Sawal Yeh Hai 11 Feb 2024

  • 7 months ago
#election2024 #MariaMemon #electionresult #Election2024 #WaseemQadir #LatifKhosa #PTICandidates #MohammadZubair #PMLN #SawalYehHai

(Current Affairs)

Host:
- Maria Memon

Guests:
- Mohammad Zubair Umar (Senior Leader)
- Mustafa Nawaz Khokhar (Senior Leader)
- Sardar Latif Khan Khosa PTI

Maria Memon's analysis on election results

PTI Candidate Waseem Qadir joins PML-N - Will PTI take legal action? - Latif Khosa's Reaction

'' PTI Ko Credit Dena Pare Ga, PMLN Buri Tarhan Se Nakam Hui...'', Mohammad Zubair

For the latest General Elections 2024 Updates ,Results, Party Position, Candidates and Much more Please visit our Election Portal: https://elections.arynews.tv

Follow the ARY News channel on WhatsApp: https://bit.ly/46e5HzY

Subscribe to our channel and press the bell icon for latest news updates: http://bit.ly/3e0SwKP

ARY News is a leading Pakistani news channel that promises to bring you factual and timely international stories and stories about Pakistan, sports, entertainment, and business, amid others.
Transcript
00:00 Assalam-o-Alaikum, program Sawale Ka Saath, main hoon Maria Maiman, aaj ki top stories
00:15 hai.
00:16 Awami mandate ka aitharam karein.
00:17 Is waqt ki jo sabse zaruri kaam, jo sabki priority honi chahiye, wo yehi hai, itne controversial
00:24 election ke baad.
00:25 Iske baad hum baat karein ki jeet ke jo daavedar hai, wo hai, khud apne hi ittahadiye pe nisar
00:30 karte hui nazar aate.
00:31 Lekin kya yeh PDM 2 ka tajarba kamaayab sabit hoga hai nahi?
00:35 Programme ispe bhi baat hogi.
00:37 Mustarad voto ne election ke nitaij badal diye.
00:39 Bahot saare aise aam halke hain, khaas taar pe.
00:41 High profile nauyat ke bhi, jahaan pe mustarad voto ki taadaat itni zyada hai, jab wo challenge
00:46 honge toh wahan ke jo results hai, wo tabdeel hone ke kabhi imkaanat hain.
00:52 Programme ka aaghaas karte hain ji.
00:53 Is waqt agar hum baat karein toh number game badi wazey hoti jaa rahi hai.
00:57 Election 2024, jis tarah se vote pada, jis tarah se logon ne bahar nikal ke apni raay
01:02 ka izhaar kiya, is poore ghutan zada mahal mein ek bahot badi ek roshni ki kiran.
01:07 Election mein jaane se pehle, jo jis tarah ki surat-e-haal thi mulke andar, shrinking
01:11 political space thi, ek jamaat campaign kar nahi paa rahi thi.
01:15 Uske baad jab election ka din aaya, Pakistani awam ne jis tarah se apni raay ka izhaar kiya,
01:20 toh jamhooriyat ke andar bahut saare logon ka jo ek kam hota hua aitamaat tha, wo behtar
01:26 hua hai.
01:27 Is waqt ki jo position hai, uske tehat Nawaz Sharif sahab ne is baat ka daawa kiya hai
01:32 aur apne tahadiyon ko daawat di hai, ke wo aakar hakumat bana paayenge.
01:36 Nawaz Sharif sahab ne election ke 24 ghante baad, kis tarah hi daawat di aur hakumat
01:41 banane ke baare mein kya kaha, zara yeh sukhin.
01:44 Aapko apni taraf se, yeh Shabaz Sharif sahab ki taraf se, Maryam Aurangzeb ki taraf se,
01:50 yeh sab kade hai naaye aur baaye, hum sab aapko mubarak baat kehte hai.
01:55 Isliye ke Allah ke fazl-o-karam se, in intikha baat me Pakistan Muslim League Noon sabse
02:02 badi jamaat banke ubriye.
02:04 Yeh aqeeqat nahi hai.
02:07 Muslim League Noon sabse badi jamaat banke nahi ubriye.
02:10 Isko alfas ka hair-pair, spin toh kaha jaa sakta hai, lekar iska fact se door-door tak
02:14 taluk nahi hai.
02:15 Agar hum aapko yeh table dikha seke, sirf wifaq ki halki si agar hum jhalak dikha seke, toh
02:20 aapko batatein ki Azad Umidwar, jo ke Pakistan Tehreek-e-Insaf ke backed hai, unki itaadaad
02:26 95 is mein sab ek kam ho gai hai, chuke unhone jaa ke PMLN join kar li hai.
02:30 Muslim League Noon ki 75 hai, aur un 75 mein se bhi 20 se 25 seat-e aise hi hai, jahaan
02:35 par bahut sangeen nidhaanli ki ilzaamaat hai.
02:38 This party ki paas 54 nishisht hai.
02:40 MQM ki 17 nishishton me bhi bahut bada sawaliya nishaan hai ki Karachi ke mandate ko kya kahi
02:46 kisi tariqe se tamper toh nahi kiya gaya, yeh mukambal taur pe logon ka, in 17 nishishton
02:50 ke number ki upar itamaad bhi nahi hai.
02:52 Toh yeh ek tooti-pooti, kati-pati si ittahadi haqumat toh zaroor ho sakti hai, lekar badi
02:57 waze majority wali baat aur single party kehna, PMLN ki yeh ziyadati hai.
03:02 Jo sach baat hai wo yeh hai, ki is mulk ke andar jo naujawan tapka hai, unhone aapko
03:07 vote nahi diya hai.
03:09 Unhone ne aapke jo purane PDM ka tajarba tha, usse bezariyat me aapke khilaf vote daala
03:15 hai.
03:16 Yeh baat bhi sach hai, PMLN ka apna voter bhi baahar nahi nikla hai.
03:19 Jab aapne vote ko izzat do ke beyaaniye ko chhoda hai, toh aapka voter bhi mayoos hoke
03:24 ghar baith gaya hai.
03:25 Usse kisi aur jamaat ko vote nahi diya, lekin aapke liye bhi nahi nikla.
03:29 Is mulk ke andar, jo election tha, usme turnout sirf 48% tha.
03:33 Aur logon ka estimate yeh tha, ki jab 55% se zyada hoga, toh Tehreek-e-Insaaf ko iss
03:39 election ke andar wazir taur pe kamyaabhi milegi.
03:42 Lekin, chuke PMLN ka voter nikla hi nahi hai, so 48% pe bhi badi decisive yaha par, ek referendum
03:48 hai jo maujooda political setup hai, uske khilaf, ki log iss se bezar hai.
03:53 Achchi baat yeh hai, ki jo poore 2 saal ke andar hakumaton ne kiya, uska badla logon
03:59 ne apne vote ke zarye liya hai.
04:00 Yeh ek achchi, jisse kehte hai, silver lining hai iss poore nizam ke andar.
04:06 PMLN ke apne andar bhi, aesi awaze hain, jo sane voices hain, jo introspection karna
04:10 chahati hain, wo jaanti hain, ke masla kaha hai.
04:13 Unme se ek Khurram Dastgir sahab bhi, jab election ke baad humne unse poocha ki, kya
04:18 wajah hai, ki PMLN ko aaj yeh din dekhna padha hai apne electoral performance mein, toh
04:22 unka kya kehna tha, zara yeh suni.
04:25 PMLN ka voter abstain bhi kiya, kuch jagon pe, is wajah se bhi aap logon ko dent padha
04:31 hain?
04:32 Ji bilkul yeh zarur farak padha hai.
04:34 Aur is par party mein, is par conversation yeh ho rahi hai, ki hum jo nai voters shamil
04:39 ho rahe hain, wazai iski sintakhab mein, koi takreban sawa crore ke kareem voters the
04:44 jo nai shamil ho re the, un tak humne wo communicate nahi kiya apna message, is tarah me karna
04:51 chahiye tha.
04:52 Toh nai voters ki jo communication hai, usme definitely ek challenge hai.
04:58 Khurram Dastgir sahab ki jo zahanat hai, unka acumen se fayda uthana chahiye party ko, lekin
05:03 aisa hota nazar nahi aara, kyunki jo social media ke upar bakaad campaign chal rahi hai,
05:07 wo toh kuch aur hi keh rahi hai, jis ko lead kar rahe hai Rana Sanaullah sahab, aur PMLN
05:11 ke apne social media accounts.
05:12 Aur unhone yeh sara marmala, jo malba hai, daal diya hai media ke upar.
05:17 Media ke jo suited, booted anchors hain, aur is beaniye ko Mariam Nawaz sahiba khud bhi
05:21 support kar rahi hai.
05:22 PMLN ke agar hum tweets aapko dikhaye, toh intikhabaat ko unhone ne kaha, jo joh mutnaaza
05:27 banara hai is waqt, wo yaha ka media hai.
05:30 Jo sahafi hain, unko troll kiya jaara hai, unke upar ilzamaat dale jaa rahe hain, aur
05:35 humne dekha hai, poora jo malba hai, poori jo unhone is waqt topo ke dhaane hai, wo sahafiyon
05:40 ke khilaf kar rahi hai.
05:41 Yeh sach baat nahi hai, aapki ab khud introspection ki zuroorat hai, yeh kaise hoga?
05:46 Aur is waqt siyatisci jamaate, kya wohi PDM 2 ka tajarba karne jaa rahi hai, jo ke bhi
05:51 toh zahir lagta hai, karne jaa rahi hai.
05:53 Yeh aise nizam ko kya stability milegi?
05:55 Aise bahut saare aur sawaal haath hai.
05:57 Program ke pehle se mustaba Nawaz Khokhar sahab maare saath maujood hai, senior siyasatdaan.
06:01 Khud bhi election lada, mukabla dil-e-naatawaan-e khub kiya.
06:05 Lekin uske baad, jab unhone election concede kiya, toh gracefully unhone jis tarah se hona
06:11 chahiye, maana ke Tehreek-e-Insaaf ke logon unse beter campaign chalai, hala ke seat-e
06:16 unke aat bhi nahi aayi.
06:18 Lekin chalain, Mohammad Zubair sahab maare saath maujood hai, sabhi Governor Sindh.
06:22 Inka shumar un logon me se hai, PMLN ke jo kahte the, apne biyaniye ko naa chhode, warna
06:26 aaj ka yeh din dekhna padh sakta hai.
06:29 Lekin aise aawazon ko side-line kar diya jaata hai, unko Jamaat ke andar unki baat nahi suni
06:34 jaati.
06:35 Aur phir uska natija aaj unki Jamaat khud bhi bhugat rahi hai.
06:38 Agar aapki jaaz se Zubair sahab se aagaz kare.
06:40 Zubair sahab yeh jo election results aaye, are you surprised?
06:45 No I am not surprised.
06:47 Ine pehle din tweet bhi kiya tha, I am not surprised.
06:51 Because jo reality on the ground thi, wo nazar aari thi.
06:55 Ke PMLN apna biyaniya wahan tak punchane ke liye, bahut pure tariqah se naakam hoyi hai.
07:02 Despite the fact ke jo halaat the, jo ASR the, aur jo sabse bade opponent PTI tha, unke
07:09 liye toh bauti mushkil tha campaign karna.
07:12 Koi national level leader unke paas nahi tha, unke paas koi campaign strategy group nahi
07:17 tha, koi leader pure Pakistan me jaake jalsa nahi kar raha tha, halkal jalsa hi nahi hua.
07:21 Mera khayal Pakistan ki duniya ki tarikh mein yeh unique hoga ke ek party PMLN ke paas sab
07:27 kuch facilities thi, support thi, sab kuch tha.
07:32 Aur doosri party ke paas kuch bhi nahi tha.
07:34 Aur ek fear factor tha, jo humein bata hai post May 9th ek fear factor tha, jisme unke
07:39 liye 25 banda bhi bahar nikalna mushkil tha.
07:42 Aur jo election ki strategy hum sunte aare the, ke voters ko bahar bhi nikalna padhta
07:47 hai, wo tamam odds ko unhone peat kiya aur usme mera khayal hai sabse zyada unko toh
07:52 credit dena padhega PTI ko, bahut zyada credit dena padhega.
07:55 But PMLN ki apni naakami bhi hai, bahut zabatas tariqah se naakami hai.
08:00 Uski maariya ek toh aapne jo zikar kiya, PTM ki hukumat thi, PMLN led hukumat thi, wo
08:06 itna bada failure tha na, ke aapne kisi ki zawaan se bhi, chahe wo Mian Nawaz Sharif
08:11 ho, Shehbaz Sharif ho, yeh koi aur leader ho, suna hi nahi poori campaign mein, us 16
08:16 mahine ka zikar karke.
08:18 Wo chhup re the 16 mahine ka zikar karte bhi.
08:21 Which was an acceptance of the fact ke abhi most recent history jab unko govern karne
08:25 ka mauka mila, toh wo kitne buray tariqah se fail hua.
08:29 Uski wajuhaat jo bhi ho sakte hai.
08:31 But no one was saying ke wo jaye ek pesh kiya gaya, reyasat ko bachane ke liye.
08:37 Reyasat ko toh har hukumat, poori duniya mein har party ka farz hota hai, ke wo hukumat
08:41 mein jab baye toh reyasat ko bachaye.
08:42 Toh yeh koi pehla mauka nahi tha, ke aapke baas option nahi hota, ke ya reyasat bacha
08:47 lein, ya kuch aur kar lein.
08:49 Reyasat ko toh bachana hi bachana hota hai, chahe jaise bhi halat hai.
08:52 Saath mein awam, jo 25 crore awam hai, unke liye bhi kuch karna padhta hai.
08:56 Doosri baat yeh again messaging was so poor, ke hum unko reach out hi nahi kar sake, jo
09:02 ke not on just the new voters, but wo jo youth hai, 30 saal kabhi jo ladka ya ladki hai,
09:09 ya 25 saal ke jo pichli dafwa bhi shayad unne vote taala tha.
09:13 Toh hum reach out hi nahi kar rahe hain.
09:15 What was it?
09:16 Hum keh kya rahe the?
09:17 Hum yeh kar rahe the, ke ji wo iddat mein jo unko conviction hoi, us din hum chaar press
09:23 conference kar rahe hain.
09:24 Aur yeh bata rahe hain, ki Imran Khan kitna kharab hai, iddat ke dauran unna shadi kar
09:28 li thi.
09:29 Hum yeh nahi bata rahe hain, ki hum jo vote hume kyun dene ke liye aaye?
09:33 Hum kya karenge aap ke liye?
09:34 Kyunki hum bataane ke liye, humare liye sabse mushkil cheez liye, wo 16 mahine ki jo humara
09:39 wo tha, aur phir vote ko izzat do.
09:42 Ek kitna strong, main kaitaun ke roti kapda maqan, jo PPP ka ek biyaniya tha, 1977 mein,
09:49 uske baad agar koi strong biyaniya bana tha, wo vote ko izzat do tha.
09:53 Wo bada comprehensive tha, uska ek baad matlab tha, what does that mean?
10:00 Focus aam Pakistani par tha uska.
10:03 Usko aapne genuinely peechhe leke chale ke zikr karna chod diya, which was an admission,
10:08 ke now we are not dependent on the vote.
10:11 Ab hum unkuvoton par depend kar rahe hain, jo hume kahi na kahi tarike se hume ikhtaar
10:17 kar rahe hain.
10:18 So jaise aap baat kare na, actually I can sense your sadness, ke Nawaz Sharif sahab
10:25 ki jo poori legacy hai, wo kis tarike se shape up kare, khas taur pe jo unke aakhri political
10:31 jo chand active saal hain unmein.
10:33 Muslima sahab mujhe yaad hai, ki jab yeh PDM 2 ki haqumat aayi thi, to ek dafa guftu
10:38 ke duranj humari baat hui, to aapne kaha tha, ki in logon ko andaza nahi hain, ki Imran
10:43 Khan to ek taraf, ki is maujooda ittihad se bezaari kitni hain logon ki.
10:48 To aap surprise hai in results se, matlab gure results to hon, lekin itni zyada ke PM
10:54 election sirf 40-50 nashiston pe Punjab mein limit ho jayegi, KP se wiped out, Sindh mein
10:58 interested nahi hain, Balochistan mein jodh todh se bana le, Punjab mein 50-55 seaton
11:03 tak medood hai, agar fair analysis karein to.
11:06 Dekhe elections ke jo results hain, Maria unmein sabse pehle to main results ko bada
11:11 khushain samajh doon, Pakistan ke log hain, bhale unhone jo bhi faisla diya ho, Pakistan
11:17 ke log bole hain, aur unhone ek faisla diya hai, aur uske baad ab unke us faisla ka, unki
11:23 raaye ka ihtiram karna chahiye, aur sab ko sar-e-tasleem kham karna chahiye unke saamne.
11:28 Jo Jamaaton ke andar ki jo wajuhat hain, kaunsi Jamaat kyun behtar perform nahi kar sakhi,
11:33 uske upar un Jamaaton ko ghaur to karna chahiye aur Zubair bhai ne poori list ginwai cheezon
11:39 ki, ki jin wajah se shayad Muslim League Noon wo seete nahi hasal kar sakhi.
11:45 Lekin agar thoda baut bhi introspection ho raha hota, to kamaz kam 9 taarikh se, tarz-e-amal
11:51 mein koi hamein koi behitri nazarani shuru hoti.
11:54 Aaj abhi thodi der pehle khabar aayi, ke ek sahab jo PTI backed the, unhone Muslim League
12:00 Noon ko join kiya, Mariam sahiba unke saath tasveer mein maujood thi.
12:04 Wazia taur pe jo sahab jinnon ne join kiya, unhe yeh mandate nahi diya gaya tha unke halke
12:09 ke logon ki jaanib se, ke wo PMLN ko join karein.
12:13 Unka join karna, unko welcome karna, unko lena yeh ek wazia message ho aur mera khayal se
12:18 is surat-e-haal mein seekha kuch nahi gaya.
12:21 Jis tariqah se nataayaj badle gaye, ab nataayaj badle le ki surat mein jo log bane, unke paas
12:28 kya moral authority hai apne halke ko represent karne ki.
12:31 Jab unke paas wo logon ka, 50-50,000 vote logon ko form 47 ke andar, numbers tabdeel
12:38 karke unko jita diya gaya.
12:40 To aakhir Mia Nawaz Sharif sahab ko is cheez pe bhi ghaur karna chahiye tha, ki jab unki
12:45 Jamaat ke darjunon ke hesaab se logon ko is tarah jitaya jaa raha hai, to iska unki siyasat
12:50 pe bhi kya aasar padega.
12:51 Aur in the long run, Muslim League Noon logon ki nazron mein kahan par khadi hogi.
12:56 Aaj poore pathwar ko main upper Punjab ki baat kar sakta hu, Islamabad aap dekh lein, teeno
13:01 seete jo hai, wo ghalat tariqah se jitai gayi, form 47 ke andar, numbers ko change karke Muslim
13:09 League Noon ko jitaya gaya.
13:10 Isi tarah Attock ki seats hai, isi tarah Pindi ki seats hai, Jhelum ki, isi tarah Chakwal
13:15 ki.
13:16 To poora jo pathwar hai, upper Punjab region hai, usme shayad ek seat chhod ke, baaki sari
13:22 seats is tarah dhandli karke jitai gayi hai.
13:25 To Muslim League Noon agar yeh samjhti hai, jo log is tarah jitai jaarein unki base pe
13:28 popularity gain kar legi, logon ke andar nafrat aur badh jayegi.
13:31 And specially when Noon League is better than that, agar thoda sa wo piche kadam kare, wo
13:36 ek behtar comeback kar sakte hai, barpoor awami taqat ke saar.
13:40 Unki zaroorat nahi hai misakhiyon ki in long term.
13:43 Kisi siyasatdaan ko zaroorat nahi hoti, humara kaam to yeh, main bhi umeedwar tha, main haara
13:47 election, aur election haara aur main apni shikas tasleem ki, humara kaam yeh ki humne
13:51 apni soch jo hai, wo logon ke saamne rakhni hai, aur phir logon ne faisla karna hai, ki
13:55 wo kisi ki soch ko, siyasi soch ko pasand karte hain, ya usko nahi pasand karte hain.
14:01 Ab jo yahaan par ab jo silsila chal nikla hai, uske andar electionon ke baad, jo yeh sari
14:07 haqoomat hasil karne ke liye, yeh jo maneuvering ki jaa rahi hai, lagta to yeh ke humne taarikh
14:11 se koi sabak nahi seeka.
14:13 Humare haan mulk ke andar controversial elections ki ek lambi taarikh to hai, lekin saath hi
14:19 saath humare taakh tijarbaat vi hai, aur aaj yeh jo hum beech bo rahe hain, 2018 ke yaad
14:24 rakhiye, jo boye hoye beech the unhone bohot problems create ki, aur jo aaj ke beech boye
14:30 ja rahe hain, yeh bhi bohot problems create karege.
14:32 Hum mainstream media ke upar Balochistan mein discuss kar rahe hain, Balochistan ke andar
14:37 is waqt badi ek tashweesh naat katiyat hai wahaan par, Quetta mein, Gwadar mein, KH mein,
14:44 Mohsindawad pe aap dekhiye, Allah unhe sehat de, humare dost hain, colleague rahe hain,
14:51 to hum yeh kya kar rahe hain, yeh mulk humara apna hai, logon ki raaye ka ihtiram karein,
14:56 logon, hume bhale wo faisla pasand na ho, lekin har surat aapko logon ki raaye ka ihtiram
15:00 karna se.
15:01 Aur bas kar de na, do saal se, aapne har taraka tariqat kar istimal kar liya, aur aapne Jamaat
15:07 ka nishan le liya, chale theek hai, aapne unko campaigning nahi karne di, uske bawajood
15:12 agar unhone out maneuver aur out perform kar diya hai, to kahi na kahi to aap ruk ke
15:17 peeche sabko assess karna hoga na, ki jaa kar takar to nahi na mar dini, ek train wreck
15:22 ki tarah.
15:23 Zubair sahab, abhi jo maujooda set up nazaara hai, wo yeh hi lag raha hai, ki dubara People's
15:26 Party, PMLN, aur deegar ittihadi milke government banayenge, yaani ki 17-18 mahine ka tajarba
15:31 dubara repeat hotawa dekhna jaa rahe hai.
15:34 Thoda se difference ho sakta hai, ke vahe CM ship shayad, ya PM ship, ya presidency,
15:39 isme koi barter ho jaye, koi People's Party jaha pehle thi, wah PMLN chali jaye, but more
15:43 or less, shakal hotaur to wohi hogi na.
15:46 To wo purane tajarbe se koi naye result nikalne ki umeez hai?
15:52 Dekhe Maria yeh bada important hai, kyunki the recent history is 16-month government
15:57 of PDM aur vahi political parties saath milke dubara haqoomat banayenge nazara aari hai.
16:03 Mera khayal hai, agar hum uske jab 16-month khatam hua the aur KTA ka set up aayi thi,
16:07 to usme agar hum ek dekhe ek sanity ek thirao aaya jab se KTA ka haqoomat aayi.
16:15 Misaal ki taur par aap market dekh le, currency market, stock market dekh le, Afghanistan
16:20 ki taur smuggling dekh le, dollar ki, transit trade dekh le, baaki Iran se oil ki smuggling
16:26 dekh le, distribution companies ki performance dekh le.
16:30 Yani kehne ka matlab yeh hai, ke hum ab awaam ko yeh jaa ke bataenge, ke hum wahin se shuru
16:36 karenge jahaan se humne August me shuru kya tha.
16:38 Wahi uncertainty ka pehloo hoga, wahi political aur economic instability ki taur jaayenge.
16:43 What is it that we are offering this time which will be different from the 16-month?
16:48 Ya toh pehle 16-month ka agar aap toh wahi process shuru karne jaa rahe hain, toh awaam
16:52 ko toh bilkoo khauf aayega, ke hum phir wahi mahingaay ki chakki mein dubara pisenge, wahi
16:57 uncertainty hoki, wahi rupee massive tariqah se devalue hoga, aur agar nahi hoga yeh sab,
17:04 agar acha hoga toh woh kya hoga, humne dekha ke jab tak PDM ki hakumat thi, toh humare
17:12 IMF ke saath halaat kitne zyada aise jang ka mauhol tha.
17:16 And I must give credit to Prime Minister Shibajshri that unki intervention se at the last moment
17:21 hum bache the, toh uske baad humare IMF ka program aaya, woh last abhi ek sirf rehta hai,
17:29 kuch maharela rehta hai, kitne smoothly hua, maine aur aapne aur kisi ne uspe itne focus
17:34 bhi nahi kya, ki itne aaraam se ho gaya aur hona bhi aise chahiye, pehle toh aise lag raha
17:39 tha jaise jang ho rahi hai.
17:40 Aur ek main comment zaroor de na chahunga, Chief Justice sir ke saath pehahat, ehteram
17:45 ke saath jab unhone symbol liya tha, toh us sakat unhone ka tha ki inter-party elections
17:50 me bezabd gaya hoi hain, jo kya actually that was not even the question, toh agar general
17:55 elections me bezabd gaya hoi hain, toh kya uska notice lena chahiye aur uske basis par
18:01 koi firmaan aana chahiye ya nahi aana chahiye.
18:04 Sir ye toh toh saare baatein keh rahe hain Zubair sahib, ye toh Nawaz Sharif sahib ko
18:07 malum hungi na, unki siyasi majboori hai ya phir idgit ke log insist kar rahe hain, government
18:12 banaye, because last time jo wo sochti haavi aagayi na ki hakumat le liye nahi chahiye,
18:16 Nawaz Sharif sahib nahi le na chahate the, ye badi clearly aap pehle bhi bata chuke,
18:20 toh ab wo dubaara wo galti kyu dohra rahe hain, kya wo apni marzi se faisle nahi kar
18:24 raha hai, ya unke paas kuch jaayesh nahi apni marzi se faisle karne ki.
18:28 Aap mere se pooche?
18:30 Ji ji Zubair sahib aap se pooche.
18:34 Ji, dekhen ek toh ye bilkul mera khayal hai, main toh us me shamil nahi hun faisla saazi
18:42 me, kaafi arse se, kuch maheeno se.
18:45 Guess kya hai aapka?
18:46 Guess?
18:47 Guest mera ye hai ki, mera khayal hai ki Nawaz Sharif will be very reluctant at the
18:54 state of affairs today.
18:56 Party ka, uske election performance ka, aayinda aane wale jo waqt hai, jiski commitment hum
19:02 kar chuke, awaam ko khushgabari suna chuke.
19:04 Ab agar Nawaz Sharif sahib khud nahi aate aage, Wazir-e-Azam nahi bante hain, toh ek
19:09 bahut bada ek question mark hai, ki PMLN ke voters ne toh vote ye samajh ke diya hai,
19:15 ke Mian Nawaz Sharif chauti dafa Wazir-e-Azam banege, bada clear hai, uske koi shak nahi
19:20 hai.
19:21 Ab agar wo nahi banege, toh fir ek aur bada challenge aajaega, ki fir kis tarah se wo
19:28 trust aur confidence aayega us haqoomat mein, ya se Shibaz Sharif sahib usko lead karte
19:34 Wazir-e-Azam bante hain, toh fir wo kya, mera toh khayal hai ki we are going into total
19:40 chaotic situation aur jisme uncertainty aur badegi.
19:43 Us se zyada acha ye hai, ek toh parliament mein kahti hain, call us waqat honi chahiye
19:51 ye jo serious cases hain, serious cases hain, allegations hain, irregularities hain, jab
19:55 tak isko fix nahi kiya jaa sakta, toh kaise aap parliament mein jayein aur ek vote of
20:01 confidence leyin jab ke dubious kism ka election result ho, jis par poori duniya comment kar
20:08 rahi ho aur aap ghar kisi soche samjhen, toh agar aisa hoga toh political instability
20:13 badegi aage jaake, vahi court, kachari.
20:15 Sir log toh yeh keh rahe hain patni der saal chalni hai, do saal chalni hai, kaisi haqoomat
20:20 jo kaim nahi hui uske kitna duraani hoga, us pe sawal hai, Musabba sahib, ab is waqt
20:24 fark do hain, ek hai Zardari sahib aur People's Party ki immediate siyasat aur ek hai long
20:28 term Bilawal ki nai soch aur jo future voter hai, because ab yeh jo voter naya aaya hai,
20:33 isne agli 20 saal Pakistan ki siyasat ko shape up karna hai na, toh ab dekhna hiye
20:37 People's Party ne bhi faisla yeh karna hai, ke jo is waqt unpopularity hai, iska boj Bilawal
20:43 pe dalna hai, ya Bilawal ko usse shield karke aapne apni siyasat bachani hai, ya unke paas
20:49 bhi choice nahi hai aur unko bhi yeh faisla karna padda hai, baadil-e-na-khaasta.
20:52 Dekhe Maria, hum sab ko haqeeqat ka pata hai, ke yeh faisle kahin aur honge aur phir unko
20:58 un faislon par amal karta padega, in jamaaton ko.
21:01 In jamaaton ke paas choice nahi hai.
21:04 If choice poochen toh mere khaal se, jisra Zubair bhai keh rahe the, Nawaz Sharif sahab
21:08 bhi reluctant hone, aur jisra main media mein dekh rahe hun, Bilawal sahab bhi reluctant
21:14 hone.
21:15 Lekin, ab haqoomat banani toh bilakhir hai, aur Imran Khan aur unki jamaat ke himayatiyon
21:22 ke bagahir banani hai, toh in sab ko phir ikatha joda jayega, in sab ko kaha jayega ke aapne
21:27 haqoomat mein na sirf banani hai, balkhe usko chalana hai.
21:31 Aur wo haqoomat jiske paas, is mulke bache bache ko pata ho, kis tariqe se mandate chori
21:39 karke usqe haqoomat ko install kiya jaa raha hai, toh wo haqoomat chal nahi payegi.
21:44 Moral authority ek bahut badi cheez hoti hai, aur jab aapne deliberately sabse zyada vote
21:51 lene wale jo jamaat thi, jiska naam tak lene pe pabandi thi, jiska nishan tak istamaal
21:57 nahi kar sakte the, jiska umeedwaar corner meetings nahi kar sake, jalsa nahi kar sake,
22:02 uske baab wajood jab aapki unki majority ko trim kar rahe hai, toh legitimacy toh aane
22:06 wali haqoomat ki hogi hi nahi pehle din se.
22:09 Aur phir jo mushkil faislein aage, dekhe march ke andar aapki IMF ki facility khatam ho rahi
22:14 hai, aapko IMF ke saath ek naya program negotiate karna padega.
22:18 Wo naya program backbreaking hoga, uski jo conditions hongi.
22:22 Already jo log hai apne gas, bijli ke bill hain, jo mehngai ki lahir hai Pakistan mein,
22:27 usse log bahut parishan hai.
22:30 Aur ek unpopular haqoomat, wo unpopular haqoomat unpopular faisle kar rahi hai, toh logon ke
22:36 andar aapka kya khayal hai, log mitaiyan bantenge, log toh aise aise guftagu karenge, toh mera
22:41 ye khayal hai ki yeh kaafi, yeh jo band kamron ke andar baith kar faisle kiye ja rahe hai,
22:48 awaam ki raaye ka ihtaraam nahi kiya ja rahe hai.
22:50 Toh wo jo hum ek baat karte hain, awaze khalk naqara-e-khuda.
22:53 Ji ji ji, it's spoken very clearly.
22:54 Toh yeh awaze khalk jo hai, jisne itna, itne bade numbers mein, against all odds aakar unhone
23:01 jo faisla kar di hai, agar aap uska ihtaraam nahi karenge, toh hum wo bohran ko janam denge
23:07 ke shayad humari tawakko se bhi zyada.
23:09 Bilkul thek baat hai.
23:10 Mujhe thoda sa yaha se aap log ke zyadat le niye hai, lekin jo aapne yeh baat ki na,
23:14 jo bohran, yeh bohran khali ek generation ka nahi hai.
23:17 Ji yaar.
23:18 Toh yeh generation hai, jo pehli martabh aap siyasat mein aayi hai, aur yeh palat-palat
23:22 ke dubara aapne inko manana hai.
23:24 Toh jab istana naraz aap kar rahe hain, toh unhe manayenge kaise?
23:28 Unke naraz karte hain, aap pakka kar denge.
23:30 Pakka kar denge aur aap apne aapko aise kyu position kar rahe hain, ki naujawan log jo
23:34 chahate hain, hum wo rok rahe hain.
23:36 Why are you positioning yourself against the future of this country?
23:39 Yeh mujhe samajh nahi aari ki inn jabaaton ke andar, inn terms mein baat hoti hai ya nahi
23:44 hoti hai.
23:45 Baharaal, bahot shukri aap dono aajraat ka.
23:47 Toh aur break pe jaayenge, jab wapas aayenge, toh Sardar Latif Khossa sahab baare saath ho
23:50 honge.
23:51 Kyuki aaj humne dekha, Wasim Qadir sahab ne PTI ke vote bank se MNA banne ke baad PMLN
23:57 join karli hai.
23:58 Toh ab tariq-e-insaaf ke challenges badh rahe hain.
24:00 Ispe wo kya kar raha hai?
24:01 Break ke baad uspe baat kar rahe hain.
24:02 Humare saath rahe hain.
24:03 Welcome back.
24:04 Humme dekha, is bolk ke andar, guzarshta derd-do saal ke andar, jis tariqe se political
24:13 space shrink ki gayi, jis tariqe se humne dekha ki nafrat aur violence manifold badha
24:22 hai.
24:23 Ab it's about time ki is election ke baad, is result ke baad, us aanch ko dheema karna
24:28 hoga.
24:29 Lekin aisa hota dikhai nahi de raha.
24:31 Aaj humne dekha, Azam Tariq sahab ne jab press conference ki, toh unhone waha pe zikar kiya,
24:35 ke wo healing touch hai, uski tarah badhna chahate hain.
24:39 Kya kaha Tariq sahab ne zara suni?
24:41 Aaj waqt hai cheezon ko samarne ka, moishad ko betar karne ka aur heal karne ka fariza
24:48 anjaam dena chahiye, aam aadmi ki takalif ko aur ye political leadership ka farz hai.
24:53 Aap sab ko malum hai, ki kisi ek single party ke paas is waqt haqoomat banane ka mandate
25:00 nahi hai.
25:01 Toh ye ek sharaqati aur ithaati haqoomat kaim hogi.
25:07 Jo healing touch ki baat kehte hain, ye iska aagaz kaise hoga?
25:10 Aaj humne dekha, Tehreek-e-Insaaf ne jaga-jaga apne itajaj ka jab ailaan kiya, toh waha par
25:16 jaakar dubara unko ek jaga pe katha hone nahi diya gaya.
25:19 Aaj ek aur development hui hai, ke halka NA-121 se jo kamayab umeedwaar the Wasim Qadir sahab,
25:25 unko jo humne thodi dair pehle screens pe namoodar hote dekha, unhone Mariam Nawaz sahiba ke
25:29 saath kade hoke video banayi, usme unhone kaha ke wo wapas apne ghar jaa rahe hain.
25:33 So apparently as of now, NA-121 jo Tehreek-e-Insaaf me ke voto se muntakib hua hain Wasim Qadir
25:41 sahab, ab wo Noon League ko bazaaqataur par join kar rahe hain.
25:44 Ye saare kya maamlaat hai, isme baat karenge Latif Khosla sahib maajood hai, sahabi governor
25:47 Punjab, khud bhi election lada Lahore se, bade hi waze margin se jeeta, mubarak hai Khosla
25:52 sahab aapko bahut zyada.
25:53 Aisa-isa mera khaal hai, ek ek point karke aage chalte hain.
25:57 Ab se pehle yeh Wasim Qadir sahab ka case dekh le, NA-121 se jeeta unhone PTI ka vote
26:04 lekar, ab wo Noon League ke saath bet gaye hain, kanuni kadgan toh koi nahi hain, zahir
26:08 si baat hai, wo ek azaad umeedwar ke taur pe hain, toh wo join kar sakte hain.
26:14 Degi, Maria yeh intihai sharmnaak hain jo ki gayi hai, kyunke yahan se Rohil Asghar sahab
26:23 se yeh PMLN ke umeedwar hi nahi hain, balke yeh Shareef Khan bade ka hissa hain.
26:31 Aur aapne dekha ki kitna purr tashaddad inka campaign thi, jisme inhone bakaida thappad
26:38 bhi maare the campaign ke dauran mein aur aapke sare channels ne inki mashallah yeh jabillat
26:47 ko dikhaya tha.
26:48 Toh yeh agar is andaas se yeh samjhte hain, ki Masih Qadir ko aaj agwaa karke, subhe
26:55 se aur phir uski software ko update karke ya gharaari uski reverse ki gayi hai, toh aapka
27:03 kya khyaal hai, ki yeh isko koi ilaake mein koi ghusne bhi dega, aane bhi dega, iske apne
27:10 ghar wale bhi shayad isko aane se ihtaraaz kare, pana isse le le.
27:17 Aur yeh jo ghamo gussa aur jo ghazab awam ka humne dekha, yeh 8 February ko aap yakeen
27:24 kijiyega jaisa, jis tarah log baalehana taur par niklein hai, aur jis tarah logon ne apne
27:30 yaani akhtyaar ko istamal kiya hai, apne aapko ek riyasat ka tassawar karte hui, ki hamara
27:38 yeh isse kaak-e-aayeen mein, ki hum jisko chahenge assembly mein ya parliament mein
27:44 bhejenge, aur se jo haqoomat banegi, wo hamari haqoomat, hamare numaidon ki haqoomat banegi.
27:51 Toh Pakistan ki tarikh mein maine pehli martaba dekha hai, ki logon ne baalehana taur par
27:57 jabar aur istisal ke bawajood, tamam tar paabandiyon ke bawajood, aur yeh zanjeerain todte hui
28:04 jis tarah se log apna joke dar joke polling stations par gaye hain, aur unhe ghumaya gaya,
28:10 mere apne halke mein yakeen karen, ki jo PTI ka parchi lekar jaata tha, usko kehte the
28:17 yeh tumhara polling station hi nahi hai, aur tum falan jagah jao aur falan jagah jao, aur
28:22 phir wo bhi zara samajh gaye unko, aur phir Muslim League noon ke camp se jab parchi lete
28:28 the, toh unhe janaab VIP treatment deke unko andar polling station mein, presiding officer
28:35 ke paas jaane deya, Khosrow sahab abhi karenge kya?
28:37 Aur wo parchi lete the.
28:38 Parchi batayiye na, Waseem Qadir sahab udhar chale gaye hain, ke aapke paas koi kanuni
28:42 chaara joi ka haq hai, aur nahi hai, kyunki wo independent candidate hai, toh ab yeh vote
28:46 toh PML, kyunki isnag number game bhi hai.
28:49 Nahi Maria, kisne kaha independent hai?
28:52 Dekhe yeh jo hai Pakistan Tehreek-e-Insaf as a party, ban nahi hui, as a party, political
29:01 party, political entity, aayeen aur kanun ke mutaabik yeh exist karte hai, iska sirf
29:08 symbol liya gaya tha, aur in saaron ne, bashamool mere, humne apne nomination papers par apna
29:14 PTI apnaap ko likha tha, aur PTI ke liye humne, isliye PTI subsist karte hai, PTI exist karte
29:23 hai, PTI as a political party maujood hai, aur isliye hum jitne independent elect hu
29:29 hain, bashamool Waseem Qadir ke, hum PTI ke discipline ke, aur PTI ke zayche aur zapte
29:36 ke paband hai, aur isliye yeh inko toh bilkul abhi aage toh zara chalne de, inka zara aane
29:44 toh de, hum inke upar tamam kism ke itarazaat bhi karenge, party se inko jo hai, uska backlash
29:52 bhi hoga, aur jo awaam ka backlash hoga, uska toh aap tasabar dekh le, so they are not
29:57 independent in the sense ke yeh jo chahein aur katabira ino ne Imran Khan ka vote liya
30:02 hai, abhi jo mere paas number hai aapka 95 hai right, abhi kuch nishishton ke upar aapne
30:07 challenge kiya waha hai, kuch pe stay hai, kuch ke results announce nahi hoya, so more
30:10 or less abhi yeh number jo hai, yeh aisa nahi rehga, isme radho badal hoga, lekin jo government
30:15 banani hai, uske upar badi clear position hai PTI ki, ki hum kisi ke saath bethege nahi,
30:20 aur aapke paas abhi as of right now, wo number nahi hai jisse aap akele haqoomat bana sake,
30:26 toh phir agar aap haqoomat banana chahenge toh uske tariqat kaar kya hoga?
30:30 Dekhen ek baat toh yeh hai ki humare paas 129 hai, 95 nahi hai, aap jo marzi ginti, aapka
30:37 media, ya official jo bhi number dikhate rahein, humare 50 log aise hai, jo bilkul form 45
30:46 humare paas maujood hai, jisme waze bartari humari hasil hai, aur yeh nahi hai ke chand
30:53 100 aur chand 1000 hai, 1000on ki taadat se humari adadi bartari maujood hai, aur form
31:00 47 me jo returning officer ne diya, usme usne form 45 figure ko usme zahir nahi kiya, aur
31:10 usne jeete hua ko hara diya aur hare hua ko jeeta diya, wo humari itni waze taur par
31:16 taqat aur mohar lage hua hai, aur sabhi ke presiding officers ke aur polling officers
31:23 ke maujood hai, so isliye humein yaqeen hai, kabhi umeed hai ke wo 50 bhi humein inshaallah
31:28 mil jayenge, aur uske baad agar aap dekhen ke 230 jo maqsoos nishishte hain, jisme khawateen
31:35 aur jisme humari aqliyati bhaiy hongi ya bhene hongi, wo bhi humein hissas jo sabse zyada
31:42 milega, toh hum 170 ke lag bag jo hai hum pohj jayenge, so 170 aur 172 ke barabar pohjne
31:50 se hum haqoomat bana sakenge inshaallah bagayar bisaki ke, lekin Maria agar humara koi aisa
31:58 hua toh hum opposition me baithna pasand karenge, bhajaye iske ke hum coalitions me kisi aur
32:05 ki muhtaj banke humne dekh liya hai, ke wo kis tariqe se phir unko jo hai pachad ki jati
32:14 hai aur kis tarah se tod pod aur shikast ko dekhti jati hai.
32:19 Sardar Latif Khosla sahab, wo kehte hai ji unka number game ke taht unke paas 170 toh
32:24 badi clearly waze barthri aajaegi, wo aqeli haqomat banane ki position me hai, kyunki
32:30 discrepancies beyan karein uske mutaabik 50 ke karib aur nishiste jo hai unki iswag banti
32:35 hai, lekin wo agar na baras ke government toh phir wo opposition me baithenge, ispe unhone
32:39 suli taur pe PTI ke faisle se aga ki hai, break pe jayenge jab wapas aayenge toh closing comment
32:44 hoga ke bhai apni shikast ko gracefully kaise accept karte hai aur haar ki bhi kaise dheeto
32:49 ki tarah jeeta jaata hai, aapko bataayenge break ke baad maare saath rahein.
32:57 Ismulk me dahaiyon se siyasat karne wale log apni political legacy kaise chhod ke jaana
33:01 chahte hain, iski badi hi waze do misaalein aapke saamne pesh karna chahti hain. Pehli
33:06 misaal Khwaja Saad Rafiq sahab ki hai, election lada unhone Lahore mein, apni nishistha haari
33:11 aur uske kuch hi der baad jab unko nataish pata chale toh unhone Sardar Latif Khosla sahab
33:15 ko badi gracefully mubarak baad di, awami faisle par usko tasleem karne ka ailaan kiya aur
33:21 kaha ke mutahid hokar hume kaumi boranon pe kaam karna hai aur kabu baana hai. Khwaja
33:26 Saad Rafiq sahab kai martaba assembly ki member rahe chuke hain, ek wazir bhi kai martaba
33:30 rahe chuke hain, lekar badi khushdili se apni shikast ko unhone tasleem kiya. Ek aur bhi
33:34 aise hi wazir hain jo kai dahaiyon se assembly ka hissa hai. Khwaja Muhammad Asif sahab,
33:40 jab unhone zabardasti apni nishistha ke, intikhabaat ke jo result hain, wo tabdeel karwaane ke
33:45 baad tweet ki, toh unki tweet dekhiye, jisme wo bahut hi zyada celebrate kar rahe hain
33:50 apni us jeet ko, jo sabko malum hai ki controversy hai, jo sabko malum hai ki nataij
33:54 wo nahi hain, jaisa ki declare kiye gaye. So yeh do mukhtalif siyasatdaan, ek hi jamaat
33:59 se taaluk, ek hi tariqi ka takreban career, lekin jo legacy hai, wo badi mukhtalif hai.
34:04 Khwaja Saad Rafiq sahab achi tera jaante hain, ki unhone kya kiya, lekin Khwaja Asif sahab
34:09 ne, ko malum hai ki 99% jab result aachuka tha, toh Rehana Dar sahiba unse 50,000 vote
34:16 ki lead se aage thi. Raat-o-raat yeh lead tabdeel kaise hui, kis tarah se Khwaja Asif
34:22 sahab jeet hai, aur uske baad unhe bada der lagi yeh tweet karke apne jeet manane me,
34:26 yeh unki legacy ho.

Recommended