada La ilaaha illalah Paigham e Deen yun mukamal hua La ilaaha illalah
Zam Zam mai rakhi hai Rab ne shifa Hai Ismail (عليه السلام) ka ye maujza Jannat ka pathar kaabay mai laga Jisko Nabi (ﷺ) ne hai bosa diya
Mere Nabi (ﷺ) ka ye irshaad hai Banda gunahon se azaad hai Aaya tha kaabay mai jab but shikan Kiya Mustafa (ﷺ) ne jo abaad hai
Kaabay mai goonji thi ye hi sada La ilaaha illalah Risaalat se Tauheed ka silsila La ilaaha illalah
Yaad hamein hai wo waqiya Abraha lashkar le kar tha khara Hukm ababeelon ko phir hua Kiya phir parindon ne unko tabaah
Rab ne kiya unko barbaad hai Unki nasal ab tak nashaad hai Aaya tha kaabay mai jab but shikan Kiya Mustafa (ﷺ) ne jo abaad hai
Kaabay mai goonji thi ye hi sada La ilaaha illalah Baatil mita Haq hai zaahir hua La ilaaha illalah
Hasbi Rabbi Jallallah Mafi Qalbi Ghair ullah Noor e Muhammad Sallallah La ilaaha illalah
Hasbi Rabbi Jallallah Mafi Qalbi Ghair ullah Noor e Muhammad Sallallah La ilaaha illalah