Heyz Ka Hukum Or tum se heyz ke baray mein daryaft karte hein. Keh do ke wo to nijasat hai. So ayam mein aurton se kinara kash raho. or jab tak pak na ho jayen in se muqarbat na karo. Han jab pak ho jayen to jis tareeq se Khuda ne irshad farmaya hai in ke paas jao. Kuch shak nahi ke Khuda toba karne walo or pak saaf rehne walo ko dost rakhta hai. (Al Baqara 222)
Shariat Islam mein mahwari ke dino or heyz ki halat mein aurto se sohbat yani jismani taluq qaim karne se mana kiya gaya hai, is ke ilawa aurto ke sath khana peena, baat cheet karna, uthna bethna sab jaiz hai, Mazhab Islam ka kamal yeh hai ke wo insan ki majbooriyo ki bhi mukammal riaayat karta hai. (Al Baqara 222)
Visit http://www.islamiwazaif.com
Islamic and Quranic Wazaif in urdu, Ahadees Sharif, Masnoon Duain, Durood Sharif, complete Quran Pak with Urdu and English Translation, health tips, beauty tips, ghareloo totkay, fruit benefits, vegetable benefits and find the solution of all your problems through Rohani ilaj.
Be the first to comment