Skip to playerSkip to main contentSkip to footer
  • 10/27/2016
Duniya mein har fard mardanaa quwwat mein izafa chata hai. Hakeem iss hawaley sey khususi course use karney ki sifarish kartey hain. Jis ki koi haqeeqat nahi. Mardana quwwat kay liye achi zehni aur jismani sehat zaroori hai. Iss tarhan achi zehni aur jismani sehat kay liye bhar poor sex ki zaroorat hai. Agar fard zehni aur jismani lehaz sey sehat mand ho to woh last time tak jinsi amal kay qabil hota hai. Achi jinsi sehat kay liye aap ko shaori koshish karna hogi. Bharpoor jinsi sehat aur sex power (mardana quwwat) kay liye mandarjazail baaton per amal karein.
1. Khooraak
Hamesha mutawazin aur kam khoorak khaya karein. Allah Ta'ala kay Nabi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ka irshad hai kay kabhi paet bhar kar khanaa naa khaya jaey. Khoorak kam chiknaa (Low Fat) wali ho. Amoomi sehat kay liye taza vegetables aur fruits mufeed hain. Balaee nikla milk aur mukammal eggs kay bajaey sirf iss ki safaidi li jaey. Gosht mein chicken ziyada mufeed hai. Iss kay elawa vitamin C, D aur E ka baqaida use kiya jaey. Cholestrol aur Friglyceride ko barhney naa dein.
2. Wazan Kam Rakhain
Koshish karein ka aap ka wazan ziyada naa ho. Ziyada wazan amomi sehat kay elawa jinsi sehat kay liye bhi nuqsandey hai. Motapa ki wajah sey sperm mar jaatey hain aur mardanaa quwat mein kami ajaati hai.
3. Cigarette Noshi Aur Mardana Quwwat (Smoking And Sexuality)
Cigarette noshi (smoking) sey mukammal perhaiz karein. Yeh tanau (erection) ki bohut bari dushman hai. Iss sey amomi sehat kay elawa tanau (erection) aur mardana quwwat (sexuality) bhi muta'assir hoti hai. Iss sey blood ki naaliyen tang hojaati hain jis ki wajah sey yeh to tanau (erection) hota hi nahi yeh kam hota hai. Iss kay elawa Cigarette noshi (smoking) sey zakar ki lambai bhi kam ho jati hai. Jinsi harmone (sexual hormone) testosterone ki paidawar mein kami hojaati hai jis ki wajah sey naa mardi (impotency) ki khatra dugnaa hojata hai. Cigarette chornay kay 2 sey 12 weeks kay ander har cheez normal hojaati hai. Cigarette noshi sperm ki count ko bhi kam karti hai. Mani (semen) ki miqdar kam ho jati hai. Iss ki wajah sey khusyon mein infection aur paet etc bhar jata hai jis sey early inzal ka masla bhi paida hojata hai.
4. Sharab Noshi
Jadeed research sey maloom hua hai ka Cigarette noshi (smoking) kay saath saath sharab noshi bhi mardanaa quwat ko kam karti hai
Iss sey khusyon shrink hojaatey hain, jinsi harmone testosterone ki paidawar mein kami hojaati hai. Majmoi tor per sharab noshi tanau (erection), inzal aur orgasm ko mu'nhnfi tor per muta'assir karti hai.
5. Zehni Dabau (Stress) Aur Tension
(Stress And Sexuality)
Gharelu, office aur mali pareshaniyan sexuality (mardana quwwat) ko bhi ziyada muta'assir karti hain. Agar aap ek lamba arsa stress ka shikar rehtey hain to iss sey blood ki naaliyen shrink hojaati hai. Khusyon zakar ko blood deynay wali naaliyen bhi shrink hojaati hain jis sey tanau (erection) ka masla paida hojata hai. Musalsal zehni dabau (stress) aur tension ki wajah sey sperm bhi mar jaatey hain jis ki wajah sey aulad paida hona mushkil hojata hai lehaza bharpoor sexuality (mardana quwwat) kay liye apney stress (zehni dabau) ko kam kar kay relax rahein iss kay kaee tareeqey hain.
- Apni hobby sey bharpoor lutf andooz hun. Baqaida warzish bhi jismani tanaao ko kam kar kay fard ko pursukon banaaati hai.
- Pusht kay bal bister per laet jaein, taangein samaet lein, knees kharey hun, donon hath paet kay ooper rakhein. Paet sey lamba saans lein, thori der kay liye rukein phir chordein. Last mein thori der eyes band rakhein. Sans nikaltey waqt kahain "relax" kuch month ki mushq kay baad aap sirf "relax" keh kar pursukoon hojaya karein gey. Yeh mushq rozanaa kisi bhi waqt 20 minute kay liye karein. Iss sey blood pressure bhi kam hojata hai yeh mushq khanay kay 2 hours kay ander naa ki jaey. Isey beth kar bhi kiya ja sakta hai.
- Doosri mushq iss tarhan sey karein ka ek lamba sans leyn, isey 2 sec kay liye rok leyn. Phir isey zor sey iss tarhan kharij karein jaisey aap nay apni 99 birth day per 99 candles ko ek hi phunk mein bhujanaa hai. 10 minute ya mushq karein iss sey aap ka zehni dabau (stress) bohut kam hojaeyga aur aap pursukoon mehsoos karein gai.
- Zehni dabau (stress) ko khatam karney kay liye zor zor sey hansein. Iss kay liye comedy dramas aur films dekhein. Comedy books aur jokes read karian.
- Kisi achey dost ka selection karein, jis kay sath aap apney tamam problems per guftugoo kar sakein. Apney dukh sukh isey baatein takay woh aap ko sahara dey sakay.
Nasazgar halat ko badalney ki koshish karein. Agar aap halat ko naa badal sakein to Allah Ta'ala ki raza samajh kar qubool karein. "jo cheez pasand hai ussey hasil karlein ya phir jo hasil ho jaey ussey pasand karlein to aap pur sukoon ho jaein gey.
- Apney ghussey ko dabaey na rakhein bul kay iss ka izhar karein. Akeley room mein cheekhein, chillaein, apney doston sey ghussey ka zikar karein. Tasawwur mein mutaaliqa fard per ghussa nikalein. Iss fard ko ghussey wala letter likhein. Iss mein har cheez likhe

Recommended