Oily Skin Tips And Cares By Health And Help Tips
  • 6 years ago
Oily Skin Tips And Cares By Health And Help
How To Getride Of Oily Skin In Summers

How To Get Ride Of Oily Skin in Summers | Oily Skin Tips And Cares By Health And Help

Complete Details In Descriptions:

Insani jild ko is mein paye jane wale hormone control karte hain. Aur agar un harmons ki karkardagi mein kisi wajah se koi khlal peda ho ya tawazun nah rahay to jaldi masail janam letay hain. Oily skin jild ki iqsam mein khushk jild ke baad sab se ziyada pareshan karne wali doosri qisam o hai. Aur garmiyon mein khaas tor par is qisam ki jald walay logon ko masail ka saamna rehta hai.

Baaz afrad ki jaldi qudrati tor par chikni hoti hai jab ke ziyada tar afraad bil-khasos larkiyon mein chikni jald ka masla 13 – 15 saal ki Umar mein peda hota hai. Is ke ilawa jild chikni hone ki barri wajah harmons mein tabdeeli bhi hai. In harmons ki had se zyada sargarmiyon ki wajah se chiknahat phail jati hai jiski wajah se insani jald black heads, dag dhabbon aur acne jaisay masail ka shikaar ho jati hai.

Jin afraad bil-khasos larkiyon ki jald 13 – 15 saal ki Umar se chikni ho jaye aur mukhtalif masail peda hone lagen aur agar woh isi waqt munasib dekh bhaal aur ahthyat karna shuru kar dein to oily skin ke masail par qaboo paaya ja sakta hai.

Oily skin care tips

Agar aap ki jild chikni hai aur aap iski munasib dekh bhaal ke karna chahtay hain to mandarja zail oily skin care tips par amal karen aur apni jild ko khobsorat aur dilkash banayen.

Chikni jild par sabun, cream ya lotion ka istemal nuqsan da saabit ho sakta hai. Isliye jild ko dhone ke aam sabun, lotion ya cream ke bajaye agar kisi achay cleansing soap ka istemaal kya jaye to behtar hai.


Chikni jild walay afrad ko apni jild ko gird o gubhar se bachanay ke liye munasib tadabeer apnani chayin kyunke chehray par gard o gubhar jald ke masamon ko band kar deta hai aur jald mein mazeed pchidgyon ka bahis bantaa hai. Isliye jab bhi aap ghar se bahar jaye to wapsi par jald ko laazmi dhowen.

Din mein 3 se 4 baar mun aur hath dhoye, aur kam az kam din mein 8 glass pani piyen.


Chikni jild walay afrad tali hui roghan ghazain khanay se parhaiz karen, kyunke chikni aur tali hui ashya ke istemaal se maida izafi chiknai ki miqdaar hazem nahi kar sakta aur chiknai jald ke masamon se kharij honay lagti hai.

Meethi aur chiknahat wali ghazao ki bajaye apni roz maraah ghazza mein phalon sabzion aur pani ka istemaal ziyada se ziyada karen.

Oily,Skin,Tips,andcares,Oily Skin, Tips And Care,
Oil Skin Tips And Cares, Oily Skin Cares,
Get Ride Of Oily Skin, Oily Skin Totky,
Health And Help,
Health And Help Totky,
Health And Help Tips,
Oily Skin Tips 2018,
New Fitness Tips 2018,
Oily Skin In Summers,
Oily Skin Problems,
Oily Skin Problems Solutions In summer,
Recommended