Skip to playerSkip to main contentSkip to footer
  • 6/6/2024
Sarmaya e Aslaf | EP 65 | 6 June 2024 | Mufti Ahsen Naveed Niazi - ARY Qtv

Topic: Hazrat Imam Waki Bin Jarrah RA

Speaker: Mufti Ahsen Naveed Niazi

To Watch All Episodes of Sarmaya e Aslaf | https://bit.ly/47jbLHu

#SarmayaeAslaf #MuftiAhsenNaveedNiazi #ARYQtv

Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Transcript
00:00 Bismillahir Rahmanir Rahim.
00:07 Allahumma salli ala sayyidina wa maulana Muhammad nooril anwar wa sirril asrar wa sayyidil
00:19 abrar wa ala alihi wa sahbihi wa barik wa salim.
00:23 Muazzaz, nazim no samayin, aaj ek martaba fir program Sarma-e-Salaf lekar hum aapki
00:27 khidmat mein hadir hain.
00:28 Aaj maara mauzoo-e-sukhan hai, muhaddis-e-Iraq, fakih-e-Kufa, Hazrat Imam Waqi bin Jarrah
00:36 Rahimahullah, mutawaffa 197 sana hijriya, aur aapki baaz talifat.
00:41 Nazreen, Imam Waqi bin Jarrah Rahimahullah ke kya kehne hain?
00:45 Ilm-o-fazl ho, zahanat-o, fatanat ho, zuhd-o, taqwa ho, riyazat-o, ibadat ho, aap har muamale
00:54 mein hume imam nazar aati hain.
00:56 Aapka naam-e-naami isme garami Waqi hai, to aapka jo naam hai har shobay mein, jo shobay
01:02 chahe wo ibadat se mutaalik ho, zuhd-o-taqwa se mutaalik ho, haafidah-kuwat-e-hifz se mutaalik
01:08 ho, zahanat-o-fatanat se mutaalik ho, ilm se mutaalik ho, har us shobay mein aap hume
01:14 apne naam ki tarah Waqi nazar aati hain.
01:16 Aapka naam hai Waqi Kash wale kaaf se.
01:19 Ini nukton wale kaaf se nahi hai, Kash wale kaaf se Waqi hai.
01:22 Iska maana yeh hota hai al-ghaleed-ul-mateen, mazboot cheez, solid.
01:27 To har cheez mein jo mazboot ho, kullu wathiqin shadeed, usse kaha jaata hai Waqi.
01:32 Aisi kaha jaata hai qalb-un-Waqi.
01:34 Wo jab kisi ka haafidah mazboot ho, aur baatein achi yaad rakhne wala ho, to kahte hain qalb-un-Waqi
01:40 ay qalb-un-Wa'in.
01:42 Iska qalb mazboot hai, yeh mazboot dil ka hai, yaani iska haafidah mazboot hai, iski
01:47 sooj-booj bhi zyada hai.
01:49 To Imam Waqi rahimahullah ke andar sooj-booj bhi zyada thi, aur haafidah bhi mazboot tha.
01:55 Aur agar nukton wale kaaf jo waqi hai, wo bhi aap ke upar sadeq aata hai, ki aapki jo deen
02:00 ki khadir khidmat hai, wo waqi hai nukton wale kaaf se.
02:05 Khud aap Waqi hai Kash wale kaaf se, aur us naam, aapka jo naam hai, yeh isme-ba musamma
02:10 hai.
02:11 Baaz uqaat aisa hota hai, ki logon ka jo naam hota hai, unki shaksiyat ke andar, unke
02:15 naam ka asar humein nadar nahi aata.
02:18 Lekin Imam Waqi rahimahullah unh hastiyon mein hai, ki aapke naame-naame, isme-girami
02:22 ka poora asar humein aapki shaksiyat mein nadar aata hai.
02:25 Intihai mazboot, aur mateen shaksiyat ke hamil the, solid shaksiyat thi aapki, har muamla
02:32 mein mazboot the.
02:33 Ibadat-o-riyazat mein bhi mazboot the, zuhd-o-taqwa mein bhi mazboot the, zahanat-o-fatanat mein
02:38 bhi mazboot the, aur ilm-o-fadl mein bhi mazboot the.
02:41 Hafidah-o-hafidah to aapka aisa qavi tha, hafidah-e-zaakira jo hai aapka zaakira qavi,
02:47 razaqahullahu zaakiratan haadatan, wa haafidatan qaviyatan.
02:52 Allah ne aapko zaakirah-e-haadah aata formaya, tez yaadash aata formayi.
02:57 Mazboot haafidah, ulama kehte haafidah bahira, roshan haafidah, mazboot haafidah Allah ne
03:02 aapko aata formaya, zarbul masl ki surat ikhtiar kar gaya, aapka haafidah, aapki haafidah
03:08 ko bator-e-masl biyaan kiya jata tha.
03:10 Aur bade-bade imma ne is baat ki gawaai diya hai, ki hum ne imam waki se badkar haafiz
03:16 nahi dekha.
03:17 Jitna mazboot haafidah inka hai, itna mazboot haafidah hum ne kisi ka nahi dekha.
03:22 Imam Yahya bin Mayn rahimahullah, Imam Ahmad bin Hambal rahimahullah, Imam Abdullah bin
03:26 Mubarak rahimahullah, Imam Ali bin Madini rahimahullah, in bade-bade hastiyon hai jo
03:31 khud asateen-e-ilm-o-fan hai, jo khud choti ke imam hai, aur jin ke apne haafidon ki misaal-e-in
03:37 di jati hai, in hadharat ne aapke haafidah ke baare mein yeh kaha, ki hum ne ma raayit-u-aafidah
03:42 min hum ne imam waki se badkar mazboot haafidah wala banda nahi dekha.
03:47 Hala ke yeh khud bhi bade muhaddith mazboot haafizon wale, aur inna dekhe bhi bade-bade
03:51 mazboot haafizon wale muhaddith, lekin unke andar imam waki ki alag ik shaan, alag ik
03:55 pehchaan tui.
03:56 Haafidah bhi mazboot tha, ilm-o-fazal ki bhi kya hi baat hai, subhanallah.
04:00 Aur agar aapki zuhd-o-taqwa ki baat ki jaye, riyazat-o-ibadat ki baat ki jaye, kya baat
04:07 hai, riyazat-o-ibadat mein bhi mashoor the, bade-bade imam ne yeh tasree ki, ma raayit-u-akhsha
04:12 lillahi min waki, hum ne imam waki se badkar Allah se darne wala nahi dekha.
04:18 Nawaz padhte the, ilm-o-fazal mein bhi masroof rehte the, yaani deen ki tarweej-o-ishaat
04:23 bhi karte the, tabligh bhi karte the, tilawat bhi kasra se karte the, nawafil bhi kasra
04:28 se padhte the, aur khud aapke apne bete Ibrahim ka biyaan hai, jab ghar mein raat mein aap
04:32 nawafil shuru karte the, toh ghar mein koi fard aisa nahi hota tha, jo nawafil na padh
04:37 raho.
04:38 Yaha tak ki humari jo siya farm baandi hai, wo bhi nawafil padhte the, yaani poore ghar
04:42 ka mahaul aapki wajah se tabdeel ho gaya tha.
04:45 Usse padha chalta hai, jo ghar ka sarbaraa hota hai, uska ghar pe kaisa asar hota hai,
04:50 influence hota hai, ke ghar ka sarbaraa khud agar naik ho, khud ghar ka sarbaraa agar
04:55 acha ho, toh poore ghar pe uska impact aata hai, uska asar aata hai, toh aap khud apne
05:00 ghar ka mahaul bhi aisa banaa rakha tha.
05:02 Aam toh par hota hai, jo jom mashoor log hota hai, aur bahar jom zyada mashoor hota hai,
05:07 aur bahar khidmat bhi karte hai, daawat aur tabligh se bhi basta hota hai, lekin unke
05:10 apne ghar ka mahaul itna acha nahi hota.
05:13 Lekin Imam Waqeer Rahimullah wo hai, bahar toh ache the hi the, lekin ye ghar mein bhi
05:17 khalwat aur jalwat mein ache the, aur itne muasir shaksiyat ke maalik the, mutaasir kun
05:23 shaksiyat.
05:24 Influence inka aisa tha, ke unke ghar wale bhi unke rang mein rangay hua the, jad ghar
05:28 mein raat ko nawafil padhte the, toh bas poora ghar phir nawafil ki adaayi mein mashool
05:34 hota tha, yahan ke ghar ke mulazimin bhi nawafil adaa kiya karte the.
05:38 Toh ye Imam Waqeer Rahimullah ki ibadat aur riyadat hai, tilawat ka sara se kiya karte
05:43 the, aur aksar jayet teen din, teen raat mein ek Quran khatam karte the, aur kabhi kabhi
05:49 ek raat mein bhi ek Quran khatam kiya karte the, yaani Quran e Majeed, Furqan e Meed
05:54 ki tilawat ka aapko aisa zauk tha, rozon ka aapko bada zauk tha, saim uddhar the, sirf
05:58 saal ke woh paans din jinn mein roza rakhna makruh-e-tehrimi hai, najaiz hai, guna hai,
06:03 un paans dinon ko chod kar aap aksar roze se rahte the, roza rakhte the, saim uddhar
06:08 kehlaate hai aap, aur bade bade unne iski gawaai di, jo bade bade imma jinnunne aap
06:12 ke saath safar kiya hai, unne ne bataya hai, ke safar ho ya hazar ho, aap roze se hote
06:17 the, safar mein bhi roza rakhte the, mashakat ke bawaajood, aur imam wakil rahim mullah
06:22 ki, aur phir us apne amal ko chhupate bhi the, tawazu in qisar se bhi kaam lete the, aur
06:27 logon ki dil joi bhi karte the, ek mardaba kush mehman paas aaye, to unki khater ke liye
06:33 aapne, unki khater madaraat karne ke liye, ek tokra mangwaaya, khujuron ka bhara hua,
06:37 to wo saamne rakha ke woh khaein, to phir aap ne, halan ki aap roze se the, lekin isliye
06:42 ke taake mehman bhi khaate rahein, unke saath aap tokri mein haath daalte the, tibaak mein
06:47 haath daalte the, aur isse khujur lete the, moon ke kareeb le jate the, unhe ye show kar
06:51 rahe the, ke aap bhi unke saath sharik hai, taake wo bhi khaate rahein, jhijak mehsoos
06:55 na karein, without any hesitation, wo khaane mein mashgool rahein, lekin uske baad aap aankh
07:00 bacha kar, unki nazar bacha kar, aap dubara rakh diya karte the, halan ki aap roze se
07:04 the, aur is baat ka bayan khud aap ke kareebi logon ne kiya, ki hazarat is tarah karte the,
07:09 taake jo mehman hai, wo bila jhijak khaana khaa seke, aur usse kisi kisam ki hijkicha
07:16 hat na ho, lekin aap khud jo hai, wo apne roze bhi poora karte the, aur mehman ki diljoyi
07:21 bhi karte the, iss amal ke andar bhi hamare liye dars hai, ki logon ki diljoyi bhi karne
07:25 hai, ibadat bhi karne hai, warna aam toh par aisa hota hai, jo log zyada ibadat wo rayazat
07:29 karte hai, to unke andar ek gurur aa jaata hai, ek khumaar sa hota hai ibadat ka, aur
07:34 wo unke rawayye se zahir ho raha hota hai, lekin aap yahan dekhe, Imam Waqi bin Jarrah
07:37 Rahimullah itne bade abid wa zahid hai, aalim wa faadil bhi bade hai, muhaddis hai, faqih
07:42 hai, aur abid wa zahid bhi bohot bade hai, dono meydanon ke aap shah suwaar hai, uske
07:47 bawajood aapka tawazo, inkisaar, logon ke saath jo aapka behaviour hai, rawayya hai, apni
07:52 ibadat unke saamne chhupa bhi rahe hai, unke saamne koi paarsaai ka gurur nahi kar raha
07:58 hai, koi ghamat kisi baat pe nahi kar raha hai, aur unki diljoyi bhi kar rahe hai, unki
08:01 khatirdari bhi kar raha hai, yeh humare liye bhi iske andar sabak hai, aur taqwa prehizgari
08:07 bhi aapke andar tha, aur zuhud jo hai, zuhud toh bohoti zyada tha, yani zuhud ka matlab
08:12 hota hai duniya se biragwati ikhtiyar karna, aakhirat se lau lagana, ghairullah se munkate
08:18 hona, Allah se lau lagana, toh aap kabhi kisi se madad nahi liya karte the, aapki walda
08:23 jo hai unke tarqah mein ek laak dinar chhode, ek laak property unke chhodi hai, lekin aap
08:29 ne kabhi mutalwa nahi kiya, ki nahi maini yeh lene hi lene hai, mujhe yeh diya jaye,
08:33 yeh diya jaye, aur bhi uske laawa kabhi kisi ki jeb pe nadar nahi rakhte the, kisi se madad
08:38 talab nahi karte the, nazrana jo hai, wo khud wasool nahi kiya karte the, kisi se balke
08:42 ulta diya karte the, ek martaba ek banda aapke paas aagaya, usne ka, imam amash ki majlis
08:48 mein, majlis ilm, ek dafa aapne mujhe se siyahi liyi thi, toh aap mujhe uska kuch badla deyen,
08:53 aapne siyahi liyi thi aur aapne mujhe uske badla mein kuch diya nahi, aap foran utke andar
09:00 gaye aur ek dinaro se bhari hui theli bahar layaye, foran usse pesh ki aur ataa formakar
09:03 wo theli kaha, ki main tumse maazra chahta hu, is wakat mere paas sirf yeh hi thi, agar
09:07 iske sewa aur bhi kuch hota, iske laawa toh wo bhi tumhe de deta, yaani aap dekhe, ki
09:13 aapne uska yeh ihsaan maana, ki usne wo kisi daur mein, kisi zamane mein, thodi si siyahi
09:18 di thi, ek majlis ilm mein, toh uske awaz mein aapne usse puri dinaro ki bhari hui theli
09:23 de di, aur wo bhi tafakhur ke saath nahi, is ihsaan ke saath nahi, ki main ihsaan jata
09:27 rahe hu, balke usse is tana pesh kiya hai, aur uske aage je hai, wo grateful ho rahe
09:32 hain, tashakkur ke jazbaat zahir kar rahe hain, aur ulta usse maazrat kar rahe hain,
09:35 ki aur mere paas hota, toh wo bhi tumhe de deta.
09:37 Toh yeh Imam Waqee bin Jarrah rahimahullah ka amal tha.
09:40 Aur yeh utna mazboot aapka hafza tha, iski wajah bhi aapne khud beyan farmaa rakhi hai.
09:45 Waqee bin Khashram khud be ek bade aalim tha, unhone aap se ek dafa poocha, ki main koi dawa
09:52 istimal karna chahata hu, aapka itna mazboot hafza hai, mujhe bhi koi dawa batayen, ki
09:56 main wo hafza ke liye istimal karun.
09:57 Aapne farmaa, agar main tumhe bataun dawa, toh tum amal karoge, toh unhone ka, ee wallahi,
10:00 Allah ki kasam main karunga, mujhe batayen.
10:01 Toh aapne irshaad farmaa jawab mein, ki tarqul maasi, ma jarrabtu mith lahulil hifz.
10:06 Aapne farmaa, ki gunahon ko tarq kar dena yeh behtreen dawa hai, hafza ke liye, yaadash
10:16 ki mazbooti ke liye, maine isse badkar kisi dawa ka tajribah nahi kiya, isse badkar kisi
10:20 ko mujarrab nahi paya.
10:21 Aur Imam Shafi Rai Maulana ki tarab bhi ek shair mansoob hai, jisme unhone bhi baat ki,
10:25 ki shakautu ila waqeen suah hifzi, farshadani ila tarqil maasi, wakhbarani bi annal ilm
10:31 wa noorun wa noorullah ila yuhda li aasi.
10:34 Ki maine Imam Waqeeq ki bargah mein suah hifz ki shikayat ki, toh unhone meri rahnumai
10:38 farmai, tarqil maasi ki tarab, gunahon, gunah chodne ki tarab.
10:42 Aur mujhe yeh khabar di, ki ilm yeh Allah ka noor hai, aur Allah apna noor yeh, wo aasi
10:47 ko nahi deta.
10:48 Allah ka noor, aasi ko, gunaagaar ko nahi diya jata.
10:51 Toh aapke hafza ki mazbooti ki jo ek bahut badi wajah hai, wo khud yeh aapka taqwa,
10:57 yeh zgari, aapka yeh ilm, ilm ke saath amal, zuhud aisa.
11:01 Khalifah noor rashid ne aapko force kiya, qazi banne ke liye, lekin aapne inkaar kar
11:05 diya, aur bilkul uski baaton me nahi aaya.
11:08 Kyi tafas usne force kiya, lekin aapne maazrat kar li, aur aap qazi nahi bane, apne zuhud
11:12 wo taqwa ki bina par.
11:14 Aur is baat ko bhi aapke manakib ke andar shumar kiya gaya, bakhaida ki aapne oda-e-qada
11:19 kabul karne se inkaar firmaaya.
11:21 Imam Waqee bin Jarrah Rahimullah ke kya kehne hai, muhaddith, faqih, Imam-e-Aadam Abu Hanifa
11:26 Rahimullah ke mawkif ke mutaabik fatwa diya karte the, aur kahin apni raaye bhi rakhte
11:31 the, jahan aapki apni raaye nahi hoti the, jahan kitab-o-sunnat ki roshin mein khud istidraal
11:35 karte the, jahan khud istidraal karte the, aur jahan khud istidraal nahi karte the,
11:38 jahan aap Imam-e-Aadam Abu Hanifa Rahimullah ke mawkif urmal karte the.
11:42 Is baat ki tasree ki hai Imam Yahya bin Mahim Rahimullah ne, "wa kaana yufti bi qawli
11:46 abi Hanifa" tha, ki Imam Waqee Imam-e-Aadam Abu Hanifa Rahimullah ke qawl par fatwa dethe
11:51 the.
11:52 Aapki asadiza ke andar Imam-e-Aadam Abu Hanifa Rahimullah numaya naam hai, phir aapne jah
11:56 Imam Malik Rahimullah se ilm hasil ki hai, Sufianain, Sufianain kaha jaata hai Imam Sufian
12:01 bin Saeed Sauri Rahimullah, aur Imam Sufian bin Uyainah Rahimullah, in dono hazuraat se
12:06 aapne ilm hasil ki hai, Imam Suleman bin Mehran Amash Rahimullah unse aapne ilm hasil ki hai,
12:11 takreeban 191 asadiza ka zikr to khaali Hafiz Mizzi ne kiya hai, takreeban 191 taqreeban
12:17 wo ustaad hain aapke, jo kutub-e-siddah ke raavi hain, baaki jo haqiqat mein ustaad hain,
12:22 wo isse bhi kayi guna badkar hai, kai asadiza se aapne iktisabe ilm kiya hai, aur unka rang
12:28 aapki andar aaya hai, bil khusus Imam Sufian bin Saeed Sauri Rahimullah ke, to aap intihai
12:33 karibi shagir the, chahite shagir the, unse aapne, unhone bakaida unki taraf aapko mansup
12:38 karke kaha jaata hai, raavi hatto Sauri, ki yeh Imam Sufian bin Saeed Rahimullah ke raavi
12:43 hain, aur jab aap chhote the, to aapne Imam Suleman bin Mehran Amash Rahimullah, unse
12:48 bhi aapne kayi ahadith li hai, aapne unse sama bhi kiya hai, unki shagirdi bhi ikhtiar kiya
12:53 hai, zan-u-talammuz unke saamne tay kiya hai, aur unki bhi badi muhabbat karte the, aur
12:56 Imam Sufian Sauri Rahimullah ne, to bakaida jab dekhte the aapko, to bola kar puchte the,
13:01 ki ladke yeh batao, aaj yeh tumne kya kya suna, to phir jab yeh batate the, Imam Waqi
13:05 sahi, yeh bata sahi, rajulun mujhe falan hai, yeh hadith beyan ki, yeh hadith beyan ki, to
13:09 Imam Sufian Sauri muskarate the, aur kehte the, ki yeh ladka joha, agar isi haal par raha
13:13 to, uski badi shaan hogi, aur waqi yeh hua, phir aapki wo shaan zahir hui, ki Imam Sufian
13:18 bin Saeed Sauri Rahimullah ka jab intikal hua, jab unka wisaal hua, to uske baad unki masnad
13:23 par aapko bithaya gaya, aur yeh to aapko aisa Allah ne kamaal ata, firmaaya tha, aisi purkash
13:28 e shaksiyat thi, aapka aisa asro rasuukhta, jahan kahin jate the, log doosre muhaddeseen
13:35 ke halke se uthkar aapke paas aaya karte the, yaha tak ke baaz ahl-ilm ne aapko is binah
13:40 par ajdaah kena shuru kar diya, ki yeh to azdeh ki tarah, ki jaise ajdaah aata hai, to sabko
13:44 nigal leta hai, to aisi yeh bhi jahan jate the, to waha jitne halka hai dars hote hai,
13:48 wo saare ke saare khatam hokar, saare log uthkar inke paas aaya jate hai, goya sab inke
13:53 karib aaya jate hai, inse inki taraf lapakte hai, aur baakiyon ke halka hai dars hai, wo
13:58 weeraan rahe jate hai, yeh Imam Waqi bin Jarrah rahimahullah ko Allah ne kashish ataah firmaayi
14:03 thi, aur iske andar unke zoodo taqwa ka bhi dakhal tha, aur us asatidha ki duaon ka bhi
14:08 dakhal tha, aur talamidha bhi aapke bade bade aap dekhen, kaise kaise rijaal aapne tyaar
14:12 kiye hain, Imam Muhammad bin Hambal rahimahullah, Imam Shafi rahimahullah, Imam Yahya bin Mayeen
14:17 rahimahullah, Imam Ali bin Madini rahimahullah, yeh saare khud choti ke log, Imam Abdullah
14:23 bin Mubarak rahimahullah, yeh khud asateen e ilm o fun hai, yeh khud pillars hai, aapne
14:27 ne tyaar firmaaya hai, Imam Waqi bin Jarrah rahimahullah ne, to Imam Waqi bin Jarrah
14:31 rahimahullah ki kya baat hai, aapki kis kis zawiyon ko biyaan kiya jaye, jab aapki shaksiyat
14:37 ko biyaan karne lagta hai banda, to banda is parishani mein mubtala ho jate hai, ki
14:41 kya biyaan kiya jaye, kya chhoda jaye, kis zawiyon ko namaya kiya jaye, naake de,
14:45 Rijal se raaviyon par naqt bhi kiya karte hai, to aur yeh jo aap ke baare mein Hafizah
14:49 bhi raahi mauna likha, ki raaviyon ke baare mein ja aapka kalam hai, nazrun jidda, bahut
14:53 kam hai, to unhone nisbatan baat ki hai, comparatively baat ki hai, ki Imam Yahya bin Syed Qattan
14:58 rahimahullah, Imam Ali bin Madini rahimahullah, Ibn Mahdi waghara, unke mukaabale mein aapka
15:03 kalam raaviyon ke baare mein kam hai, warna khud aapka raaviyon ke baare mein jo kalam
15:07 hai, wo bhi fi nafse hi kam nahi hai, wo bhi kaafi zyada hai, aur aapko nukkad-e-rijal
15:12 mein bade-bade muhaddeseen ne dekhar kiya, Imam Ibn Abi Hatim Razi rahimahullah ne bakaida
15:16 apni kitab Al-Jarwa Ta'deel ka jo mukadima likha hai, takdima, uske andar bakaida jo hai
15:21 wo unwaan aapka kaim karke aapke un aqwal ko bhi zikr bhi firmaaya hai. Salama bin Akkar
15:27 kahte hai, main Imam Waqi bin Jarrah rahimahullah ko dekha intikal ke baad khaam mein, to main
15:31 unse poocha ki Allah ne aapke saath kya maamla firmaaya hai, to unhone jawab mein arz kiya
15:35 ki adkhala firmaaya, adkhala ni al-jannah, meri Rabb ne mujhe jannat mein daakhil firmaaya,
15:40 to unhone gaab, ayyi shayyan, yaa Aba Sufyan, Abu Sufyan aapki kuniyat thi, ayy Abu Sufyan
15:45 kis cheez ke sabab, qala bil ilmi, aapne firmaaya ilm ke sabab, to ilm-e-deen ki azamat aur
15:51 ahmiyat bhi zahir hui, ki jo Allah ki khaatir ilm hasil karta hai, aur phir us ilm par amal
15:55 karta hai, aur phir us ilm ki dusron tak tarweej o ishaat karta hai, to Allah tawbaarak wa ta'ala
16:00 usse aisa, uruj o kamal bhi ataa firmaata hai, aur ye bakhshish ke maghfirat ke asbaab
16:04 missi hai. Imam Waqi bin Jarrah Rahim Maulana yoon to bho saari kitabain ta'ali firmaayi,
16:10 lekin maroor-e-zamanah ki hawadah se zamana ki nadar hogayi, hum tak sirf unki do kitabain
16:14 pohach paayi hai, baaki sab missing hai, lost hai. Ek kitab unhe ta'ali firmaayi hai,
16:18 Kitab-o-Zuhud ke naam se. Ye kitab chhappe hui hai, asal kitab Arabi mein hai, aur iska
16:22 urdu tarjma bhi baadaar mein dastyaab hai, market mein available hai. Is kitab ke andar
16:27 Kitab-o-Zuhud mein aapne takriban 549 riwayaat naqal ki hai, jin mein ahadith-e-murfua
16:32 bhi shamil hai, ahadith-e-mawkufa bhi shamil hai, ahadith-e-maktua bhi shamil hai, aur
16:36 kuch israiliyaat bhi hai. Zuhud bhi hai, is par bade bade muhaddeseen ne kaam kiya hai,
16:41 duniya se beragbat hona, aakhirat ki taraf maail hona, ghairullah se beragbat ikhtiyaar
16:46 karna, Allah se law lagana, is maudhu par bade bade muhaddeseen ne kitab mein likhi
16:50 hai, aur Imam Waqi bin Jarrah ne bhi ki kitab likhi hai, aur jo sabse qadeem kitab
16:56 hai, Zuhud ke baare mein, un qadeem kitabon mein se, awaleen kutub mein se, ek kitab
17:02 yeh Imam Waqi bin Jarrah rahimullah ki bhi hai, musnat kitab hai, mujmui tohr par darja
17:05 istinaad rakhti hai, achhi kitab hai, laaike mutaala hai, aur banday ko zurur padhni bhi
17:09 chahiye, aur is par amal bhi karna chahiye. Phir aapne ek risala ta'ali forma hai, ek
17:13 risala aap kam tak poncha hai, nusqatu Waqi an amash, ke Imam Waqi rahimullah ne, Imam
17:19 Amash rahimullah se jo ahadith-e-rawayat ki hai, unki ek mutadbeh hisa, ani ek maatadaat,
17:25 tamaam toh nai, unki ek maqsoos muntakhab hisa, wo aapne tehreeri surat mein jama kiya
17:30 tha, wo bhi chhapa hua hai, nusqatu Waqi anil amash ke naam se. Wo bhi laaike mutaala
17:35 hai, padhna chahiye, jo hadith se shagab rakhne wale hain, iloom ul hadith ke talaba hain,
17:38 ya asatiza hain, ya waise hadith se abad karne wale aam musluman hain, un sab ke liye laaike
17:42 mutaala hai, sare wo padhein. Imam Waqi bin Jarrah rahimullah ki kya baat, Allah tawaraq
17:46 wa ta'ala Imam Waqi bin Jarrah rahimullah ke darajat ko aur baland forma hai, aur hamme
17:50 aapke fujoo barakaat se hazeh waafirata forma hai, wa aakhiru daawana anil hamdu lillahi
17:55 rabbil alameen.
17:57 (Song)

Recommended