Manqibat-e-Hazrat Khawaja Mohkum-ud-Deen Sairani (Rahmatullah Alaih) - Wisal 5th Rabi-ul-Sani [1197] Hijri Ya Sahib-e-Sair-e-Sailani (R.A) ya Mohkum Deen-e-Sairani (R.A)
Manqibat (Urdu) Ya Sahib-e-Sair-e-Sailani (R.A) Ya Mohkum Deen-e-Sairani (R.A) Har lab pey hai naara Sairani (R.A) Ya Mohkum Deen-e-Sairani (R.A)
Surat hai teri Norani aur Aankh hai Teri Mastani Dunia hai Teri dewani Ya Mohkum Deen-e-Sairani (R.A) Abdul Khaliq (R.A) Mera Rahbar, hai fakhr Awaisi Nisbat Parr Kia khoob hai Nisbat Lasani Ya Mohkum Deen-e-Sairani (R.A)
Teri Azmat aur Izzat se Haan Tere Naam Ki Barkat se Ho jati dour hai Wairani Ya Mohkum Deen-e-Sairani (R.A)
Lab par Hain duaen Sham-o-Sahr, ho jaey Karam ki Aik Nazar Har Mushkil mein ho Aasani Ya Mohkum Deen-e-Sairani (R.A)
Ho Aap pey meri Jaan Quran, hai Aap se he meri pehchaan Mil jaey Aap ki Darbani Ya Mohkum Deen-e-Sairani (R.A)
Tann Mann Kaifi Qurban Karun paish Un ko main Deewan karun Jo Kuch hai Meri Sokhun Dani Ya Mohkum Deen-e-Sairani (R.A)
- Written and Read by Faqeer Muhammad Ramzan Kaifi Qadri Awaisi (Naatia Poet)
- Manqibat Number #6 - Page Number #157 - 158 - Ashk-e-Aqeedat (Urdu Aur Saraiki Naatia Kalam)
- Ashk-e-Aqeedat (Urdu Aur Saraiki Naatia Kalam) Available at: https://drive.google.com/file/d/1XpQd1aG_1SLMA7Fbb4SvBsgC989Qidg6/view
- Aqwal-e-Kaifi by Muhammad Ramzan Kaifi (Naatia Poet) has been published and available online. Available at: https://drive.google.com/file/d/12i4K3c5ZVZL3120Nb235DapkUGIOqghB/view
Faqeer Muhammad Ramzan Kaifi is a Teacher, Artist, Naatia Poet, Writer and Mystic. He is illuminating the hearts of people through his intense Love for Allah, Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wa-Aalehi Wasallam), Ahle-Bait (R.A), Sahaba Karam (R.A) and Auliya Karam (R.A).
His book (Ashk-e-Aqeedat) has been published that is collection of Hamd-o-Naat, Manaqib, Kafiyan, Qataat, Rubaiyat and Fardiyat in Urdu and Saraiki. His other books that are in the process of publication are: i- Aqwal-e-Kaifi ii- Kaifyat-e-Kaifi iii- Muqashafat-e-Kaifi (Volume-1) iv- Muqashfat-e-Kaifi (Volume-2) v- Bazuban-e-Khalq.