Wrong practice for property sell

  • 4 years ago

- Ek property owner jinhone ek 2bhk kharida kuch salon pahle 61 lacs me aur ab wo sell karna chahte hain same value mein

Magar
- Us project me abhi jo price us flat ke liye chal raha hai vo hai 55 lacs ke karib

- Ab ye twist apko bhi samzna jaruri hai agar ap bhi property seller hain aur agar apke sath bhi kuch aisa ho raha hai, aur agar nahi to bhi ye video apko ek sikha dekar jayga, hosakta hai future me apko aisi condition ka samna karna pade

- Is project ka nam mein nahi lunga aur na in mahashay ka

- Hua yun hai ke inhone ye property kharidi hai 2014 me 61 lacs me aur ye Dec 2017 se EMI’s bharte aye hain 32000 month ke hisab se, to inke property ka value ab dekha jaye to hota hai 69.5 lacs ke aspas

- Aur inka kahana hai ke ye apni property tab hi bechenge jab inhe 61 lacs yani jo inhone diya hai utna mile to ye sell karenge, chalo ganimat hai inhone emi nahi add ki

- Ab jaise ke maine pahle hi batay hai apse current value 55 lacs hai, to samzne wali bat ye bhi hai ke agar in mahashay ko yaho flat aj kharidna hota to kya ye 55 ki jagah 61 me kharidate, bilkul nahi bhai

- Yahi to buyer aur seller mentality me fark, ab logic ye hai ke ye mahashay 32000 emi ke sath kab tak wait karnge jab ke market ki condition buyer friendly hai

- Bhaiya ye apni hi jeb katarne wali bat hogai, paisa jinke pas nahi hai vo kamne me dimag lagarahe hain aur jinke pas hai vo apni jeb karne se baj nahi arahe

- Meri ray me to inhe market price me sell karne me deri nahi karni chahiye, ya fir inhe loan close karna chaihiye self funding se, take inka negative cash flow band ho jaye

- Chaliye ap se puchta hun mein ke yahn inko property sell karke jo emi loss ho rah hai use stop karna chahiye ya nahi, ap apni ray do shbdon me commment box mein jaroor dena mein apke comments ka intazar karunga

- Kyun ke apki ray bhi aise conditions me faydemand hoti hai, kyun ke ye kisi ek insan ki kahani nahi hai property money ingagement ka sabse acha jariya hai magar iski barikiyon ko samz kar agar isme utra jaye to fayda hone ke chances jyada ho jate hain

- Is mudde par mein apke liye har ek point video late rahunga kyun ke loss ka mamla hai, aur loss

Recommended