Akhtar Jawad - Babul ki Dua

  • 10 years ago
Yun hi hansti raho muskurati raho,
Tum khizaon mein bhi gul khilati raho,
Apne naghme jahan ko sunati raho,
Khud hanso aur sabko hansati raho,
Tum muhabbat ki Ganga bahati raho,
Tum chamakti raho jagmagati raho,
Phool ban jao khushboo lutati raho,
Aur dunya ko rangeen banati raho.

Tum sada khush raho yeh dua hay meri,
Han khuda se yehi iltija hay meri,
Betian meri khush hon to hansta hoon main,
Warna khamosh chup chap rahta hoon hoon main.
Zindigi ek safar hay ya hay imtehan,
Is haqueequat ko bus janta aasman,
Yeh safar hay to himmat se chalti raho,
Imtehan hay to din rat padhti raho.

Ponch kar aansuon ko hanso to zara,
Maine mana ke jeevan hay dukh se bhara,
Tumko kanton mein bhi phool mil jaye ga,
In duaon se aakash hil jaye ga.

(Being inspired by a poem from Geetha Jaykumar)

Akhtar Jawad

http://www.poemhunter.com/poem/babul-ki-dua/

Recommended