00:00Kalpana kijiye, aap aasman me udh rahe hain aur achanak aapka vimaan bina chhat ke ho jata hain.
00:05Ek pal ke liye aapka dil dhadakna band kar deta hain aur aap sochte hain ki ab kya hoga.
00:10Yeh kahani hai Dutch Mahila Pilot Naren Melkumjan ki,
00:15jin ke saath aesi hi ek apratyashit ghatna ghati.
00:18Ek interview me is Mahila Pilot ne kaha ki main 2 seeter vimaan udha rahi thi
00:22aur tabhi cockpit ko surakshit rakhnewala paardarshi ghera achanak khul gaya.
00:27Kuch pal ke liye main saham gayi lekin himmat nahi haari.
00:30Naren ne social media par is bhayawah anubhav ko saanjha kiya
00:34jaha unhone bataya ki kaise is sthiti me unki saans rukne lagi aur drishyata kam ho gayi.
00:40Lekin dileri dikhate hue unhone safalta poorvak vimaan ki landing karayi.
00:45Naren ne swikara ki udaan bharne se pehle canopy locking pin ko theek se surakshit nahi kiya gaya tha
00:51jisse yeh haadsa hua.
00:53Mujhe normal hone me lagbhag 28 ghante lag gaye.
00:56Agar aap ek pilot hain aur yeh dekh rahe hain
00:59to mujhe ummeed hai ki meri kahaani aap ke liye ek sabak ke roop me kaam karegi
01:04aur aap meri galatiyon se seekhenge.
01:06Naren ki is diler aur prerana dayak kahaani ne hume yeh sikhaya
01:11ki vipreet paristhitiyon me bhi hume haar nahi maanni chahiye.
01:14Unke saahas aur dhairya ko salam.
01:17Agar aapko yeh kahaani pasand aayi ho
01:19to video ko like aur share karein
01:21aur aise hi romanchak aur prerana dayak kahaaniyon ke liye
01:25humare channel ko subscribe karna na bhulein.
Comments