Skip to playerSkip to main contentSkip to footer
  • 11/10/2014
Kabhi Unka Naam Lena
Kabhi unka naam lena kabhi unki baat karna

Mera zoq unki chaahat mera shoq unpe marna

Wo kisi ki jheel ankhen wo meri junoon mizaaji

Kabhi doobna ubhar kar kabhi doob kar ubharna

Tery mann chalon ka jag mein ye ajab chalann raha hai

Na kisi ki baat sun'na na kisi ki baat karna

Shab e gham na pooch kesy tery mubtila pe guzri

Kabhi aah bhar ke girna kabhi gir ke aah bharna

Wo teri gali ke tevarr wo nazar nazar pe pehray

Wo mera kisi bahany tujhy dekh kr guzarna

Kahaan mery dil ki hasrat kahan meri na rasaai

Kahan tery gesuoon ka tery dosh per bikharna

Tujhy dekh kr najaany abhi kyu hain log zinda

Ye ajeeb badmizaaji tujhy dekh kr na marna

Mery saamny se aakr koi ayeena hata de

Ke barha raha hai uljhan teri zulf ka savarna

Jalay lakh chaahy dunya ho zamana lakh dushman

Jo teri panah mein ho ussay kia kisi se darna

Wo karen gy na khudai to lagay gi paar kashti

Hai Naseer (R.A) warna mushkil tera paar yoon utarna.
Kabhi Unka Naam Lena Kalam shaikh pir Naseer ud din Naseer (r.a)
mehfil in pak pattan sharif

Recommended