Old Nohay: Ab aaye ho baba - Izzat Lakhnavi

  • il y a 8 ans
AB AAYE HO BABA\r
Poet Shahid Naqvi Recited by Izzat Lakhnavi\r
\r
Woh Karbala, woh sham-e-ghariban, who tirgi\r
Who Zainab-e-Aseer, Who hifazat Khaym ki\r
Aaya who ek sawaar qareeb-e-khayam-e-Shah\r
Beti Ali ki ghaiz me soohe faras badhi\r
Ulti naqab chhere se apne sawaar ne\r
Pesh-e-nigah e Zainab-e-mazloom they Ali\r
Har chand sabira thi bohat Bint-e-Fatima\r
Be-saakhta zaban pa yeh faryaad aa gayi\r
\r
Zainab ne kaha baap Ke qadmon say lipat kar\r
Ab aaye ho baba\r
Jab lut gaya pardes mein amma ka bhara ghar\r
Ab aaye ho baba\r
\r
Baba agar aana hi tha khaliq ki reza say \r
us waqt na aaye\r
Jab khaak pe dam torh raha tha mera Akbar \r
Ab aaye ho baba.\r
\r
Kat-kat ke gire nehar pa jab baazo-e-Abbas \r
aur koi na tha paas\r
Us waqt sada aap ko deta tha Dilawar \r
Ab aaye ho baba.\r
\r
Jab farsh-e-zameen baam-e-falak larza fishaan thay\r
Us waqt kahan thay \r
Jab baap ke chullu mein tha khoon-e-Ali Asghar\r
Ab aaye ho baba.\r
\r
Jab bhai ka sar katTa tha main dekh rahi thi\r
Hazrat ko sada di (x2)\r
Sar kholay hue roti thi mani khaime ke dar par\r
Ab aaye ho baba.\r
\r
Jab log bacha le gaye lashey shohada kay\r
Haq apna jata kay \r
Bas ek tan-e-Shabbir tha pamaali ki zad par\r
Ab aaye ho baba.\r
\r
Jab bali Sakina ke gauhar chhene gaye the\r
Lagte the tamache \r
Hasrat se mujhe dekhte thi Bano-e-muztar\r
Ab aaye ho baba.\r
\r
Jab Shaam ke qazaaq hamein loot rahay thay\r
Khaimon ko jala kay \r
Aap aagaye hote to na chinti meri chaadar\r
Ab aaye ho baba.\r
\r
Kya aapnay firdous say ye dekha na hoga\r
Kya hashr bapa tha\r
Jab pusht se beemar ki khaincha gaya bistar\r
Ab aaye ho baba.\r
\r
Ek raat ke mehman hain phir qaid-e-salasil\r
ab aane se hasil\r
Bazaar me hum subho ko jayein-ge khule sar\r
Ab aaye ho baba.\r
\r
Shahid* rukh-e-Haider pe bhi bikhar jaatay thay aansoo\r
Jab khol ke gesun \r
Chillati thi Zainab mere baba meri chadar\r
Ab aaye ho baba.\r
\r
Jab Shaam ke qazaaq hamein loot rahay thay\r
Khaimon ko jala kay \r
Aap aagaye hotein to na chin ti meri chadar\r
Ab aaye ho baba.\r
\r
Jab lut gaya pardes mein amma ka bhara ghar\r
Ab aaye ho baba \r
\r
Zainab ne kaha baap Ke qadmon say lipat kar\r
Ab aaye ho baba

Recommandée